Hazrat Abdullāh ibn Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu

Hazrat Abdullāh ibn Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Raees-ul-Mufassireen, Hibr-ul-Ummat, Bahr-ul-Uloom.
****************
Aap ki wilaadat 10 Nabawi (619 A.D.) me Makka me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Hazrate Ummul Fazl, Lubaaba bint Haariṡ radiy-Allāhu ta’ala anha hai.
Aap Quraish ke Banu Haashim khaandaan se hain.
Aap Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke chacha-zaad bhai hain.
Aap ki waalida Ummul mo’mineen Hazrate Khadeejatul kubra radiy-Allāhu ta’ala anha ki khaas saheli thi aur Hazrate Khadeejatul kubra ke baad eimaan laane waali dusri aurat thi.
Aap ki waalida aap ko lekar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat me haazir hui to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apna luaabe dahen (thoonk) aap ke munh me rakha aur dua farmai.
******************
Jab Aap baaligh hue to Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam karna shuru kar diya khaas kar aap ke liye wuzu ka paani lane ki khidmat anjaam dene lage.
Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam wuzu ke liye tashreef le jaa rahe the tab aap jaldi se aage gaye aur paani ka intazaam kiya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne namaaz shuru karne se pehle Aap ko bagal me khade rehne ke liye farmaaya lekin aap . Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke pichhe khade rahe. Jab namaaz khatm hui to . Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne puchha ke “Tumhe mere bagal me khade rehne se kis baat ne roka?” Aap ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Aap mere liye mohtaram hain. Aap ki shaan aur martaba itna buland hai ke maine aap ke bagal me khade rehne ko khilaaf e adab maana.” Yeh sunkar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne aap ko seene se lagaaya aur apne haath uthaakar dua farmai “Ya Rabbul aalameen! Ise ilm aur faham o hikmat ata farma.”
Aap kabhi bhi Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki mehfil me haazir hona nahi chuke. Aap ka haafiza bahot mazboot tha. ALLĀH ta’ala fazl se aap saari baaten yaad rakh lete.
******************
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke wisaal ke waqt aap ki umr 13 saal thi.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke wisaal ke baad jin ashaaba ko aisi hadeeṡe mubarak yaad ho jo aap nahi jaante ho to aap un ashaaba se mulaaqaat karke ba-adab us hadeeṡ shareef ko jaan lete.
Ek martaba Aap hadeeṡ shareef jaanne ke liye shaam ke waqt ek sahaabi ke ghar par tashreef le gaye aur baahar khade rehkar intazaar karne lage. Jab woh sahaabi baaahar aaye aur aap ko dekhkar kaha “Agar aap ne mujhe aawaaz di hoti to main baahar aa jaata.” Aap ne farmaaya “Main aap se ilme deen sikhne aaya hu. Is liye jaldbaazi karna munaasib nahi hai.” Phir Aap ne un se woh hadeeṡ shareef sama’at ki.
******************
Ek martaba Hazrate Zaid bin Ṡaabit radiy-Allāhu ta’ala anhu safar par jaa rahe the to Aap bagal me khade hokar un ko sawaari par chadhne me madad karne lage. Hazrate Zaid bin Ṡaabit aap ko roka to aap farmaaya “Mujhe aisa sulook karna sikhaaya gaya hai.” Yeh sunkar Hazrate Zaid bin Ṡaabit aap ko apna haath aage karne ke liye kaha. Jab aap apna haath aage kiya to unho ne aap ka haath chuma aur farmaaya “Mujhe Ahle bait se aisa sulook karne ka sikhaaya gaya hai.”
******************
Ameer-ul-mo’mineen Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu aap se mashwara kiya karte the. Hazrat Abdur Rahmān bin Awf radiy-Allāhu ta’ala anhu ne is ke baare me puchha ke “Aap is ladke se mashwara karte hain jab ke woh umr me abhi chhota hai.” Hazrat Umar Faarooq ne farmaaya “Uske ilm o faham ki wajah se.”
Phir Hazrat Umar Faarooq ne Aap ko Soorah al-Nasr ke baare me puchha. [Tarjuma : Jab ALLĀH ki madad aur fatah aa pahunchi aur aap dekh rahe hain ke insaan jauq dar jauq ALLĀH ke deen me daakhil ho rahe hain. To aap (shukran) apne rabb ki tasbeeh us ki hamd ke saath bayaan farmaayen aur us se astaghfaar karen, Beshak woh bada tauba qubool farmaane waala hai.] Aap ne farmaaya “Is me bashaarat farmakar ALLĀH apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko un ke wisaal ke baare me aagaah kiya hai.” Yeh sunkar Hazrat Umar Faarooq ne farmaaya “ALLĀH ki qasam, main bhi is ke baare me wohi jaanta hu jo tum ne bayaan kiya.”
******************
35 Hijri me Ameer-ul-mo’mineen Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Aap ko ashaaba ke saath Hajje Baitullāh ke liye bheja. Is liye Hazrat Uṡmaan Ghani ki shaahadat ke waqt Madeena munawwara me maujood nahi the.
******************
Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Jung e Jamaal (Jamaadi-ul-awwal 36 Hijri), Jung e Siffin (Safar 37 Hijri ) aur Jung e Nahrawan (Safar 38 Hijri) me shareek hue.
Jung e Jamaal ke baad Rajab 36 Hijri (January 657) me Ameer-ul-mo’mineen Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Daar-ul-hukoomat (capital) Kufa me tabdeel karke tashreef le gaye to Hazrat Abdullāh ibn Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Basra ka governor muqarrar kiya.
Jung e Siffin ke baad muamale ko guft o suneed aur mashwara karke suljhaane ke liye 12 Safar 37 Hijri (30 July 657 A.D.) ko Hazrat Ali apne saathiyo ke saath Kufa waapas aaye.
Hazrat Ali ne pehle Hazrat Abdullāh ibn Abbaas aur Maalik al-Ashtar ko apna safeer banakar bheja. Magar jab Banu Umayya ke logo ne aitraaz kiya to Hazrat Abu Moosā Ash'ari ko bheja aur Banu Umayya ki taraf se Amr ibn Aas ko bheja gaya.
******************
Ramazaan 40 Hijri me Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ki shahaadat ke baad Aap ne Imaam Hasan radiy-Allāhu ta’ala anhu se bai'at ki.
61 Hijri me Imaame Husain ka Makka se Koofa jaane ka faisla kiya to Aap ne deegar sahaaba ke saath Imaam ko rokne ki koshish ki aur arz ki ke “Aap Koofa hargiz na jaayen. Waha ke log laalachi hain. Aap ko dhoka de sakte hain.”
magar Imaame Husain ne farmaaya ke “Main ALLĀH se khair ka taalib hu. Dekhte hain ke kya hota hai.”
******************
Aap logo ko ta’aleem wa tadrees karte the.
Ek martaba ek hazrat ne dekha ke Aap ke ghar ke baahar logo ka hujoom hai. Woh badi mahenat se ghar ke andar pahunche to dekha ke aap ne wuzu kiya aur phir baithkar farmaaya “Jo log qir’at aur tajweed ke baare me sikhna chaahte hain un ko andar bulaao.” Jab talba andar aaye to unhe sikhaaya aur farmaaya “Apne bhaaiyo ke liye jagah karo.” Phir farmaaya “Jo log tafseer ke baare me sikhna chaahte hain unhe andar bulaao.” Jab log andar aaye to unhe sikhaaya aur farmaaya “Apne bhaaiyo ke liye jagah karo.” Isi tarah logo ko fiq'h, halaal wa haraam, miraaṡ, ilm nahaw, ilme lisaani, tawaarikh ke baare me sikhaate rahe.
Aap ke shaagirdo me Mujaahid ibn Jabr, Taawus ibn Kaysan, Saeed ibn Jubayr, Ataa bin Yaasar aur Maalik bin Deenaar mash'hoor hain.
******************
Aap din ko roza rakhte aur puri raat ibaadat wa riyazat karte.
Jab aap tilaawate Qur’an karte ya dua karte to aap ki aankho se aansoo jaari ho jaate.
Ek martaba Aap Masjide Mabawi me e'atekaaf me the. Ek shakhs ne haazir hua aur arz ki ke “Aye Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke chacha ke bete! Main Roza e Rasool ke aage jhut nahi bolunga. Mujh par qarz ka bhaari bojh hai aur maine 3 din se khaana nahi khaaya. Is pareshaani me meri kuchh madad farmaiye.” Aap apni jagah se uthe aur baahar jaane lage. Us shakhs ne kaha ke “Aap kya kar rahe hain? Baghair uzre sharai ke baahar jaane se Aap ka e'atekaaf toot jaayega.”
Aap ne farmaaya “Tum sahi keh rahe ho Lekin mujhe Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ek Hadeeṡ yaad aa gai. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya hai ke : Koi shakhs meri ummat ki pareshaani karne ke liye chand qadam chala to us ka yeh amal meri masjid me 2 mahine ke e'atekaaf karne se behtar hai.”
******************
Aap se 1,666 Ahaadeeṡ marwi hai.
Aap ki riwayat ki hui chand ahaadeeṡ :
(1) ALLĀH ta’ala se mohabbat karo, kyun ki woh tumhe apni nea'matoñ se sarfaraaz farmaata hai aur ALLĀH ta’ala ki mohabbat ki khaatir mujh se mohabbat karo aur meri mohabbat ki khaatir mere Ahle bait se mohabbat kiya karo.
(Tirmizi, Jild -2 Hadeeṡ -3722)
(2) Jis ke dil me Qur’an ka koi hissa na ho woh wiraan ghar ki tarah hai.
(Tirmizi)
(3) Jo shakhs paabandi ke saath Astaghfaar karta hai, ALLĀH ta’ala us ke liye har gham se najaat Aur har mushkil se nikalne ka raasta bana deta hai Aur use waha se rizq deta hai jaha se use waham wa gumaan bhi na ho.”
[Abu Daawūd, Ibn Maajah, Nasaa'i, Al-Mustadrak al-Haakim, Musnad e Ahmad bin Hanbal, Al-Mu'ajam-ul-K
abeer Tabarani)
(4) Gunaah par qaa'im rehkar Tauba karne waala apne Rab ta’ala se thatta (mazaaq) karne waale ki tarah hai.
(Sho’ab-ul-eimaan, Jild -5, Safa -436, Hadees -7178)
(5) Do ne'amaten aisi hain ki akṡar log unki Qadr nahi karte : [1] Sehat aur [2] Fursat (achhe kaam karne ke liye).
(Sahih Bukhari, Jild -7, Hadeeṡ -6412)
(6) Logo ko sikhaao, aasaani paida karo, mushkil na banao aur jab kisi ko ghussa aaye to use khaamosh ho jaana chahiye.
(Musnad e Ahmad bin Hanbal, Hadeeṡ -2136)
(7) Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallahu alahi wa sallam ek maqaam par do qabro ke paas se guzre. Achaanak waha se aawaaz aai.
Huzoor sallallāhu alahi wa sallam ne farmaaya “Qabr waalon par azaab ho raha hai, yeh usi ki aawaaz hai.”
Hazrate ibne Abbaas radiy-Allāhu anhu ne puchha “Yeh azaab kyun ho raha hai?”
To aap ne farmaaya “Ek peshaab ke chheento se nahi bachta tha aur dusra chugli karta tha.”
Phir farmaaya ki “Khajoor ki shaakh lekar aao.’
Hazrat Ibne Abbaas radiy-Allāhu anhu khajoor ki shaakh lekar aaye aur Huzoor sallallāhu alahi wa sallam ne us shaakh ke 2 tukde kiye aur dono ki qabron par rakh diya. Aur farmaaya “Jab tak ye shaakh sukhengi nahi tab tak azaab me takfeef (kami) rahegi.”
(Bukhari, Jild -1, Kitaab-ul-Wuzu, Baab-ul-Azaab-e-Qabr, Hadeeṡ -169)
****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ka nikaah Zahra bint Mishrah se hua jis se 6 saahaabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahaabzaade :
(1) Abbaas
(2) Ali
(3) Muhammad
(4) Ubaidullāh
(5) Fazl
(6) Sa'ad
Saahaabzaadi :
Lubaaba
Ummul Walad se
1 saahabzaadi : Asmaa
Lubaaba.
******************
Aakhri umr me aap Taif me qayaam pazeer hue. Aap ki aankho ki roshni chali gai.
******************
Aap ka wisaal 68 Hijri (687 A.D.) me hua.
Aap ki namaaze janaaza Hazrat Muhammad ibnul Hanafiya ne padhai.
Aap ka mazaar Ta'if me hai.
****************
Aap ko dafnaane ke baad sab logo ne ghaib se ek aawaaz suni “Aye Itminaan waali jaan (nafs e mutma'eenna), apne Rab ki taraf laut jaao, Tum us se raazi ho aur woh tum se raazi hai.”
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Abdullāh ibn Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur sahaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے