Hazrat Shaah Sayyed Abul Hasanaat Sikandar Qaadri Kaithali

Hazrat Shaah Sayyed Abul Hasanaat Sikandar Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Raees-ul-Auliya.
****************
Aap ki wilaadat 29 Sha’abaan 959 Hijri (20 August 1552 A.D.) ko hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaah Sayyed Imaad-ud-deen bin Shaah Sayyed Kamaal Kaithali hai.
Aap Hasani saadaat hain.
Aur Hazrat Ghauṡe aazam Sayyed Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke daada 928 Hijri (1522 A.D.) me Baghdad se Hind me tashreef laaye the.
****************
Aap ki wilaadat se pehle Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam aur Maula e kaa'inaat Hazrat Ali radiy-Allāhu anhu ne aap ki waalida ko bashaarat di thi ki ‘Tumhare yaha aisa beta aane waala hai jo sooraj ki tarah apne faiz se aalam ko roshan karega.’
Aap ke daada ne bhi apne bete Shaah Imaad-ud-deen se farmaaya the ke ‘Tumhe mubarak ho ke tumhare yaha aisa beta aane waala hai jis ke faiz se tamaam jahaan faizyaab hoga.’
****************
Aap paida hote hi maahe Ramazaan me din ke waqt me doodh nahi peete the sirf raat me hi doodh peete the. Is tarah pure Ramazaan me roza rakhte the.
****************
Aap ke daada jaan aap ko bachpan se faiz ata farmaate rahe.
Ek martaba Aap ke daada wuzu kar rahe the aur un ka amaama mubarak bagal me rakha hua tha. Aap ne khelte hue use apne sar par rakha. Ye dekhkar Shaah Kamaal ne farmaaya ‘Pyaare bete! Ab ye tumhara amaama hai. Tumhe mubarak ho.’
****************
Jab Aap madrasa me gaye aur Ustaad ne padhaaya ‘Alif’ to aap ne ‘Alif’ padha, Phir ustaad ne ‘Bay’ padhaaya to aap ne ‘Bay’ padhne ke bajaay farmaaya ‘Mere liye Alif hi kaafi hai.’ Is ke baad Aap ne bahot der tak ‘Alif’ ka mafhoom samjhaya. Jise sunkar ustaad ko bhi ta’ajjub hua.
Aap ke sab ustaad aap ka bahot adab karte the. Mulla Husaini farmaate the ‘Ye bacha makhlooq ke liye aala darje ka murshid banega.’
****************
Aap ne ek arse tak mujaahida aur riyaazat me waqt guzaara.
Aap hamesha saadgi aur qana’at apnaate the.
ALLĀH ta’ala ne Aap ko ye kamaal ata farmaaya tha ke aap ke nazare faiz se logo ke dil ka aalam badal jaata tha. Faasiq o gunaahgaar tauba kar lete the aur kaafir deene islaam me daakhil ho jaate the. Zaalim hukmaraan zulm karna chhod dete the aur dunyadaar log maal ki laalach chhodkar nek ban jaate the.
Aap ki taaleem aur faiz se be-shumaar logo ke dil roshan ho gaye.
Ek martaba Aap jungal me mujaahida me masroof the. Ek 4 chor waha se guzre. Unho ne aap se shaher ka raasta puchha. Aap ne unhe qareeb bulaaya aur apni chaadar un ke sar par rakhi. ALLĀH ta’ala ke fazl se wo Wali ban gaye.
****************
Aap baadshaaho aur ameero se parhez karte the.
Ek martaba Samana ka governor aap ki khidmat me aaya aur ALLĀH ta’ala ki qurbat ka tareeqa bataane ke liye arz kiya to Aap ne farmaaya ‘Tum log humare zariye Rab ta’ala ki panaah chaahte ho aur hum us se dunyadaaro se hifaazat maangte hain.’
****************
Aap hamesha tazkiyah e nafs aur husne akhlaaq ki ta’aleem dete the. Aap maante the ke agar qalb paak hoga to neki ki taaqat zaroor aṡar karegi.
Aap hamesha sunnato ki paabdandi ki taaqid karte the.
988 Hijri (1581 A.D.) me Mughal baadshah Akbar ne sab mazhab ko milaakar Deen-e-Ilāhi banaya to aap ne use maanne se inkaar kiya aur farmaaya ke ‘Sirf deen e Islaam hi sahi hai.’
****************
Hazrat Qaazi Sadr-ud-deen Lahori ke dil me Hazrat Ghauṡe aazam Abdul Qaadir Jeelaani rahmatullāhi alaihi ki be-inteha mohabbat thi. Wo hamesha Tilaawate Qur’an karke Ghauṡe aazam ki baargaah me isaale ṡawaab karte rehte the. Ek martaba Ghauṡe aazam ne khwaab me tashreef laakar irshaad farmaaya ‘Tum Kaithal jaao aur mere farzand Shaah Sikandar se mulaaqaat karo. Us ki zabaan meri zabaan ki tarah hai.’
****************
Ek martaba Hazrat Mujaddid-e-Alfe Ṡaani Imaam Shaikh Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi shadeed beemaar hue. Aap ke pariwaar ne bhi unke sehatyaab hone ki ummeed chhod di. Hazrat Mujaddid-e-Alfe Ṡaani ke waalide mohtaram Shaikh Abdul Ahad ne ek shakhs ko Hazrat Shaah Sikandar Kaithali rahmatullāhi alaihi ke paas bhejkar dua ke liye iltija ki. Aap ne un ke munh me apna Luaabe dahan daala aur farmaaya ‘Fikr mat karo. Bacha jaldi hi theek ho jaayega aur us ki umr badi taweel hai. Is ke jhande ke tale deene islaam shaadaab wa kaamraan hoga.’
****************
Aap Hazrat Shaah Sayyed Kamaal Kaithali rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaah Sayyed Mohibullāh Ilyaas rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Mujaddid-e-Alfe Ṡaani Imaam Shaikh Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 10 Jamaadi ul Awwal 1025 Hijri (26 May 1616 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Kaithal (Haryana) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Sayyed Sikandar Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے