Hazrat Makhdoom Mohammad Haashim Thatthawi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Makhdoom Mohammad Haashim Thatthawi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shams-ul-Ulama, Shaikh-ul-Islaam.
****************
Aap ki wilaadat 10 Rabi ul Awwal 1104 Hijri (1692 A.D.) ko Thattha ke qareeb Bhatoru (Sindh) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdul Ghafoor bin Abdul Lateef Siyustani hai.
Aap ke waalid Siyustaan ke maqbool Ulama me shumaar hote the.
Aap (Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke chacha) Haariṡ bin Abdul Muttalib ki nasl se hain.
****************
Aap n apne waalide mohtaram se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
6 maah me Haafiz e Qur’an hue.
Phir 1111 Hijri (1699 A.D.) me Thattha aaye aur 9 saal tak Makhdoom Saeed se Arabi ki, Makhdoom Shaikh Zia-ud-deen, aur Makhdoom Mohamamd Moeen Thatthawi se Hadeeṡ aur deegar uloom ko ta’aleem haasil ki.
Zil Hijjah 1113 Hijri me Aap ke waalide maajid ka intiqaal hua.
1135 Hijri (1722 A.D.) me Aap Hajj ke liye tashreef le gaye aur waha 2 saal qayaam karke Makka mukarrama me Shaikh Abdul Qaadir bin Abu Bakr Siddeeq Hanafi Makki se aur Madeena munawwara me Shaikh Abu Taahir Muhammad bin Ibrāheem Madani se aur Shaikh Eid bin Ali Misri al-Shafi'i al-Azhari se Tajweed, Hadeeṡ, Tafseer aur Fiq'h ki ta’aleem haasil ki.
*********************
Is ke baad Thattha me Hazrat Abul Qaasim Naqshbandi rahmatullāhi alaihi ki khidmat me reh kar Uloome Baatini ki ta’aleem haasil ki.
Aap har roz Hazrat ke bistar ko saaf kiya karte the aur un ki raza aur khushnudi haasil karne ke liye har khidmat kiya karte the.
Ek roz Aap ne Hazrat se Bai'at ke liye arz ki to Hazrat Abul Qaasim Naqshbandi ne mana farmaaya. Aap ne arz kiya “Phir mujhe kisi Wali e kaamil ka pata bata dijiye jinse me bai'at ho jaaun.” Chunaanche Aap ne farmaaya ke “Ilahabad me Hazrat Sayyed Sa’adullāh Qaadri Surati ke paas jaao. Tumhara hissa unke paas hai.”
Chunaanche 1136 Hijri (1723 A.D.) me Aap waha tashreef le gaye aur un se Silsila e Aaliya Qaadriya me Bai'at hue. Ek arse tak Murshid ki khaanqaah me ghodo ke astambal ki safaai karte aur saath hi saath Riyaazat o Mujaahidaat karte rahe aur Jilaa e Qalb ki daulat se maalamaal hue. Apne Murshid ki taraf se Ijaazat o Khilaafat haasil karke 1137 Hijri (1724 A.D.) me waapas Thattha tashreef laaye.
*********************
Aap ne Thattha ke qareeb 'Bahraam Badr' naami gaanv me ek Madrasa qaa'im kiya aur deeni ta’aleem dene lage.
Lekin waha ke Vadero ko Aap ki naseehat pasand na aai. Aakhirkaar Aap waha se Hijrat kar ke Thattha aakar sukoonat pazeer hue aur yaha dars o tadrees ka silsila shuru kiya. Aap ki shohrat sunkar dusre mulko se badi ta’adaad me Talba Aap ki baargaah me aakar ta’aleem wa faiz haasil karne lage.
*****************
ALLĀH ta’ala ne Aap ko apne Deen ka paasbaan bana kar bheja tha.
Aap ne apni ta’aleemaat wa tasannif ke zariye Islaam ki azeem khidmat wa isha’at ki. Beshumaar logo ko hidayat mili. Beshumaar logo ne bid'ato ko chhodkar Sunnato ko apnaaya. Har mahine bahot saare ghair-muslim islaam me daakhil hote.
Aap ne Naadir Shaah aur Ahmad Shaah ko chand Khutoot irsaal farmaae aur un ko Taqwiyate ahkaame Deen ki taraf mutawajjeh kiya.
Sindh ke us waqt ke Haakim Miyan Ghulaam Shaah Khoda Abbaasi Aap ka bada moataqid tha. Us ke zariye Aap ne tamaam saltanat ke Hukkaam aur Afsaraan ko ek sarkaari hukm jaari karwaaya jis ke zariye Deen ko badi taqwiyat mili.
Aap ne khud ka ek Maktab (library) banaaya tha jis me hazaaro deeni kitaaben jama ki thi.
*****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap e taqreeban 400 kitaaben tehreer farmai hai.
Aap ki likhi hui chand mash'hoor kitaaben :
Arabi :
(1) Jannatun Naeem fee Fadaa'ilil Qur’an kareem (Fazaa'il e Qur’an majeed)
(2) Hadiqatus Safa fi Asmaail Mustafa (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Asmaa e mubarak ki Tashreeh wa Tafseer)
(3) Rozatus Safa fee Asmaail Mustafa (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke mazeed Asmaa e mubarak ka bayaan)
(4) Halaawatul Fahm fee zikri Javaamiul Kaleem (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke kalaam aur us ki Tashreeh)
(5) As-Saif-ul-Jali Ala Saab-un-Nabi (Gustaakhaane Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke ibratnaak anjaam aur un ki sharai saza ko bayaan)
(6) Faraa'id-ul-Eimaan
(7) Mazhar-ul-Anwaar (Roza ke muta’alliq tafseeli bayaan)
(8) Khutbaat-ul-Haashmi (Fiq'h)
(9) Al-Haft-ul-Marghoobat fee Afdalat-ul-Dua Ba’adal Maktoobah
(10) Dirham-ul-Surat Fee Wada'a-ul-Yadayn Taht-us-Surat
(11) Tarsee'a-ul-Darat ala Dirham-ul-Surah
(12) Ma'ayaar-ul-Naqaad fee Tameeyaz-ul-Maghsoos anal-Jiyaad
(13) Haashiya Durood e Haadari
(14) Kifaayat-ul-Qaari (Tajweed).
Faarsi :
(1) Zariatal Wusul Ila Janaabir Rasool (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me Qurbat wa Maqbooliyat haasil karne ka Tareeqa)
(2) Waseelatal Ghareeb ila Janaabil Habeeb (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka Waseela, Shafa’at aur Tawassul ka bayaan aur ṡaboot)
(3) Hayaatul Quloob fee Ziyaratil Mahboob (Hajj wa Umrah ka bayaan aur Haazri e Roza e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ke Aadaab)
(4) Zaadas Safeenah fee Asmaamil Madeenah (Madeena munawwara ke muta'addid Asma'a aur us ki Tashreeh aur Fazaa'il)
(5) Fat'h-ul-Kalaam fee Kaifiyat Asqaat-us-Salwaat was-seelm (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam par Durood o Salaam ki mukhtalif sego aur us ki mukhtalif Kaifiyaat ka bayaan)
(6) Fat'h-ul-Qawi e Nasab-un-Nabi (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Aaba o Ajdaad ke muta’alliq tafseeli bayaan)
(7) Al-Baaqiyat us-Saalihaat fee zikril Azwaaje mutaahraat (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki Azwaaje mutaahiraat aur deegar Aslaaf ki Sirat ka bayaan)
(8) Tohfat-ul-Saalikeen ala Janaabil Ameen
(9) Al-Nafhaa-ul-Baahrat fe Jawaaz-ul-Qaul Bil-Khamsatul Taahrah
(10) Fazaa'il e Namaaz wa Dua e Aashura
(11) Hayaat-us-Saa'imeen (Mazhar-ul-Anwaar ka trauma : Roza ke muta’alliq tafseeli bayaan)
(12) Faiz-ul-Ghani fee Taqdeer Saa'a-un-Nabi (Sadqa e Fitr ke muta’alliq bayaan)
(13) Rashf-ul-Zalaal fee Tehqeeq-ul-Zawaal (Fiq'h)
(14) Ahde Nabuwwat ke Maah-o-saal
(15) Madah Naama Sindh (Sindh ki Tawaarikh).
Sindhi :
(1) Quwwatul Aashiqeen (Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke kamaalaat wa moazzizaat ka bayaan)
(2) Aqaa'id-ul-Islaam
(3) Binaa-ul-Islaam (Islaam ke bunyaadi Aqaa'id)
(4) Zaad-ul-Faqeer (Roza ke fazaa'il aur masaa'il)
(5) Raahat-ul-Mo’mineen (Zabeeha aur Shikaar ke muta’alliq bayaan)
(6) Tafseer e Haashmi
(7) Tanbeeh Naamoon (Fiq'h)
(8) Islaah Muqaddamatul Salwaat Sunnati (Fiq'h).
Aap ne Arabi, Faarsi aur Sindhi me bahot saari Na’at wa Qaseede bhi likhe hain.
(1) Samaaniyatah Qasaid Sigaaru Fi Mad'hi Nabiyyi sallallāhu alaihi wa sallam (Huzoor e akram sallallāhu alaihi wa sallam ki shaan me 8 Qaseede)
(2) Qaseeda Ya Saalika (Sindhi)
(3) Tohfatul Taa'ibeen (Nazamo ka majmua) (Sindhi).
*****************
Aaftaab e Makli Hazrat Abul Qaasim Naqshbandi rahmatullāhi alaihi farmaate hain ke “Abul Qaasim to bahot hain lekin ye Marde Mujaahid apni shaan aur maqaam ka ek hi hai.”
Aur farmaate “Aafrin hai us Maa par jis ne Makhdoom Mohammad Haashim jaise ko janaa jis ki is zamaane me koi naazir aur miṡaal nahi.”
*********************
12 Rajab 1135 Hijri ko Jum'aa ke roz jab Aap Roza e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam par haazir hue aur ba-adab Salaat o Salaam arz kiya to Roza mubarak se aawaaz aai ‘Wa alaikum as salaam Ya Mohammad Haashim Thatthawi.”
*********************
Ek martaba ek shakhs Aap se ek Fatawa lekar us ki tasdeeq ke liye Aap ke ustaad Makhdoom Shaikh Zia-ud-deen ki khidmat me gaya. Un ko Aap ke is jawaab se itefaaq nahi tha. Is liye Aap ne tasdeeq karne se inkaar kar diya.
Raat me Makhdoom Shaikh Zia-ud-deen ko khwaab me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat hui aur farmaaya ke “Zia-ud-deen! Mohammad Haashim jis tarah kehte hain usi ke mutaabiq tum Fatawa de do.”
Subah hote hi Makhdoom Shaikh Zia-ud-deen ne us shakhs ko bula kar Makhdoom Mohammad Haashim ke us jawaab ki tasdeeq kar di aur phir us ke baad kisi bhi mas'ale ka jawaab khud nahi diya balke jo koi Saa'il aata us ko Hazrat Makhdoom Mohammad Haashim Thatthawi ke paas bhej dete aur farmaate ke “Fatawa unhi ke haath me de diya gaya hai, Ab tamaam Fatawe wohi likhenge.”
****************
Aap Hazrat Sayyed Sa’adullāh Qaadri Surati rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Makhdoom Abdul Lateef Thatthawi rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Qutb e waqt Hazrat Faqeerullāh Alwi rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Allama Abul Hasan Sagheer rahmatullāhi alaihi.
****************
Aakhri ayyaam me Aap Hazrat Mohammad Baaqir rahmatullāhi alaihi ke makaan me muqeem the. Aap ko sakht bukhaar aur sakht is'haal ki shikaayat ho gai thi, jis ke baa'is sakht zo'af tha. Lekin us ke ba-wajood Aap ne tayammum ke saath namaze Fajr Adaa farmai. Phir apne saahabzaade Makhdoom Abdul Lateef se farmaaya ke “Namaaze Fajr ki adaaygi me kuchh shak hai lihaaza us ka Fidiya adaa kar dena.”
Jaha par Aap ka wisaal e paak hua aur Aap ko Ghusl o Kafan diya gaya wo maqaam 6 maah tak mushk jaisi khushbu se mahekta raha. Ghusl dete waqt aisa mehsoos ho raha tha ke Aap ka Qalb Zikre Ilāhi kar raha tha.
****************
Aap ka wisaal 6 Rajab 1174 Hijri (11 February 1761 A.D.) ko Jumeraat ke roz hua.
Aap ka mazaar Makli, Thattha (Sindh, Pakistan) me Eidgaah ke qareeb hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Mohammad Haashim Thatthawi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے