Hazrat Shaah Nizaam-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Taaj-ul-Auliya.
****************
Aap ki wilaadat 1 Safar 1234 Hijri (30 November 1818 A.D.) ko hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd bin Haaji Hakeem e Ilāhi Shaah Rahmatullāh Alwi rahmatullāhi alaihi hai.
Aap ke waalid ne Aap ke kaan me Azaan aur Iqaamat padhi.
****************
Aap bachpan se hi khaanqaah me aate aur Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd ke shaagirdo ki sohbat me rehte.
Maulana Makhdoom Abdul Shakeel aur Maulana Ubaidullāh Badakhshani se ta’aleem haasil ki.
Aap Arabi, Faarsi, Urdu aur Hindi ke maahir hue.
Aap ne Hadeeṡ, Fiq'h aur Tafseer ki ta’aleem haasil ki.
Aap Falsafa aur Ilme Falakiyat (Astronomy) ke maahir the.
Aap talwaar baazi aur tirandaaji ke bhi maahir the.
****************
Bachpan me Huzoor Shaah Niyaaz Ahamd Aap ko roz 2 ghante apne paas bithaate.
9 saal ki umr me Aap ko Shaghal Durood sikhaaya.
Is ke baad Aap ne riyaazat aur mujaahida shuru kiya.
11 saal ki umr me Aap ne Chilla karna shuru kiya.
Aap ko jangal me mujaahida ke liye bheja gaya.
Aap andhere kamre me baithkar riyaazat aur mujaahida karte.
Ek martaba Aap Muraaqaba me masroof the ke ek azdaha zaahir hua. Aap ne us par koi tawajjoh na ki aur khaamoshi se muraaqaba jaari rakha. Kuchh waqt ke baad woh azdaha gaa'ib ho gaya.
Is tarah Aap ne kai chille kiye.
1247 Hijri (1831 A.D.) me 13 saal ki umr me jab Aap Sulook me maqaame kamaal par pahunch gaye to Huzoor Shaah Niyaaz ne Aap ko 2 rak'at namaaze shukraana ada karne ke liye farmaaya.
Phir Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai aur sajjaada nasheen banaaya.
1250 Hijri (1834 A.D.) me Aap ki umr 16 saal 4 mahine thi tab Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd ka wisaal hua.
****************
Aap akṡar waqt ibaadat aur mujaahida me guzaarte.
60 saal tak puri raat jaagkar ibaadat karte.
Aakhri 3 saal me khaana band kar diya, sirf 2 ande khaate.
Aap hamesha khidmate deen aur khidmate khalq me masroof rehte. Logo ko ta’aleem wa faiz ata farmaate.
Aap ki nazare tawajjoh se beshumaar logo ko hidayat mili aur gunaaho se tauba karke sahi raah apnaai.
Aap ki khaanqaah me langar jaari tha jis me ghareebo ko khaana khilaaya jaat tha.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Aap ka ek mureed Hajj ada karne ke liye gaya. Waapas me us ka saara maal gum ho gaya. Us ne Madeena munawwara se Jeddah ki jaanib paidal safar shuru kiya. Woh bhuk aur pyaas ki wajah se behaal aur pareshaan tha. Achaanak kisi ne use pukaara. Us ne theharkar dekha to Hazrat Taaj-ul-Auliya the. Hazrat ne farmaaya “Fikr mat karo, sab theek ho jaayega. Pehle kuchh der aaraam kar lo.” Hazrat ke farmaan par woh so gaya. Jab aankh khuli to ek shakhs ne us se puchha “Aap Hajj ke safar se waapas kab aaye?” Us ne jawaab diya “Bhai! Main abhi o Madeena se thoda aage nikla hu.” Yeh sunkar us shakhs ne kaha “Aap Madeena me nahi balke Pilibhit me ho.” Woh foran wahi se safar karke Bareilly pahuncha aur Hazrat ki khidmat me aaya. Use dekhkar Hazrat ne farmaaya “Is waaqye ko kisi ke saamne zaahir mat karna.”
(2) Ek martaba Aap ke khalifa Sayyed Husain Shaah Rome ka safar kar rahe the. Woh pahaado se ghire hue sehra me raasta bhul gaye. Khaana aur paani khatm ho jaane ki wajah se woh pareshaan aur kamzor ho gaye. Unho ne apne peer ko yaad kiya. Foran Hazrat nazar aaye aur farmaaya “Is tarah tanha safar mat kiya karo.” Phir farmaaya “Apni aankhen band karo.” Jab Sayyed Husain Shaah ne apni aankhen kholi to dekha ke woh Rome ke shaher me hain. Phir kuchh log un ko apne ghar par le gaye aur un ki khaatir-daari ki.
(3) 1273 Hijri (1857 A.D.) me Ghadar ke dauraan Aap apne saathiyo ke saath Rampur jaa rahe the. Raaste me raat ke waqt Aap ek gaanv me thehre. Achaanak kisi aurat ki rone ki aawaaz sunkar Aap ne apne mureedo ko pata karne ke liye bheja. Mureedo ne aakar bataaya ke “Ek Hindu aurat ke bache ek ke baad ek bachpan hi me kar gaye hai. Aakhri ladka bhi aaj mar gaya hai. Is liye woh ro rahi hai.” Aap ne us aurat ko bulaane ke liye farmaaya. Jab woh aurat Aap ki khidmat me haazir hui to Aap ne farmaaya “Tumhare yaha aur ek ladka paida hoga jo lambi umr paayega.”
Ek saal baad us aurat ko ladka hua. Jab woh ladka thoda bada hua to woh aurat use lekar Aap ki baargaah me haazir hui aur us ka naam rakhne ke liye arz ki. Aap ne us ladke ka naam ‘Raam Sahaay’ rakha.
(4) Ek martaba ek shakhs apne ladke ko lekar Aap ki khidmat me haazir hua. Woh ladka be-hosh tha. Aap ne use Doctor ke paas le jaane ke liye farmaaya. Woh shakhs rone laga aur arz ki “Huzoor! Main badi ummeed lekar aap ki baargaah me aaya hu.” Aap ko raham aa gaya aur us ladke ke badan par apna haath mubarak phera aur farmaaya “Beta! Uth jaao.” Phir us ladke ko Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd rahmatullāhi alaihi ke mazaar par le jaane ke liye farmaaya. Aur ladke ke jism par Hazrat ki turbat ki mitti lagaai. ALLĀH ke fazl se woh ladka foran theek ho gaya aur khada ho gaya.
****************
Ek martaba ek ajnabi shakhs Aap ki baargaah me haazir hua aur ba-adab ek lifaafa pesh kiya. Aap ne us lifaafe ko khola aur us khat ko ba-adab apni aankho se lagaaya aur phir use ek bakes me rakh diya. Us me sunehari huruf me paighaam likha hua tha.
Us shakhs ne bataaya ke “Jab main Madeena munawwara me Roza mubarak par haazir hua to maine Peer e kaamil ke liye arz ki. Jab main apne qayaamgaah par aaya to ek Arab mila. Us ne Aap ko Hindustan jaakar Bareilly me Hazrat Shaah Nizaam-ud-deen Husain ki baargaah me jaane ke liye kaha aur ek lifaafa diya aur kaha ke is lifaafe ko Hazrat ko de dena. Us ke baad main Madeena se Bareilly Hazrat ka mureed hone ke liye aaya.”
****************
Aap (apne waalid) Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat ne Aap ko ‘Chishti Nizaami’ aur ‘Qaadri’ silsila ki khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaah Mohiy-ud-deen Ahmad rahmatullāhi alaihi (Sajjaada nasheen)
(2) Hazrat Maulwi Muhammad Zareef Badakhshani rahmatullāhi alaihi (Gwalior)
(3) Hazrat Mohammad Gul rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Mirza Aagha Muhammad rahmatullāhi alaihi (Jabalpur)
(5) Hazrat Maulwi Nasrullāh rahmatullāhi alaihi (Gwalior)
(6) Hazrat Munshi Ali Ahmad rahmatullāhi alaihi (Gwalior)
(7) Hazrat Maulwi Ubaidullāh rahmatullāhi alaihi (Bareilly)
(8) Hazrat Mulla Mohammadi Shaah rahmatullāhi alaihi (Allahabad)
(9) Hazrat Sayyed Husain Shaah rahmatullāhi alaihi (Chennai)
(10) Hazrat Qaari Muhammad Nazar rahmatullāhi alaihi (Fatehpur, Haswa)
(11) Hazrat Sayyed Muzaffar Ali Shaah rahmatullāhi alaihi (Akbarabad)
(12) Hazrat Sayyed Ameer Ali Shaah rahmatullāhi alaihi (Akbarabad)
(13) Hazrat Maulwi Muhammad Fazl-e-Kareem rahmatullāhi alaihi (Ghazipur)
(14) Hazrat Maulwi Zahur-ul-Haq rahmatullāhi alaihi (Rampur)
(15) Hazrat Maznoon Shaah rahmatullāhi alaihi (Kabul)
(16) Hazrat Sayyed Akbar Ali rahmatullāhi alaihi (Bareilly)
(17) Hazrat Maulwi Nazaf Ali rahmatullāhi alaihi (Meerut)
(18) Hazrat Sayyed Wasi Ali rahmatullāhi alaihi (Sandeela)
(19) Hazrat Aagha Muhammad Irani rahmatullāhi alaihi (Kanpur)
(20) Hazrat Sayyed Qurbaan Ali Shaah rahmatullāhi alaihi (Bhopal)
(21) Hazrat Ali Shaah rahmatullāhi alaihi (Nagheena)
(22) Hazrat Maulwi Muhammad Faa'iq rahmatullāhi alaihi (Fatehpur, Haswa)
(23) Hazrat Nazeer Shams-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Peshawar)
(24) Hazrat Saahabzaada Ghulaam Nizaam-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Delhi)
(25) Hazrat Shaah Saahab Wilaayati rahmatullāhi alaihi (Lucknow)
(26) Hazrat Dr. Badr-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Bihar)
(27) Hazrat Nawaab Abul Hasan rahmatullāhi alaihi (Javra)
(28) Hazrat Maulwi Abul Hasan rahmatullāhi alaihi (Patna)
(29) Hazrat Ya’aqoob Ali Khan rahmatullāhi alaihi (Kasba Shahi)
(30) Hazrat Maulwi Muhammad Ismāeel rahmatullāhi alaihi (Punjab)
(31) Hazrat Abdullāh Shaah rahmatullāhi alaihi (Atak)
(32) Hazrat Aagha Ahmad Shaah rahmatullāhi alaihi (Turkey)
(33) Hazrat Dr. Sayyed-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Bihar)
(34) Hazrat Maulwi Fazl-e-Aalam rahmatullāhi alaihi (Bachrayun)
(35) Hazrat Maulwi Ghulaam Sharf rahmatullāhi alaihi (Khedi, Shikohpur)
(36) Hazrat Haaji Abdus Samad rahmatullāhi alaihi (Kashmir)
(37) Hazrat Ghulaam Muhammad Miskeen Shah rahmatullāhi alaihi (Jaipur).
**************
Apne wisaal se ek din pehle Aap ne apne dono haath aage ki taraf uthaaye jaise kisi se musaafa kar rahe ho. Wajah puchhne par bataaya ke “Silsila ke masha'ikh e saabiq meri iyaadat ke liye tashreef laaye the.”
*********************
Aap ka wisaal 1 Ramazaan 1322 Hijri (9 November 1904 A.D.) Jumeraat ko dopajar ko 12 : 30 baje hua.
Aap ka mazaar Bareilly (Uttar Pradesh) me hai.
*********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Nizaam-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں