Hazrat Khwaja Uwais al-Qarni rahmatullāhi alaihi

Hazrat Khwaja Uwais al-Qarni rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Khair-ut-Taabi'een.
**************
Aap ki wilaadat 594 A.D. me Qarn (Yemen) me hui.
Aap ke waalid ka naam Aamir bin Harb aur waalida ka naam Barai hai.
Bachpan me hi Aap ke waalid ka inteqaal ho gaya.
**************
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kabhi kabhi apna rookh Yemen ki taraf karke farmaate ki “Mujhe Yemen ki jaanib se mohabbat ki khushbu aati hai.”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne ek baar apne ashaaba se farmaaya “Yemen me Uwais naami ek shakhs hai jo mujh se behad mohabbat karta hai. Us ke daahine haath par ek safed nishaan hai. Tum me se agar koi us se mile to use dua ke liye kahe.”
Ashaaba ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Kya wo aap se mulaaqaat ke liye aata hai?” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Nahi. Us ke saath us ki budhi maa hai jis ka us ke siwa aur koi nahi hai. Is liye wo apni maa ki khidmat karta hai aur apni maa ko chhodkar yaha nahi aa sakta.”
Aap apni budhi aur na-bina waalida ki khidmat ki wajah se Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haazr hokar ziyarat ki sa’adat haasil nahi kar sake magar Aap hamesha ita’at wa itteba e Rasool karke Ishqe Rasool ka ṡaboot pesh karte rahe.
**************
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apne wisaal se pehle Hazrat Umar aur Hazrat Ali radiy-Allāhu anhuma ko apna kurta mubarak diya aur use Hazrat Uwais al-Qarni ko dene ke liye aur dua karwaane ke liye farmaaya.
Jab Hazrat Umar Faarooq ka daure khilaafat aaya to Ameer ul mo’mineen Hazrat Umar radiy-Allāhu anhu har saal Hajj ke dauraan logo ko Hazrat Uwais al-Qarni ke baare me puchha karte the.
Ek martaba unho ne tamaam haajiyo ko jama kiye to un me se shakhs Qarn ka rehne waala mila jo Hazrate Uwais Qarni ka saga chacha tha. Us shakhs ko puchhne par pata chala ke Hazrat Uwais al-Qarni oont ko charaane ke liye gaye hain.
Hazrat Umar Faarooq Hazrat Ali radiy-Allāhu anhu ke saath Aap ko talaash karte hue ek maidaan me pahunche jaha par Aap oont chara rahe the aur ibaadat me mashgool the. Jab Aap ne salaam phera aur dono hazraat ne Aap ko salaam kiya. Aap ne jawaab diya. Phir Hazrat Ali ne puchha “Aap kaun ho?” Aap ne kaha “Abdullāh.” Hazrat Ali ne farmaaya “Har musalman Abdullāh ya’ani ALLĀH ka banda hai. Meharbaani karke woh naam batao jo tumhari maa ne rakha hai.” Aap ne kaha “Uwais.” Phir farmaaya “Kya tum Mudar qabeele se ho aur Qarn ke rehne waale ho?” Aap ne jawaab diya “Ji, Main wahi se hu.” Phir puchha “Tumhare daahine haath par safed nishaan hai?” Aap ne kaha “Ji haan.” Unho phir puchha “Tumhari maa ke siwa tumhara koi nahi hai?” Aap ne kaha “Ji, Mera aur koi nahi hai.”
Phir Aap ne puchha ke “Aap log kaun hain?” Hazrat Ali ne farmaaya “Yeh Ameer-ul-mo’mineen Hazrat Umar ibn Khattaab hain aur main Ali ibn Abi Taalib hu.” Aap ne foran muafi maangte hue kaha “Maine Aap ko pehchaana nahi. Main pehli baar hajj ke liye aaya hu.” Hazrate Umar ne Aap ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka Salaam pesh kiya aur kurta mubarak diya aur dua karne ke liye farmaaya. Aap ne rone lage aur kaha “Aap sardaar hain, Main aap ka khaadim hu. Mere jaisa aam aadami aap jaise ALLĀH ke muqarrab aur khaas bando ke liye dua kaise kar sakta hai?” Jab unho ne Huzoor Aaqa e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ka farmaan bataaya to dua ke liye tayyaar hue.
Jab unho ne Aap ki khwaahish ke baare me puchha to Aap ne farmaaya “Insaan ki khwaahishat kabhi khatm nahi hoti. Use jitna milta hai woh us se zyada ki hi khwaahish karta hai.” Yeh kehkar Aap kurta mubarak lekar jangal me chale gaye aur ummat e Mustafa ke liye dua karne me lag gaye.
Bahot der tak intazaar karne ke baad Hazrat Umar aur Hazrat Ali Aap ko talaash karte hue waha pahunche. Un ke qadmo ki aawaaz suni to Aap ne apna sar uthaaya. Aur farmaaya “Main ALLĀH ta’ala se ummat e Mustafa ki bakhshish ki dua kar raha tha aur is kurte ki barkat se ALLĀH ta’ala ummat ki bakhshish farma raha tha. Aap log kuchh der ke baad aate to main ALLĀH ta’ala ko aur zyada ummatiyo ko bakhshwaane ke liye raazi kar leta.”
****************
Aap ne puri zindagi saadgi ke saath guzaari.
Aap oonto ko charaane ka kaam karke apna guzraan karte the.
Aap tanhai me ibaadat karna zyada pasand karte the aur logo se bahot kam milte the.
Aap puri raat ibaadat me guzaarte.
Aap bahot kam khaana khaate the. Aur akṡar roza rakhte the.
******************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmaate hain :
(1) Jab tum Maalik e kaa'inaat ki taraf rooju karo to is tarah karo ke phir tumhe dusre Maalik ki taraf dekhne ki zaroorat na pade.
(2) Tum par farz hai ki tum apne dil ki hifaazat karo ke wo kisi ghair ki fikr me mubtila na ho jaaye.
(3) 3 cheezo ki khwaahish (mohabbat) insaan ko dozakh ki taraf le jaati hai :
[1] Lazeez khaana, [2] Umda kapde aur [3] Ameero ki sohbat.
(4) Maine azmat wa bulandi ko talaash kiya to wo Aajizi wa inkasaari me mili, Maine hukoomat wa ikhtiyaar ko talaash kiya to wo logo ko Naseehat karne me mili, Maine tahzeeb wa husn e akhlaaq ko talaash kiya to wo Sachai me mili, Maine paakizgi ko talaash kiya to wo Faqr me mili, Maine nisbat wa qurb e ilāhi ko talaash kiya to wo Neki me mili, Maine izzat wa shaan ko talaash kiya to wo Qana’at me mili, Maine sukoon ko talaash kiya to wo Zohad me mila, Maine pareshaani aur mohtaaji se najaat ko talaash kiya to wo Tawakkal me mila.
****************
Aap ka wisaal 3 Rajab 36 Hijri (December 656 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Salalah (Oman) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Uwais al-Qarni rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur sahaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے