Hazrat Allama Sayyed Shaah Abul Mas'ood Muhammad Mukhtaar Ashraf al-Ashrafi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Sarkaar e Kalaan, Makhdoom-ul-Masha'ikh.
*******************
Aap ki wiladaat 4 Shawwaal 1334 Hijri (1913 A.D.) ko Kichhauchha me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Aalim-e-Rabbaani Maulana Sayyed Ahmad Ashraf bin Qutb-ul-Masha'ikh A’ala Hazrat Sayyed Ali Husain Ashrafi Miyan rahmahtullāhi alaihi aur waalida ka naam Rabia Basria hai.
Aap Hasani saadaat hain.
Aap Hazrat Ghauṡ e aazam Sayyed Abdul Qaadir Jilani rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
******************
Aap bachpan me bhi khel-kood me dilchaspi nahi rakhte the.
Bachpan se hi Muttaqi aur parhezgaar the. Aur paabande shariat the.
Ek martaba Aap Hazrat Maulana Aale Hasan ke saath bazaar me gaye. Aap ne dekha ke kuchh bache kisi khel me masroof the. Aap ne paas jaakar dekhe to pata chala ke wo 3 gend ko ek saath ek chhote khadde me phenkte the aur agar teeno gende us khadde me chali jaaye to jitney waale ko 3 rupye milte the aur agar wo haar jaaye to us ke paise wo le lete the.
Aap ne dekha ke un ke gaanv ka ek ladka is khel me paise ganva raha hai. Aap ne us ke badle gend daalne ke liye kaha aur teeno gende ek saath us khadde me daal di. Jite hue 3 rupye us ladke ko diye aur us se kaha ‘Tumhare waalid ek ghareeb aadami hai. Tumhe aise khel me paise barbaad nahi karne chaahiye. Au raise khel ki aadat pad jaati hai to phir use chhodna bahot mushkil ho jaata hai.’ Wo ladka sharminda hua aur us ne aise khel ko chhod dena ka wa’ada kiya. Jab Aap us ladke ke waalid se mile to use in sab ke baare me bataaya. Wo bahot khush hua aur aap ka shukriya ada kiya. Baad me wo pura pariwaar Aap ka mureed bana.
*******************
Aap ne apne waalid Hazrat Aalim-e-Rabbaani Sayyed Maulana Ahmad Ashraf se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Aap ki umr 13 saal ki thi tab Aap ke waalide mohtaram ka intiqaal hua.
Jamaadi ul Awwal 1347 Hijri me Majlise Chehllum ke mauqe par Aap ke daada Aala Hazrat Sayyed Ali Husain Ashrafi Miya rahmahtullāhi alaihi ne Aap ko apna Wali Ahad banaaya.
*****************
Is ke baad Aap ne apne daada Hazrat Maulana Sayyed Ali Husain Ashrafi Miya rahmahtullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Phir Jaamia Ashrafiya (Mubarakpur) me Faqeeh-e-Aazam Hazrat Imaam-ud-deen Sambhali se Kalaam ki, Hazrat Maulana Wasi Ahmad Sasarami aur Hazrat Bahr-ul-Uloom Abdur Rasheed Nagpuri se Dars-e-Nizaami ki aur Hazrat Hakeem-ul-Ummat Mufti Muhammad Yaar Khan Ashrafi se majeed ta’aleem haasil ki. Hazrat Sadr-ul-Afaazil Allama Sayyed Naeem-ud-deen Muradabadi rahmahtullāhi alaihi se Bukhari shareef ki ta’aleem haasil ki.
Phir Hazrat Sayyed Ali Husain Ashrafi Miya rahmahtullāhi alaihi ne Khanqaah-e-Hasaniya Ashrafiya me Aap ko Dastar-e-Fazeelat ata farmai.
*******************
1355 Hijri (1936 A.D.) me Apne wisaal se kuchh din pehle Aala Hazrat Sayyed Ashrafi Miyan rahmahtullāhi alaihi ne apne pariwaar waalo ko jama karke farmaaya “Sab apni apni ek muraad bataao. Main use pura karunga. Magar sab ko 3 din ke andar apni khwaahish bataani hai aur sirf ek muraad.” Sab ne apni apni muraad pesh ki aur us ko paaya. Magar Sarkaar e kalaan ne koi muraad pesh nahi ki. Hazrat ne jab puchha to Aap ne bataaya “Muraaden to bahot saari hain. Magar kashmakash me hu ke aap se kya muraad pesh karun. Agar aap wa’ada farmaayen ke meri muraad puri karenge to main bataaun.” Hazrat ne wa’ada kiya. Aap ne kaha ke “Aap khud ko mujhe ata farmaayen.” Hazrat ne apna sar jhuka liya. Kuchh der tak usi haal me rehne ke baad sar uthakar farmaaya “Aaj se main meri zaat ko tumhe waqf karta hu.”
Is tarah Aap ne Aala Hazrat se har tarah ka faiz haasil kar liya.
*******************
1355 Hijri (1936 A.D.) me Aala Hazrat Sayyed Ali Husain Ashrafi Miyan rahmahtullāhi alaihi ke wisaal ke baad 22 saal ki umr me Aap Sajjaada nasheen bane.
Aap apne kaam me Hazrat Sadr-ul-Afaazil Allama Sayyed Naeem-ud-deen Muradabadi rahmahtullāhi alaihi se mashwara lete the.
Aap uloom e zaahiri wa baatini ke maahir the.
Aap taa hayaat Khidmate deen me aur Khalqe khuda ki Rushd o hidaayat me masroof rahe.
Aap ne Hindustan ke kai ilaaqe aur Pakistan, Bangladesh, Shri Lanka, Mauritius, Holland, England aur Arab mamaalik ka safar kake Islaam aur Chishti Ashrafi silsile ki isha’at ki.
Aap ne apni taqreer aur ta’aleem ke zariye beshumaar logo faizyaab karke sahi raah bataai.
Aur jaha par Madrasa ki zaroorat thi waha madrasa jaari kiye.
Har mulk me badi ta’adaad me log Aap ke mureed hote the.
*******************
Aap bahot sakhi the. Kabhi kisi ko khaali haath nahi lautaate. Mohtaajo, bewao aur yateemo ko hamesha madad karte rehte.
*******************
Aap hamesha apni waalida ki ta’azeem wa farmaan bardaari karte the. Apna har kaam un ke mashware se aur un ki marzi wa ijaazat se karte the. Safar me jaane se pehle waalida ki ijaazat lete the aur Safar se waapas aane ke baad sab se pehle apni waalida se milte the. Makhdoom Ashraf Jahaangeer Simnani rahmahtullāhi alaihi ke mazaar par Faatiha khwaani ke liye jaane se pehle bhi waalida ki ijaazat lete the.
*******************
Aap hamesha apne waalid Maulana Syyed Ahmad Ashraf ki naseehat par amal karte the : Namaaz ki paabandi, Sach bolna aur Huqooq-ul-ibaad ada karna.
Aap ne apne wisaal ke ek mahina qabl ailaan kiya ke “Kisi bhi shakhs ka mujh par koi qarz ho to aakar le jaaye.” Aap ne intazaar kiya magar kisi ne bhi aakar qarz ke baare me nahi kaha.
*********************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba Sarkaar e Kalaan Delhi se Lahore rail se safar kar rahe the. Jab rail Punjab pahunche to mazhabi dange shuru ho gaye aur Sikho ne musalmano ko lootna aur qatl karna shuru kar diya. Sikh train ke saare dibbe par hamla karke logo ko lootne lage aur qatl karne lage. Sirf Aap jis dibbe me the wo mehfooz tha. Jab khaana aur paani khatm hua to Aap ne farmaaya “Koi hai jo is faqeer ke liye paani lekar aaye.” Ek ghair muslim naujawaan khada hua aur train se baahar jaakar paani lekar aaya. Panai dekar woh Aap ke qadmo me gir gaya aur kehne laga “Pehle Aap mujhe musalman banaa'iye. Maine safed amaama aur safed libaas pehne hue bahot saare logo ko haath me talwaar lekar is dibbe ki hifaazat karte hue dekha hai.”
Dango ki khabar har jagah phial gai thi. Sab Aap ki salaamati ko lekar fikrmand the. Magar ALLĀH ke fazl se Hazrat khairiyat se Lahore pahunch gaye.
(2) Malegaon me qayaam ke dauraan ek martaba samundar me sailaab aaya. Jis se dariya ke aas paas ki basti ujadne lagi. Logo ne Aap ki baargaah me aakar dua ke liye arz ki. Aap ne farmaaya “Mere saath chalo.” Samundar ke paas pahunchkar zameen par apni chhadi mubarak gadi aur dariya ki taraf ishaara karke farmaaya “Is ke aage na badhna.” Samundar khoob ufaan par tha magar ALLĀH ke fazl se paani us chhadi ke aage nahi badhta tha.
(3) Machhipur, Bhagalpur Madrasa me Maulana Sayyed Ahmad Ashraf ka urs 13 se 16 Rabi ul aakhir tak shaan o shauqat se manaaya jaata hai. Ek martaba Aap waha tashreef farma the. Aap Mehfile Sima ke liye apne kamre se baahar aaye to aasmaan me baadal ghire hue the aur baarish ka maahol tha. Aap ne aasmaan ki taraf dekha aur stage par tashreef laaye. Baarish ki chand boonde giri aur phir rook gai. 2 ghante tak mehfile sima jaari rahi. Madrasa ke ird gird chaaro taraf tez baarish jaari thi magar madrasa par baarish rooki hui thi. Qareeb ke Agarpur gaanv ke log baarish ki wajah se mehfile sima me nahi aa sake. Jab sab ko is baat ka pata chala to log hairaan hue.
*******************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 2 biwiya, 5 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain.
(1) Sanjeeda Khaatoon binte Peer Sayyed Mustafa Ashraf se
3 saahabzaade : Sayyed Izhaar Ashraf (Sajjaada Nasheen), Sayyed Muhammad Ahmad Ashraf, Sayyed Ali Ashraf.
(2) Ruqayya Ashraf se
2 saahabzaade : Sayyed Muhammad Anwaar Ashraf, Sayyed Muhammad Hasan Ashraf.
3 saahabzaadiya :
*******************
Aap Qutbul Masha'ikh Aala Hazrat Maulana Sayyed Ali Husain Ashrafi Miyan rahmahtullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh-ul-Aazam Maulana Peer Sayyed Shaah Izhaar Ashraf rahmahtullāhi alaihi
(2) Hazrat Maulana Peer Sayyed Muhammad Ahmad Ashraf
(3) Hazrat Anwaar-ul-Masha'ikh Peer Maulana Sayyed Muhammad Anwaar Ashraf
(4) Hazrat Shaikh-ul-Islaam-wal-Muslimeen Raees-ul-Muhaqiqeen Peer Maulana Sayyed Muhammad Madani miyan Ashrafi
(5) Hazrat Ghaazi-e-Millat Peer Maulana Sayyed Muhammad Haashmi miyan Ashrafi
(7) Hazrat Qaa'id-e-Millat Maulana Sayyed Mahmood Ashraf Ashrafi
(8) Hazrat Maulana Peer Sayyed Tanweer Ashraf Ashrafi
(9) Hazrat Maulana Sayyed Kumail Ashraf Ashrafi
(10) Hazrat Raees-e-Millat Allama Sayyed Raees Ashraf Ashrafi
(11) Hazrat Sayyed Muhammad Arabi miyan Ashrafi
(12) Hazrat Allama Sufi Sayyed Akmal Husain Ashrafi
(13) Hazrat Dr. Sayyed Mazaahir Ashraf (Karachi)
(14) Hazrat Maulana Muhammad Ghulaam Mujtaba Ashrafi (Manzar-e-Islaam, Bareilly)
(15) Hazrat Maulana Mufti Abdul Jaleel Naeemi Ashrafi
(16) Hazrat Maulana Mufti Habeebullāh Naeemi (Jaamia Al-Ashrafiya])
(17) Hazrat Maulana Muhammad Sulaimān Bhagalpuri
(18) Hazrat Maulana Shahid Raza Naeemi (Leicester, U.K.)
(19) Hazrat Mufti Gul Rahmān (Birmingham, U.K.)
(2-) Hazrat Maulana Muhammad Ibrāheem (Mumbai)
(21) Hazrat Maulana Abdul Qaadir (Mumbai)
(22) Hazrat Maulana Muhammad Iqbaal (Dubai)
(23) Hazrat Maulana Rafeeq Aalam
(24) Hazrat Maulana Muhammad Azeez-ur-Rahmān (Burhanpur)
(25) Hazrat Maulana Muhammad Tabeeb-ud-deen Ashrafi
(26) Hazrat Shaukh-ul-Hadeeṡ Maulana Faiz ur-Rahman (Machipur)
(27) Hazrat Maulana Mumtaaz Ahmad Ashrafi (Machipur)
(28) Hazrat Mufti Zain-ud-deen Ashrafi
(29) Hazrat Imaam-ul-Millat Allama Mufti Shaah Mohammad Hasan Sambhali rahmahtullāhi alaihi,
(30) Hazrat Allama Mufti Shams-ud-deen Qaadri Razawi Bahraichi,
(31) Hazrat Ashfaaq-ul-Ulama Mufti Ashfaaq Husain Qaadri Razawi Sambhali rahmatullāhi alaihi.
*******************
Apne wisaal se pehla ek hafta Aap khaanqaah me ibaadat wa riyaazat aur tilaawate Qur’an me mashgool rahe. Phir apni waalida ki turbat par jaakar dua ki. Jab ghar waapas aaye to Aap ki tabiyat na-saaz hui. Aap ko haspatal le gaye. Magar waha Aap ka intiqaal hua.
Aap ka wisaal 9 Rajab 1417 Hijri (22 November 1996 A.D.) ko Jumeraat ke roz 84 baras ki umr me hua.
Aap ki namaaze janaaza Hazrat Maulana Sayyed Izhaar Ashraf rahmahtullāhi alaihi ne padhaai.
Aap ka mazaar Kichhauchha (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sarkaar e Kalaan Allama Sayyed Shaah Muhammad Mukhtaar Ashraf al-Ashrafi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں