Hazrat Abu Ayyoob, Khaalid al-Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Mezbaan-e-Rasool.
****************
Aap ke waalid ka naam Zaid bin Kulayb al-Najjaari aur waalida ka naam Hind bint Saeed bin Amr hai.
Aap Madeena ke Ansaar sahaabai e Rasool hain aur Banu Khazraj qabeele ke Banu Najjaar khaandaan se hain.
****************
Aap as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.
Jab Aap ne ailaane nabuwwat ke baare me suna to Aap ne apni biwi ko bataaya aur Makka ke liye rawaana hua. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat me pahunche to un ki pyaari guftagu sunkar Aap musalman ho gaye. Jab Yaṡrib waapas aaye to apni biwi se kaha “Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne qabeele waalo ko islaam ki daawat dene ke liye farmaaya hai aur tumhare liye ek paighaam diya hai ke : Umme Ayyoob se kehna ke ALLĀH ta’ala islaam ke zariye Banu Khazraj aur Banu Aws qabeelo me mohabbat aur bhaaichaara ata farmaega.” Yeh sunkar Aap ki biwi bhi musalman ho gai aur kaha “Jab Aap Makka jaa rahe the tab maine dil me yeh socha tha ke kaash is nabi ke zariye Banu Khazraj aur Banu Aws qabeelo me mohabbat aur bhaaichaara ata farma de.”
****************
Zil Hijja 12 Nabawi (622 A.D.) me Aap Bai'at-ul-Aqaba Ṡaani me shareek hue jis me Yaṡrib (Madeena) ke Banu Khajraz aur Banu Aws qabeele ke 73 mard aur 2 adad karne ka waada kiya.
****************
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Makka se hijrrat karke Madeena tashreef laaye to har ek ki yeh khwaahish thi ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam mere ghar me qayaam karen. Aakhirkaar yeh tay hua ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki oontni jaha thehre un ke yaha Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam qayaam farmaenge. Marzi e khuda se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki oontni Qaswa Hazrat Abu Ayyoob Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ke ghar ke saamne thehri aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne wahi par qayaam farmaaya. Is tarah Aap ko mezbaani ki sa’adat mili.
Zaayereen [mulaqaatiyo] ki aasaani ke liye Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne neeche ki manzil ko pasand farmaaya. Lekin raat me maskija gir jaane ki wajah se paani gir gaya. Hazrate Abu Ayyoob Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ne foran apni makhmali chaadar daalkar paani ko roka. Phir Aap ne socha “Isi tarah aainda agar upar paani ka maskija gir jaaye aur paani neeche aaye to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko takleef hogi ya hamare chalne se qadmo ki aawaaz ki wajah se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam khalel pahunchegi.” Phir subah ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko arz kiya aur upar ki manzil pesh ki Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ka ishq aur adab dekhkar Aap ki baat maan li.
7 mahine tak Hazrate Abu Ayyoob Ansaari aur un ki biwi ishq aur adab ke saath Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat karte rahe.
Is arse me Hazrate Abu Ayyoob Ansaari ya Ansaar me se koi Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke liye khaana bhejte to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam khaana tanaawul karne ke baad jo baaqi rehta woh Aap ko bhej dete. Aap dekh lete ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ungliyo ke nishaan kaha par hain aur jaha se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne khaaya hota wahi se khaana khaate.
Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne khaana nahi khaaya. Aap ne khidmat me haazir hokar wajah puchhi to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Khaane me pyaaz aur lahsun tha. Is liye maine khaana nahi khaaya. Kyun ki agar Jibr'eel aaye to badboo ki wajah se un ko takleef na ho.” Aap ne kaha “Jo cheez mere nabi ko na-pasand hai use yaare rasool bhi pasand nahi karega.”
*********************
Ek martaba Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aur Hazrate Abu Bakr Siddeeq ke liye ek bartan me khaana lekar aaye to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Padosiyo ko bhi bula lo.” Un ko khilaane ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam deegar mohalle waalo ko bhi bula lo. Mohalle waalo ne bhi aakar khaana khaaya. Is tarah 180 logo ne khaana khaaya phir bhi khaana baaqi raha.
*********************
Hazrate Abu Ayyoob Ansaari ke makaan ke saamne Hazrat Sahal wa Suhayl bin Amr al-Najjaari naami 2 yateemo ki zameen thi. Un ke wali Hazrat Muaz bin Ufra radiy-Allāhu ta’ala anhu ne un bachoo ki jaanib se us zameen ko waqaf karna chaaha. Magar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam farmaan par Hazrate Abu Bakr Siddeeq ko 10 deenaar dekar use khareed karne ko farmaaya. Phir us zameen par Masjide Nabawi ta’ameer ki gai. Aur Masjid ke muttasil Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka hujra (qayaamgaah) banaaya gaya.
*********************
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko Hazrat Mus'ab bin Umair ka islaami bhaai banaaya.
*********************
Hajjatul Wida ke mauqe par Safa aur Marwa ke darmiyaan Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke chehre par parinde ka par lag gaya to Aap ne foran apne haath se use hata diya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne dua ki “Aye Abu Ayyoob! Ab tumhe koi buraai chhoo nahi sakti.”
*********************
Ek martaba Aap ki biwi ne puchha “Aap pareshaan nazar aa rahe hain, kya wajah hai?” Aap ne farmaaya “Shaayad maal jama ho jaane ki wajah se.” Aap ki biwi ne farmaaya “Jaaiye, kharch kar dijiye. Aur ise sab se pehle apne haajat-mand rishtedaaro me kharch karna.” Aap jab waapas aaye to Aap ki biwi ne puchha “Ab kaisa mehsoos hota hai?” Aap ne farmaaya “Haan, Ab sukoon mehsoos hota hai.” Puchha “Kitna kharch kiya?” Farmaaya “32000 dirham kharch [khairaat] kiye.”
*********************
Aap Haafize Qur’an the.
*********************
Aap ne 150 ahaadeeṡ riwaayat farmai hai.
Aap riwaayat karte farmate hain ke
(1) Ek aadami ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se pucha “Aye Allāh ke Rasool sallallāhu alaihi wa sallam! Mujhe koi aisa amal bataaiye ke uske zariye jannat haasil kar lu.”
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “ALLĀH ta’ala ki khaalis bandagi karo, Uske saath kisi ko shareek na karo, namaaz qaa'im karo, zakaat ada kate raho aur sila rahmi kiya karo.”
(Sahih Bukhari, Kitaab-ul-Adab, Safa -78, Hadeeṡ -5983;
Sahih Muslim, Hadeeṡ -13)
(2) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“Kisi musalman ke liye yeh jaa'iz nahi ke woh apne (musalman) bhai se 3 raat se zyada baat-cheet band rakhe. Jab aise do shakhs aapas me mile jo ek dusre se munh pher lete ho to un me se jo pehle salaam kare woh shakhs afzal hai.”
(Sahih Bukhari;
Al- adabul mufarrid, Hadeeṡ -980)
(3) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“Koi bhi cheez khaao to pehle Bismillāh zaroor padh liya karo kyun ki is se barkat hoti hai aur nahi padhoge to barkat nahi hogi.”
*********************
Aap ne Junge Badr, Junge Uhad, Junge Khandaq, Junge Khaibar, Fatah Makka, Junge Hunain aur Junge Tabook me shareek hokar apni shuja’at dikhaai.
6 Hijri me Aap Bai'at-ur-Ridwaan me bhi shareek hue.
Hazrate Abu Bakr Siddeeq aur Hazrat Umar Faarooq e zamaane me Aap ne Shaam, Filistin, Misr aur Cyprus ke khilaaf jung me apni bahaaduri dikhaai.
*********************
35 Hijri me Baaghiyo ne Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke ghar par ghera daala to Masjide Nabawi me ashaaba ne Aap ki imaamat me namaaze padhi.
Ameer-ul-Mo’mineen Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki shahaadat ke baad sab se pehle Aap ne Hazrat Maula Ali Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu se bai'at ki.
Aap Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ke lashakr me Jung e Jamaal, Jung e Siffin aur Jung e Nahrawan me shareek hue.
Jung e Nahrawan se pehle Hazrat Ali ne Hazrat Abu Ayyoob al-Ansaari ko khaarjiyo ke paas bheja. Hazrat Abu Ayyoob al-Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ne kaha “Jo Hazrat Ali ke saath aana chaahe woh aa sakta hai aur jo Kufa ya Madain jaana chaahta hai woh jaa sakta hai.’
Is ke baad Farwah ibn Nawfal al-Ashja'i apne 500 saathiyo ke saath waha se chale gaye.
Jung e Nahrawan ke baad Hazrat Ali ne Aap ko Madeena ka governor banaaya gaya. Lekin 40 Hijri (660 A.D.) me Busr bin Abi Arafaat ki sardaari me 3000 logo ke Umayya lashkar ne Madeena par hamla kiya aur Hazrat Abu Ayyoob Ansaari ko Madeena chhodkar Hazrat Ali ke paas Iraq jaana pada. Un logo ne Aap ke ghar ko jala diya.
*********************
Hazrate Ameer Muawiya ke zamaane me jab Islaami lashkar Qustuntuniya (Constantinople) ki jaanib rawaana hua to Aap 80 saal ki umr hone ke ba-wajood bhi jihaad me shareek hue.
Safar ke dauraan Qustuntuniya pahunchne se pehle Aap beemaar hue. Jab Aap ki khwaahish puchhi gai to Aap ne farmaaya “Muslim lashkar ko mera salaam kehna aur kehna ke itna aage pahunch jaana ke mujhe Qustuntuniya ke qile ki deewaar ke paas dafn kar sako.” Is ke baad Islaami fauj ne aisi bahaaduri se jung ki ke dushman ko pichhe hataate hue Qustuntuniya ki deewaar tak pahunch gaye aur aap ko waha dafn kiya.
*********************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 2 biwiya 4 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
(1) Umme Hasan binte Zaid se
1 saahabzaada : Abdur Rahmān (jis ka bachpan me hi inteqaal hua).
(2) Faatima binte Qais ibn Saad radiy-Allāhu ta’ala anha se :
3 saahabzaade : Ayyoob, Khaalid aur Mohammad ,
1 saahabzaadi : Umrah.
*********************
Aap ka wisaal 52 Hijri (672 A.D.) me hua.
Aap ka mazaar Istanbul (Turkey) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Abu Ayyoob, Khaalid al-Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu aur tamaam Auliya Allāh aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں