Hazrat Khwaja Sayyed Naseer-ud-deen Mahmood Chishti rahmatullāhi alaihi

Hazrat Khwaja Sayyed Naseer-ud-deen Mahmood Chishti rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Roshan Chiraagh e Delhi.
****************
Aap ki wilaadat 1274 A.D.) me Ayodhya me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Yahyā bin Sayyed Abdul Lateef hai.
Aap Husaini saadaat hain.
Aap ke daada Sayyed Abdul Lateef Yazdi Khurasan se Lahore tashreef laaye aur phir Faizabaad (Ayodhya) me sukoonat ikhtiyaar ki.
Jab Aap ki umr 9 saal ki hui tab Aap ke waalid ka inteqaal hua.
Is ke baad Aap ki waalida ne Aap ki parwarish ki.
****************
Aap ne ibtidaai ta’aleem Maulana Abdul Kareem Sherwani se haasil ki. Aur Maulana Iftikhaar-ud-deen Jlaani se mazeed ta’aleem haasil ki.
Phir 25 saal ki umr me Aap ne Avadh ke jangal me mujaahida karna shuru kiya. 8 saal tak Aap roza rakhte rahe.
33 saal ki umr me Aap Delhi tashreef laaye aur Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.
Aap Delhi me mujaahida karte rahe aur kai dino tak khaana peena tark kiya.
Ek roz Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya apne baalakhaane se utar rahe the. Un ki nazar aap par padi. Dekha ke aap ek darakht ke neeche mutahayyar khade hain.
Ek Aadmi bhejkar Aap ko bulwaaya aur badi mohabbat se apne paas bithaaya aur puchha ke “Tumhare dil me kya khwaish hai? Aur Tumhara kya Maqsad hai?”
Aap ne bade adab se arz kiya ke “Huzoor! Mera asl maqsad to Aap ki Daraazi e umr ke liye dua karna hai ke Aap ka saaya e karam taa der hamare saro par salaamat rahe. Aur main Aap ki baargaah ke durvesho aur khaadimo ke joote sidha karta rahu aur un ki khidmat karta rahu.”
Kuchh waqt Peer ki khidmat me guzaarne ke baad Aap apni waalida ki khidmat ke liye Avadh waapas aaye. Magar jab aap ki shohrat badhne lage to aap ne Peer ki baargaah me aaye aur Hazrat Ameer Khusro ke zariye jangal me jaakar mujaahida karne ki ijaazat maangi. Magar Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya ne farmaaya “Main apne kuchh khaas mureedo ko logo ke saath rehne ke liye farmaata hu.”
Peer ke farmaan par Aap apne ghar me hi riyaazat karte rahe. Aur faiz haasil karne ke liye Peer ke paas aate rehte.
Waalida ke inteqaal ke baad Aap Delhi aa gaye aur puri zindagi Hazrat ki sohbat me guzaari.
****************
Aap Peer ki bahot khidmat karte the.
Ek martaba Khwaja Baha-ud-deen Zakariya Multani rahmatullāhi alaihi ke mureed Khwaja Mohammad Gazrooni Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya ki khaanqaah me mehmaan hue. Raat ko Khwaja Mohammad Gazrooni tahajjud ke liye uthe aur wuzu karke laute to un ko apne kapde na mile. Woh chillakar fariyaad karne lage. Khwaja Naseer-ud-deen Mahmood foran aaye aur apne peer ki ibaadat me khalel na ho is liye apne kapde lekar aaye aur Khwaja Mohammad Gazrooni ko de diye. Subah ko jab Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya ko is baat ka pata chala to unho ne naye kapde Aap ko bataure hadiya diye aur Aap ke liye khub duaen ki.
****************
Ek martaba Aap Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya ki baargaah me aaye to kuchh durwesh waha maujood the. Aap ba-adab khade rahe. Peer ne Aap ko ek jagah par baithne ke liye farmaaya to Aap ne arz kiya ke “Kahi durwesho ki taraf meri peeth na ho jaaye.” Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya ne farmaaya “Chiraag ki peeth nahi hoti woh to har simt roshni hi phailaata hai.”
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ek martaba Aap apne Peer ke liye paani ka hauz tayyaar kar rahe the. Sultaan Ghiyaṡ-ud-deen ne khaanqaah me tel le jaane par paabandi laga di taake raat ko kaam na ho sake. Aap ne chiraagh me paaani daalkar roshni ki aur waqt par kaam pura karaaya.
****************
20 Zil Hijja 724 Hijri (1323 A.D.) ko Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya ne Aap ko khilaafat ata farmai.
Apne wisaal se pehle Hazrat ne Aap ko bulakar apna Khirqa, Asaa, Musalla, Tasbeeh aur kaansa ata farmaaya aur farmaaya “Khidmate deen aur khidmate khalq karte raho.”
****************
Aap hamesha sab se achha bartaav karte aur sab ko madad karte aur faiz ata farmaate.
Ek martaba namaaz e zohar ke baad aap apne hujre me riyaazat me masroof the. Ek shakhs ne aakar aap par hamla kiya. Aap ke jism se khoon behne laga. Logo ne us shakhs ko pakad liya. Aap jab hujre se baahar aaye to us shakhs ko saza dene ke bajaay chhod dene ke liye farmaaya aur us shakhs ko kuchh maal dekar use jaane diya.
****************
Ek martaba Aap ke mureed Qawaam-ud-deen ko shaahi darbaar se bartaraf kar diya gaya. Jab woh ohade se door ho gaye to un ke rishtedaar aur sanaasaai ne un ko nazar andaaz karne lage. Jab woh bazaar me koi cheez bechne ke liye jaate to koi khareedta nahi. Maayoos hokar unho ne Khwaja Naseer-ud-deen se arz kiya to aap ne un ko ek sher kaha :
“Duniya cho muqaddar ast nakharoshi beh, Rizq-e-toa rasad kam-o-beshi-beh.
Cheez-e-ke naami kharand nafaroshi beh, Gufta toa naami kunund khamoshi beh.”
Tarjuma :
Dunya to muqaddar hai use chhod dena achha hai, Tumhara rizq milega us me kam o beshi hona achha hai.
Jis cheez ko koi kharidta na ho use na bechna achha hai, Tumhari baat koi sunta na ho to khaamosh rehna achha hai.
****************
Sultaan Mohammad Tughlaq aap ko bahot pareshaan karta tha.
Ek martaba Sultaan Thath gaya to us ne Hazrat aur dusre durwesho ko waha bulaaya aur dua karne ke liye kaha. Magar Sultaan ne un sab se adab se sulook nahi kiya. Sab ne sabr kiya. Kuchh arse baad Sultaan Thath me baaghiyo ko dabaane ke liye gaya aur wahi par mar gaya.
Kisi ne puchha ke “Sultaan baghair kisi wajah ke aap ko kyun takleef deta tha?’”Aap ne irshaad farmaaya “Yeh mere aur mere Rab ke darmiyaan ka muamla hai.”
Jab us ka beta Feroz Shaah Tughlaq sultaan bana to us ne Hazrat ki darkhwast par waada kiya ke “Main logo ke saath bhalai aur narmi se bartaaw karunga aur adl o insaaf se hukoomat karunga.” Aap ne us ke liye dua farmaai aur ALLĀH ke fazl se us ne 40 saal tak hukoomat ki.
****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmaate hain :
(1) Tasawwuf me kaamyaab hone ke liye Shariat ka paaband hona zaroori hai. Shariat se door rehkar koi bhi roohaani bulandi haasil nahi kar sakta balke jaha hote hai waha se bhi neeche aa jaata hai.
(2) Dunyaawi cheezo ki khwaahish janzeer ki tarah hoti hai jo rooh ke liye bandish paida karti hai. Durwesh ko dunya ki cheezen aur maal o daulat ko tark karne ki himmat paida karni chaahiye aur us ke liye zara bhi laalach ya tawajjoh nahi rakhni chaahiye.
Behtareen insaan wo hai jis ka dil Khaaliq ki mohabbat se bhara hua ho, jis ka jism ma’abood ki ibaadat me laga hua ho aur jis ke haath dunya ki daulat se khaali ho.
(3) Nafs ko maarte raho aur us ke liye kam khaao, kam sote raho, logo ki sohbat se door raho aur Zikr e ilāhi me masroof raho.
(4) Soofi ko sabr o hilm aur faraakh dili apnaana chaahiye aur badla o inteqaam ko dil se nikaal dena chaahiye aur sabr ke saath har pareshaani aur dushwaari ka saamna karna chaahiye aur buraai ke badle buraai karne se bachna chaahiye.
(5) Har insaan se humdardi aur husne sulook karo. Sooraj tamaam logo ko roshni deta hai aur baarish tamaam logo ko faa'ida deti hai.
(6) 3 qism ke Insaan mukhtalif wajah se Rabb se door hote hain :
[1] Awaam - Jo Gunaah ki wajah se Rab se door hote hain.
[2] Khwaas - Jo Ghaflat ya Ne'amato ki laalach ki wajah se Rab se door hote hain.
[3] Akhaas-ul-khwaas – Jo Hasanaat (Achhaai /Neki) ki khwaahish ki wajah se Rab se door hote hain. Kyun ki sirf achha hona kaafi nahi balke Rab ko raazi karna zaroori hai.
****************
Aap farmaate hain ke
“Raah e Sulook me Peer wo hai jise Mureed ke baatin par tasarruf haasil ho aur har waqt mureed ki zaahiri aur baatini mushkilaat ko ma’aloom karke hal kare aur us ke aa'ina e baatin ko saaf kar sake.”
“Saadiq Mureed woh hai jo Peer ka har hukm bajaa laaye aur jo kuchh use dikhaaye wohi dekhe aur har waqt Peer ko haazir o naazir samajhe, jo kuchh us ke dil me Nek ya Bad khayaalat guzre un ka izhaar apne Peer se kare. Agar Mureed ke Dil me zarra bhar khayaal bhi Peer ke bar khilaaf ho to wo Saadiq mureed nahi ho sakta.’
****************
Aap ke Malfoozaat ko Maulana Hamid Qalandar Shaa'ir ne ‘Khair-ul-Majaalis’ – (755 se 756 Hijri ke darmiyaan ki 100 Majaalis) aur Maulana Muhibullāh ne ‘Miftah-ul-Aashqeen’ me jama kiye hain.
****************
Aap Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘Chishti Nizaami Naasiri’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Banda Nawaaz Gaisu Daraaz Sadr-ud-deen Sayyed Muhammad Husaini rahmatullāhi alaihi (Gulbarga)
(2) Hazrat Kamaal-ud-deen Allama rahmatullāhi alaihi (Delhi)
(3) Hazrat Shaikh Sadr-ud-deen Tabeeb rahmatullāhi alaihi (Delhi)
(4) Hazrat Shaikh Zain-ud-deen Ali Awadhi rahmatullāhi alaihi (Delhi)
(5) Hazrat Shaikh Abdul Muqtadir rahmatullāhi alaihi (Delhi)
(6) Hazrat Shaikh Ma'sood rahmatullāhi alaihi (Delhi)
(7) Hazrat Khwaja Siraaj-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Patan, Gujarat)
(8) Hazrat Qutb-e-Aalam rahmatullāhi alaihi (Bantwa, Gujarat)
(9) Hazrat Khwaja Abu Mohammad al-Johri urfe Baaba Lavlawi rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat)
(10) Hazrat Qaazi Shaikh Qawaam-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Lucknow)
(11) Hazrat Shaikh Danyaal rahmatullāhi alaihi (Satrakh)
(12) Hazrat Maulana Khwaja Sayyed Mohammad rahmatullāhi alaihi (Kalpi)
(13) Hazrat Shaikh Ahmad Thanesari rahmatullāhi alaihi (Kalpi)
(14) Hazrat Shaikh Mutawakkal Kantoori rahmatullāhi alaihi (Behraich)
(15) Hazrat Shaikh Sulaimān rahmatullāhi alaihi (Bara Banki)
(16) Hazrat Sayyed Ala-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Sandila, Maharashtra)
(17) Hazrat Sayyed Mohammad bin Ja’afar Makki rahmatullāhi alaihi (Sirhind, Punjab)
(18) Hazrat Makhdoom Ala-ud-deen Ansaari urfe Laadle Masha'ikh rahmatullāhi alaihi (Aland, Karnataka)
(19) Hazrat Khwaja Ya’aqoob Chanderwi rahmatullāhi alaihi
(20) Hazrat Maulana Yousuf Gada rahmatullāhi alaihi
(21) Hazrat Makhdoom Jahaaniya Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi (Uch, Multan).
****************
Aap ka wisaal 17 Ramazaan 757 Hijri (1356 A.D.) ko hua.
Aap ki wasiyat ke mutaabiq Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ka khirqa Aap ke seene par rakha gaya, Asa aap ke bagal me rakha gaya, Tasbeeh aap ki shahaadat ki ungli me, Kaasa aap ke sar ke neeche aur Peer ke naalain aap ke baazu ke neeche rakhe gaye.
Aap ka mazaar Delhi me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Naseer-ud-deen Mahmood Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے