Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Siraaj-ul-Hind (Light of India), Hujjatullāh (Evidence of ALLĀH).
********************
Aap ki wilaadat 25 Ramazaan 1159 Hijri (11 October 1746 A.D.) ko Delhi me hui.
**************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaah Qutb-ud-deen Ahmad urfe Waliullāh Mohaddeeṡ bin Maulana Shaah Abdur Raheem Dehlawi rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Bibi Iraada binte Shaah Ṡanaullāh hai.
Aap Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
*******************
Aap ne apne waalid Hazrat Shaah Waliullāh Mohaddeeṡ Dehlwi se ta’aleem haasil ki.
Aap bachpan me hi Haafiz e Qur'ān hue.
17 saal ki umr me Aap ke waalid ke inteqaal ke baad Aap ne Shaikh Noorullāh Budhanvi, Khwaja Muhammad Ameen Kashmiri aur Shaah Muhammad Ashiq bin Ubaidullāh Phulti se ta’aleem haasil ki.
Aap ne apne waalid se Muwatta aur Mussawwa aur Mishkaat-ul-Masaabih ki ta’aleem haasil ki. Apne waalid aur bhai Shaikh Muhammad se Hisn-e-Hisin aur Shima'il Tirmizi ki ta’aleem haasil ki. Aap ne Sayyed Ghulaam Husain Makki se Sahih Bukhari (Kitaab-ul-Hajj tak), Zahoorullāh Muradabadi se Jaami Tirmizi aur Sunan Abi Daawūd, Muhammad Jawwad Phulti se Sahih Muslim ka kuch hissa aur Sunan lbn Majah, Maulwi Jarullāh se Maqaasid Jaami-ul-usool aur Musalsalat, Shaikh Noorullāh aur Khwaja Muhammad Ameen se Sihah Sittah ke baaqi hisse ki ta’aleem haasil ki.
Aap Hadeeṡ, Tafseer, Fiqh, Usool-ul-Fiqh, Sarf, Nahw, Aqaa'id, Mantiq, Kalaam, Tawaarikh, aur Ilm e Riyaazi ke maahir hue.
*********************
Aap ne Qur’an majeed ka Urdu tarjuma kiya.
Aap ne apne waalid ka tafseer e Qur'ān ka adhura kaam shuru kiya. Aap ne Soorah al-Maa'idah ki Aayat no. 8 se shuru karke Soorah al-Hujuraat ki Aayat no. 13 tak tafseer ka kaam kiya.
Aap Madrasa Raheemiya (Delhi) me Mudarris bane.
Aap bahot achhe muqarrir the. Aap har Itvaar, Mangal aur Jum’aa ko taqreer farmaate. Aap ki majlis me bahot badi ta’adaad me log haazir hote.
Aap ki yaad-daasht bhi bahot tez thi. Aap kisi bhi kitaab me se koi bhi hissa padhkar use foran bayaan kar sakte the.
*****************
Aap 13wi sadi ke Mujaaddide Islaam hain.
Aap ne Shia ke galat aqaa'id ko rad kiye aur Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki. Aap puri zindagi logo ko taaleem e deen karte rahe. Aakhri kuchh saal me aap shadeed beemaar ho gaye tab bhi aap ne dars wa ta’aleem ka kaam jaari rakh.
****************
Aap ke shaagirdo me Aap ke bhai Shaah Abdul Qaadir, Shaah Rafi-ud-deen aur Shah Abdul Ghani aur aap ke daamaad Maulana Abdul Hay aur aap ke nawaase Maulana Shaah Muhammad Is'hāq bin Afzal Umri Dehlawi shaamil hain.
In ke ilaawa Aap ke mash'hoor shaagird :
(1) Sayyed Shaah Aale Rasool Qaadri Barkaati Marherawi
(2) Maulana Shaah Fazl-e-Rahmān Gunj-muradabadi,
(3) Mufti Sadr-ud-deen Aazurdah
(4) Sayyed Ahmad Bareilwi
(5) Maulana Fazl-e-Haq Khairabadi
(6) Maulana Muhammad Ali
(7) Maulana Ahmad Ali
(8) Maulana Meer Mehboob Ali Dehlawi
(9) Mufti Ilāhi Bakhsh Kandhalwi
(10) Sayyed Qamr-ud-deen Sonipati
(11) Maulana Sayyed Qutb-ul-Huda Rae-barelwi
(12) Shaah Ghulaam Ali Mujaddidi Dehlawi
(13) Shaah Abu Sa'eed Dehlawi
(14) Shaah Ahmad Sa'eed Dehlawi
(15) Shaah Basharatullāh Mujaddidi Behra'ichi
(16) Shaah Panaah Ata Chishti Salonwi
(17) Shaikh Zahoor-ul-Haq Phulwarwi
(18) Maulana Buzurg Ali Marehrawi
(19) Maulana Shaah Muhammad Ya’aqoob Dehlawi.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki kihi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Taufa e Isna Ash'ari (Gift to the Twelvers),
(2) Sir-ush-Shahaadatain
(3) As-Sirr al-Jalil fi-Mas'alatil Tafzil
(4) Fataawa Azeez
(5) Tafseer-e-Azeezi (Faarsi)
(6) Sawarim-ul-Ilāhiyat
(7) Husaam-ul-Islaam
(8) Saif-e-Nasir
(9) Zulfiqaar
(10) Bustaan-ul-Muhaddeeṡeen
(11) Al-Ujsalatun Nafi'a
(12) Mizaan-ul-Balaghah
(13) Mizaan-ul-Kalaam.
****************
Aap ke 2 bete aur 3 betiya hain.
Saahabzaade : Ibaan-ud-deen, Qutub-ud-deen;
Saahabzaadiya : Aa'isha, Mayram, Rahmat.
****************
Aap Hazrat Shaah Qutb-ud-deen Ahmad Waliullāh Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hai.
Aap ke waalid se Aap ko Naqshbandi, Qaadri, Suhrawardi aur Chishti silsila ki khilaafat mili hai.
Aap ke khalifa :
Hazrat Sayyed Ahmad Rai Bareilwi rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 7 Shawwaal 1239 Hijri (5 June 1824 A.D.) ko Subah ko hua.
Aap ka mazaar Mehdiyan Qabrastan, Delhi me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlwi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں