Ye Wo Makam hai Jo Us Bahira Rahib ka Ghar Tha Jahan Nabi E Akram ‎ﷺ ‏ne ‎12 ‏Saal ki Umr Mubarak me Kuch Waqt kayam ‎

Ye Wo Makam hai Jo Us Bahira Rahib ka Ghar Tha Jahan Nabi E Akram ﷺ ne 12 Saal ki Umr Mubarak me Kuch Waqt kayam kiya Aur Us Rahib ne Aapki Nabuwat Wa Risalat ki tasdeeq ki thi
Waqya Kuch Yun hai Mafoom pesh karta hoon
Nabi E Karim ﷺ Ki Umr Mubarak Jab 12 Saal ki thi Jo Chacha Abu Talib Kay kay saath Aap Mulk E Sham Kay Safar ko nikle, Jab Aap Sham kay ilake me Bosra pahuche to Rahib ne Abu Talib Se Mulakat Ki Khwaish ki halanki iske pahle bhi wo Safar kar chuke they magar ye pahli baar tha jab Mulakat ki khwaish ki Rahib ne,
Bahira Rahib ne Nabi E Karim ﷺ Kay daste aqdas ko apne haath me liya aur kaha
ﻗَﺎﻝَ ﻓَﻬُﻢْ ﻳَﺤُﻠُّﻮﻥَ ﺭِﺣَﺎﻟَﻬُﻢْ ﻓَﺠَﻌَﻞَ ﻳَﺘَﺨَﻠَّﻠُﻬُﻢُ ﺍﻟﺮَّﺍﻫِﺐُ ﺣَﺘَّﻰ ﺟَﺎﺀَ ﻓَﺄَﺧَﺬَ ﺑِﻴَﺪِ ﺭَﺳُﻮﻝِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗَﺎﻝَ ﻫَﺬَﺍ ﺳَﻴِّﺪُ ﺍﻟْﻌَﺎﻟَﻤِﻴﻦَ ﻫَﺬَﺍ ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺭَﺏِّ ﺍﻟْﻌَﺎﻟَﻤِﻴﻦَ
Ye Tamam insan aur jinn kay sardaar hai aur Rahmatul Lil alameen hai Aur Allah Kay Rasool ﷺ Hai,
Quraish kay deegar Sardar ne pucha Aapko kaisa iska ilm huwa ?
Rahib Ne Kaha Maine Dekha Inhe Darakht Patthar wagairah Sazda Kar Rahe they aur Mai Inki tasdeek Us Mohre Nabuwat Se kar sakta hoon Jo Inke Kandhe Par hai,
Aur Tum Inhe yahan Se Le jao Sham Kay Yahudi Inke Qatl ka irada rakhte hai agar wo inhe jaan jaynge to qatl karne pe aamada honge, Lihaja Abu Talib ne khatra mehsoos hota dekh Nabi E Karim ﷺ ko wapas Makkah le aaye,
Is Waqye ko aqsar Seerat Ki Kitabo Me Naql kiya gaya aur Isko Tirmizi Rahmatullah Alaih ne bhi apni Sunan me laaya hai
Sunan Tirmizi Kitabul Manaqib Hadees : 3620
Seerat Ibn Hissham Pg : 67
Hafiz Ibn Kathir Al Seera Al Nabwiyah 01/74 Pe Kaafi Tafseel se likha hai.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے