Header Ads

Naseeb chamke hein farshion kay kay arsh kay chand aarahe hein

 Marhaba ya mustafa marhaba ya mustafa

Marhaba ya mustafa marhaba ya mustafa


Naseeb chamke hein farshion kay kay arsh kay chand aarahe hein

Jhalak sey jin kee falak hey roshan wo shams tashreef laa rahe hein


Nisaar teree chehel pehel pey hazaron eiden rabi-ul-awal

Siwa-e-iblees kay jahan main sabhee to khushiyan mana rahe hein


Shab-e-wiladat main sab musalman na kiyoon karain jaan-o-maal qurban

Abu lahab jesey sakht kaafir khushi main jab faiz pa rahe hein


Zamanain bhar main yeh qaaida hey kay jis ka kaana usee ka gaana

To naymatain jin kee kaah rahe hein unhee kay ham geet gaah rahe hein


Mein terey sadqay zameen-e-taiba fida na ho tuj pey kiyoon zamana

Kay jin kee khatir banain zamanain wo tuj main araam paa rahe hein


Jo qabar main un ko apnee paoon pakar kay daman machal hee jaoon

Jo dil main reh kay chupay thay mujse woh aaj jalwa deka rahe hein

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے