Hazrat Khwaja Baayazeed Tayfoor Bastami rahmatullāhi alaih



Hazrat Khwaja Baayazeed Tayfoor Bastami rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Sultaan-ul-Aarifeen.
**********************
Aap ki wilaadat 188 Hijri (804 A.D.) me Bastam (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Eisā bin Ādam rahmatullāhi alaihi hai.
Aap ke daada aatish parast (Zoroastrian) the aur phir musalman hue the.
Aap ki waalida bahot hi nek aur parhezgaar thi.
Jab Aap apni waalida ke pait me the tab aap ki waalida agar koi mashkook ya nuqsaan pahunchane waali cheez khaa leti to foran un ko qay (vomiting) ho jaati thi.
*****************
Bachpan me hi Aap apni waalida ki ijaazat lekar Bastam ko chhodkar Shaam ke sehra me chale gaye aur kai saal ibaadat aur mujaahida me guzaare. Is dauraan Aap ne taqreeban 170 auliya e kiraam ki sohbat me faiz haasil kiya.
*****************
Ek martaba Aap apni waalida se milne gaye . Aap baahar khade rehkar intazaar karne lage. Tahajjud ke waqt jab paani ki aawaaz suni to ghar ke darwaaze par pahunche to suna ke Aap ki waalida Aap ke liye dua kar rahi thi. Phir Aap apn

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے