Hazrat Khwaja Shaah Allāh bakhsh Chishti Taunsawi

Hazrat Khwaja Shaah Allāh bakhsh Chishti Taunsawi rahmatullāhi alaihi :
Aap ki wilaadat Zil Hijja 1241 Hijri (July 1826 A.D.) me Taunsa me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Gul Mohammad bin Khwaja Sulaimān Taunsawi hai.
****************
Aap ne Maulana Muhammad Ameen se Qur’an, Ilme Sarf wa Nahaw, Faarsi aur Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Aap ke daada Hazrat Khwaja Shaah Sulaimān Taunswi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko baatini ta’aleem ata farmai.
**************
Hazrat ki ta’aleem wa tarbiyat se bachpan se hi Aap ko Namaaz aur Roze ki mohabbat aur aadat ho gai thi. Waqt guzarne ke saath saath Ibaadat aur Riyaazat ka lagaaw intiha ko pahunch gaya.
Khwaja Shaah Sulaimān Taunswi rahmatullāhi alaihi Aap ke deeni jazbe se bahot khush hote the. Hazrat ne apni hayaate zaahiri me hi ‘Dalaa'il-ul-Khairaat shareef’ padhna Aap ko supurd kar diya tha. Aur apni taraf se Shajarah par dastkhat karne ke liye bhi muqarrar farma diya tha.
Khwaja Shaah Sulaimān Taunswi rahmatullāhi alaihi ke wisaal ka waqt qareeb tha tab Aap ne haazir hokar qadmo me sar rakhkar arz kiya ke “Main aur kuchh nahi maangta sirf itna chaahta hu ke aap ke mureedo ke joote sidhe karta rahu.”
Yeh sunkar Hazrat par ek kaifiyat taari ho gai aur farmaaya “Wanafakhat fee man roohee.” aur intiqaal farmaaya.
Shaah Ghulaam Nizaam (farzande Kaale saahab) ne Aap ke sar dastaar baandhi aur sajjaada e shaikh par bithaaya.
****************
Is ke baad Aap hidaayate khalq aur isha’ate islaam me masroof rehne lage.
Aap ne Hindustan ke mukhtalif shahero ka safar karke Buzurgaane deen ke mazaaraat par haazir hokar faiz haasil kiya.
Bikaner me hazaaro log Aap ke mureed hue. Phir Khwaja Soofi Hameed-ud-deen Naagori rahmatullāhi alaihi ke mazaar par haazir hue aur 10 roz qayaam farmaaya. Yaha bhi badi ta’adaad me log Aap ke mureed hue. Phir Kishangadh, Jaipur, Rajputana hote hue Delhi pahunche aur Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi, Khwaja Naseer-ud-deen Chiraagh e Delhi rahmatullāhi alaihi, aur Khwaja Fakhr-ud-deen Chishti Dehlawi rahmatullāhi alaihi aur Silsila e Chishtiya ke deegar Auliya ke mazaar par haazir hue.
Delhi me qayaam ke dauraan Mughal baadshaah Bahaadur Shaah Zafar aap ki khidmat me haazir hue. Deegar ameer bhi aap ki khidmat me haazir hokar mureed hue.
Mirza Ghulaam Ahmad Qaadiyani ne jab apne aqaa'id ki tash'heer ki to Aap ne apne masnad par baithkar nihaayat sakhti se tardeed farmaai aur musalmano ko gumraahi se bachaane ki koshish ki.
Aap ko ta’ameeraat se bahot dilchaspi thi. Aap ki banaai hui imaarat shaher ke taqreeban nisf hisse me phaili hui hain.
*****************
Aap ne ‘Seerat e Khair-ul-Wara ke Anwaar wa Tajjaliyaat’ naami kitaab likhi hai.
*****************
Aap ke 3 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade :
(1) Khwaja Haafiz Moosā,
(2) Khwaja Ahmad,
(3) Khwaja Mahmood.
****************
Aap Hazrat Khwaja Shaah Sulaimān Taunsawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Haafiz Moosā Taunsawi rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Allama Shaikh Abdul Haq Khairabadi rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Khwaja Faiz Mohammad Chishti Shah-jamali rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Sayyed Mehboob Ali Shaah Hazarwi rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 29 Jamaadi-ul-awwal 1319 Hijri (13 September 1901 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Taunsa (Punjab, Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Shaah Allāh-Bakhsh Taunsawi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے