Ummul mo’mineen Hazrat Safiya bint Huyay radiy-Allāhu ta’ala anha :
Aap ki wilaadat 610 A.D. me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Huyay ibn Akhtab aur waalida ka naam Barra binte Samawal ibn Adiya hai.
Aap ke waalid Yahudi qabeele Banu Nadeer ke sardaar the.
Aap ki waalida Yahudi qabeele Banu Qurayza se thi.
****************
Aap ki shaadi Salam bin Mishkam se hui. Us se tallaaq ke baad 627 A.D. me Aap ki shaadi Kinana ibn Abil Haqeeq Rabi se hui.
******************
Ek martaba Aap ne khwaab me dekha ke Aasmaan se chaand aap ki god me aa gaya. Jab Kinana ko is ke baare me bataaya to us ne kaha ke “Yeh is baat ki taraf ishaara karta hai ki tum Arab ke sardaar se nikaah karne ki khwaahish rakhti ho.” Aur aap ke munh par waar kiya. Jis ka nishaan Aap ke chehre par baaqi reh gaya.
******************
3 Hijri (625 A.D.) me Banu Nadeer ne galti se 2 musalmano ko qatl kar diya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam chand ashaaba ke saath un se guftagu ke liye tashreef laaye. Huyay ibn Akhtab ne apne saathiyo ke saath Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko qatl karne ki saazish ki. Hukme ilāhi se Jibr'eel alaihis salaam ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko aagaah kar diya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam guftagu rad karke waapas chale aaye.
Is ke baad Banu Nadeer ko Madeena se baahar nikaala gaya. Wo Khaibar me aakar muqeem hue.
******************
Moharram 7 Hijri (May 628 A.D.) me Junge Khaibar me Aap ke waalid aur bhai qatl hue aur phir aap ke shohar Kinana qatl hue. Aap ko Hazrat Dihyah al-Kalbi ko diya gaya. Aap qabeele ke sardaar ki beti thi. Chunaanche Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap se nikaah karne ki darkhaasht ki. 3 din tak Khaibar me thehre. Phir jab Aap haiz se faarigh hui to Khaibar se rawaana hone ke baad maqaame Sadd al-Sahba par Aap ko musalman banakar Aap se nikaah kiya. Waleema me ashaaba ko Hais (ghost ka bana khaas khaana) khilaaya gaya.
Madeena pahunchne ke baad Aap Haariṡa ibn Nomaan ke makaan me thehri.
Deegar Azwaaje Mutahharaat Aap ko yahudi ki beti kehti thi. Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko is ke baare me bataaya to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Agar koi aisa kahe to us se keh dena ke Hāroon alaihis salaam mere waalid hain, Moosā alaihis salaam mere chacha hain aur Muhammad sallallāhu alaihi wa sallam mere shohar hain.”
********************
Aap bahot ibaadat guzaar aur parhezgaar aur sakhi thi.
Aap kaṡrat se tilaawate Qur’an karti thi aur tilaawat ke dauraan Aap ki aankho se aansoo jaari rehte the.
********************
Ek martaba Aap ki kaneez ne Ameer-ul-mo’mineen Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko fariyaad ki ke “Aap Sanichar ko zyada pasand karti hain aur yahudiyo se milti hain.” Jab Hazrat Umar Faarooq ne Aap se is ke baare me puchha to Aap ne bataaya ke “ALLĀH ta’ala ne mujhe Sabath (sanichar) se afzal Jum’aa ka din ata farmaaya hai aur Mere Yahudi rishtedaar milne aaye to un se milna padta hai.” Hazrat Umar Faarooq mutmaeen hokar laut gaye.
Aap ne apni kaneez se shikaayat karne ki wajah puchhi to us ne kaha ke “Mujhe shaitaan ne behka diya tha.” Aap ne foran use aazaad kar diya.
******************
35 Hijri me Kufa, Basra aur Misr (Egypt) ke baaghiyo ne Ameer-ul-mo’mineen Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke makaan par ghera daala to Aap ne Hazrate Uṡmaan Ghani ke ghar me khaana aur paani pahunchaane ki koshish ki magar Aap nakaam hui.
******************
Aap ka wisaal 14 Ramazaan 50 Hijri (October 670 Hijri) ko hua.
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ummul mo’mineen Hazrat Safiya bint Huyay radiy-Allāhu ta’ala anha aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں