Ummul mo’mineen Hazrat Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha


Ummul mo’mineen Hazrat Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha :
Aap ki wilaadat 1 Nabawi (609 A.D.) me Makka me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Abu Bakr Siddeeq bin Abu Quhaafa Uṡmaan radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Umme Rumaan, Zainab bint Aamir al-Kinaaniyah radiy-Allāhu ta’ala anha hai.
Aap Quraish ke Banu Taym qabeele se ta’alluq rakhti hain.
***************
10 Nabawi (619 A.D.) me Hazrate Khadeejatul kubra radiy-Allāhu ta’ala anha ka wisaal hua. Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam be-had ghamgeen rehne lage. Kisi me itni himmat nahi thi ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko dusre nikaah ki baat bhi kar sake.
Hazrate Khawla bint Hakeem radiy-Allāhu ta’ala anha ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko aap ki tanhai door karne ke liye dusra nikaah karne ka mashwara diya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daryaaft kiya to unho ne bataaya ke “Agar aap kunwaari ladki se nikaah karna chaahe to Aa'isha binte Abu Bakr Siddeeq tayyaar hain aur agar bewa se nikaah karna chaahe to

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے