Hazrat Imam Shafeyi RadiAllahu Ta'ala Anhu

4 Rajab, Ahle Sunnat ke 4 Fiqh ke Imamo me se ek, Hazrat Imam Shafeyi RadiAllahu Ta'ala Anhu ka Youm-e-Wisaal hai.

Imam Shafeyi RadiAllahu Ta'ala Anhu Apne daur ke Mujaddid aur Qutub they aur itne bade Aashiq-e-Ahle Bayt they ke Aap par kharijio ne shia nahi balke rafzi hone ka ilzam lagaya!
uske jawab me Imam Shafeyi ne ek sher padha jo bahot mashoor hai aut bahot si kitabo me hai!
Aapne kaha:
"Muhabbat-e-Ahle Bayt Mera Mazhab hai, aur agar Ahle Bayt (Alaihi-mussalam) ki Muhabbat se banda rafzi hota hai to duniya me mujhse bada rafzi koi nahi!"

Hazrat Sultan Salahuddin Ayyubi Rehmatullah Alaih ne Aapka Roza Tamir kiya aur Gumbad pe ek Naaw (boat) banayi jo photo me nazar aarahi hai, Naaw banake kaha: Is Naaw ke niche Ilm ka Samundar hai!!

Aapka aur ek Farman bahot Mashoor hai:
"Aye Ahle Bayte Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) Tumhari Muhabbat Allah ta'aala ke Taraf se Farz hai us Quran me Jo Usne Nazil kiya.
Tumhari Azmate Qadr ke Baab me Ye Baat he Kaafi Hai ke jo Tumpar Durood na Bheje Uski Namaz hi Nahi hoti"
(As-Sawaiq ul Muhariqah Safah 146, Imam Ibne Hajr Makki Rehmatullah Alaih)

Al Fatiha!

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے