Hazrat Meer Sayyed Mohammad Kalpawi rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Burhaan-ul-Asfiya.
****************
Aap ki wilaadat 1002 Hijri (1593 A.D.) me Kalpi me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Abu Saeed bin Baha-ud-deen bin Imaad-ud-deen al-Hasani Tirmizi hai.
Aap ke pardaada Tirmiz se Jalandhar aaye the. Aur phir Aap ke waalid Jalandhar se Kalpi tashreef laaye the.
****************
Aap ne apni waalida ki nigraani me bunyaadi ta’aleem haasil ki.
Phir 7 saal ki umr me Aap ki waalida ne Aap ko Hazrat Shaikh Muhammad Younus Mohaddeeṡ rahmatullāhi alaihi ke paas ta’aleem ke liye bheja. Aap ne ek arse tak un se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki aur Sanad haasil ki. Is ke baad dusre ulama se bhi ta’aleem haasil ki.
Phir Kora Jahanabaad jaakar Hazrat Shaikh Jamaal-ul-Auliya rahmatullāhi alaihi se ta’aleem mukammal ki. Aur un se Ba'iat ki.
Phir Peer ke farmaan par Kalpi tashreef laaye aur ta’aleem wa tadrees shuru ki.
****************
Ek martaba Aap ko khwaab me Khwaja Baha-ud-deen Naqshband rahmatullāhi alaihi ki ziyarat hui aur Khwaja ne aap ko Akbarabad jaakar Naqshbandi Shaikh se faiz haasil akrne ke liye farmaaya. Aap jab bedaar hue to foran safar ke liye intazaam karke Akbarabad tashreef le gaye. Waha jaakar pata chala ke Naqshabandi silsila ke 2 azeem masha'ikh hain : Hazrat Meer Nomaan Naqshbandi Mujaddidi aur Hazrat Khwaja Abul Ula Ahraari. Aap ne pehle Hazrat Meer Nomaan rahmatullāhi alaihi se mulaaqaat karne ke iraada kiya. Magar sawaari waale ne aap ko Khwaja Abul Ula rahmatullāhi alaihi ki baargaah par pahuncha diya. Aap ne use Meer Nomaan ki baargaah par le jaane ke liye kaha. Magar Aap ki sawaari phir se Khwaja Abul Ula ki baargaah par hi pahunchi. Aap ne phir se Hazrat Meer Nomaan ki baargaah par le jaane ke liye kaha. Magar phir se Khwaja Abul Ula ki baargaah par hi pahunche. Kai baar aisa hone par sawaari se neeche utre aur khaanqaah ke andar gaye.
Aap ko dekhkar Khwaja Abul Ula ne ‘Allāhu akbar’ kaha. Aur jab Aap Khwaja ke paas pahunche to aap ka haath pakadkar phir se ‘Allāhu akbar’ kaha. Jis se apa ke dil ka aalam badla gaya. Aur aap Khwaja ki khidmat me hi rook gaye. Chand mahine baad aap ne waapas jaane ki ijaazat maangi to Khwaja ne Aap ko khilaafat ata farmai. Aur Khwaja Baha-ud-deen Nashband ki tasbeeh ata farmai.
10 saal baad Aap phir se Akbarabad tashreef le gaye aur Khwaja ki khidmat me 4 mahine guzaare.
****************
Ek baar Aap Khwaja Ghareeb nawaaz rahmatullāhi alaihi ke mazaar e paak par haazir hue to Ghareeb nawaaz ne aap ko bashaarat ata farmai aur farmaaya “Humare mulk me tumhe hamare tareeqe par chalna chaahiye.” Aur Aap ko Chishti faiz ata farmaaya.
Aap har saal Khwaja ke mazaar e paak par ziyarat ke liye tashreef le jaate aur faiz haasil karte. Khwaja ki baargaah se Aap ko ye faiz mila tha ke Aap jab chaahe roohaani taur par Ajmer pahunchkar khwaja se faiz haasil karte.
****************
Aap Aalim hone ke saath Aabid aur Zaahid bhi the.
Aap ne 26 saal tak roz roze rakhe.
Aap Ulama aur Sufiya ki sohbat me zyada waqt guzaarte.
Aur ghareebo ko saath bhi waqt guzaarte.
Aap ki baargaah me jo bhi haajatmand aata Aap use faiz ata farmaate aur sab ko madad farmaate.
****************
Ek martaba ek gunaahgaar shakhs Aap ki baargaah me aaya. Us ne socha ke agar Hazrat ki nigaah e faiz se mujhe koi khaas kaifiyat mehsoos hogi to main gunaah karna chhod dunga. Jaise hi wo aaya aap ne us par nazar daali to wo behosh ho gaya. Jab use hosh aaya to us ne apna kurta phaad daala aur durweshi ikhtiyaar karne ka faisla kiya. Aap ne apne khaadim ke saath ek umda kurta bheja. Magar us ne ba-adab lene se inkaar kar diya. Aakhir me aap khud woh kurta lekar aaye aur farmaaya “Yeh meri nazar ka aṡar hai ke ALLĀH ne tumhare dil ka aalam badal diya. Jo main tumhe ata farmaata hu use le lena chaahiye. Tumhe pata nahi us me tumhare liye kya hai.” Jab us ne woh kurta pehna to us par asraar zaahir ho gaye.
Is ke baad woh Kalpi me rehkar Hazrat ka khaas khaadim ban gaya.
****************
Aap ke 2 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade :
(1) Meer Ahmad,
(2) Qalb Aalam.
Saahabzaadi :
Naaz Falak.
****************
Aap Hazrat Shaikh Jamaal-ul-Auliya rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Khwaja Sayyed Ameer Abul Ula Naqshbandi rahmatullāhi alaihi ne ‘Naqshbandi Ahraari’ silsila ki khilaafat ata farmaai hai.
Aap ko Qaadri, Chishti, Suharwardi, Naqshbandi aur Madaari silsila ki khilaafat mili hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Meer Sayyed Ahmad Kalpawi rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Shaikh Muhammad Afzal Ilahabadi rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Aashiq Muhammad rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Haaji Junaid rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Shaikh Abdul Hakeem Mohani rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Shaikh Kamaal rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Shaikh Abdul Mo’min Akbarabadi rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Meer Muhammad Waariṡ Nizamabadi rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Shaikh Kamaal Karakati rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Haaji Wali Muhammad rahmatullāhi alaihi
(11) Hazrat Sayyed Muzaffar rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Haafiz Zia'ullāh Bilgrami rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Shaikh Abdul Hafeez Bilgrami rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Jamaal Muhammad Gwaliori rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 26 Sha’abaan 1071 Hijri (April 1661 A.D.) ko Peer ke roz hua.
Aap ka mazaar Kalpi (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Meer Sayyed Mohammad Kalpawi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں