Hazrat Makhdoom Abul Qaasim Naqshbandi Thatthawi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Noor-ul-Haq, Khurshid-e-Makli.
****************
Aap ki wilaadat Thattha (Sindh) me hui.
Aap ke waalid ka naam Ibrāheem hai.
****************
Aap Haafiz e Qur’an hue.
Phir kuchh waqt Hazrat Makhdoom Ādam Thatthawi rahmatullāhi alaihi ki khidmat me rehkar ta’aleem haasil ki. Aap ki umda salaahiyat ko dekhkar Hazrat ne Aap ko Sirhind bheja.
Jab Aap Sirhind pahunche to us waqt Hazrat Khwaja Muhammad Saif-ud-deen Naqshbandi Sirhindi rahmatullāhi alaihi apne Daada Hazrat Mujaddide Alfe ṡaani Imaam Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi ke mazaar par jaane ke liye paalki me sawaar hone waale the. Aap ko door se dekh kar farmaaya “Hazrat daada saahab tumhari sifaarish farmaate hain.” Yeh sun kar Aap qadambos hue.
Hazrat Khwaja Shaikh Muhammad Saif-ud-deen Sirhindi rahmatullāhi alaihi ne Aap ki aala isteta’at ko dekhte hue khususi tawajjoh farmaai aur Aap ki aala ta’aleem wa tarbiyat farmaai.
Hazrat Aap ko har roz Hazrat Mujaddide Alfe ṡaani ke mazaar par apne saath le jaate aur Aap waha b hi faizaane khaas haasil karte.
****************
Takmeel e ta’aleem ke baad Hazrat ne Aap ko khilaafat ata farmai aur farmaaya “Hum ne Sindh ka khitta rushd o hidaayat ke liye tumhe supurd kiya. Tum waha jaao aur is Silsile ki ishaa’at ka kaam anjaam do.” Aap ne arz kiya “Huzoor! Waha ke logo ke dil patthar ki maanind hain. Meri himmat nahi ke main un ki islaah kar sakun.” Hazrat ne farmaaya “Koi Parwaah nahi. Tum un pattharo par tawajjoh daalna tumhari ek tawajjoh ki taaqat se woh patthar paani ho kar jaari ho jaayenge.”
Phir Aap ne arz kiya “Aap ne yeh ahem kaam mere supurd kar diya ha lekin jab talba ki ta’adaad bahot zyada ho jaayegi tab main un ke kharch ka inatzaam kaise karunga.” Hazrat ne farmaaya 'Amale Qirtaas' bakhshish farmaaya aur kaha ke “Jab tumhe kharch ke liye raqam ki zaroorat ho tab ek kaagaz lekar qainchi se us ke tukde karke apni Muththi me band karke apne haath utha dena.”
****************
Phir Aap Thattha waapas aaye aur logo ko ta’aleem ur faiz ata karna shuru kiya.
Aap ne Sindh me Naqshbandi silsila ki isha’at ki.
Aap rozaana mazdooro aur sabzi farosho ko bulakar Naqshbandi silsila ki ta’aleem dete. Shaam ko jab wo log rkhsta hone lagte to un ko un ki rozaana ki ujrat de dete.
Aahista aahista awaam o khawaas Aap ke halqe me shaamil hone lage.
Hazrat Makhdoom Mohammad Haashim Thatthawi rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap se faiz haasil kiya.
****************
Aap ki khaanqaah me badi ta’adaad me log hote the, magar jab bhi Aap ka khaadim haazir hota to Aap apne haath uthaate aur ghaib se sone ki ashrafiya Aap ke haatho me aa jaati.
****************
Aap jis hujre me ibaadat o riyazat karte the woh ‘Hujra e Huzoori’ ke naam se mash'hoor hai.
Ek roz namaaze ishaa ke waqt kaafi der tak Aap apne hujre se baahar tashreef nahi laaye. Log hujre ki taraf gaye gae to andar se do aadamiyo ki guftagu karne ki aawaaz aa rahi thi. Log ye samjhe ke shaayad koi khaas Buzurg Hazrat se mulaaqaat ke liye aaye hue honge aur Hazrat un se guftagu me masroof honge. Chunaanche log baahar thehar kar Hazrat ka intazaar karne lage.
Thodi der baad Aap tanha baahar tashreef laaye aur taaza wuzu karne ke liye tashreef le gaye. Jab wuzu farma chuke to Khaadim se farmaaya ke “Hujre me se meri dastaar lekar aao.” Khaadim jab hujre ke andar dastar lene ke liye daakhil hua to dekha ke andar koi shakhs maujood nahi tha. Log hairaan the ke Hazrat itni der se kis se guftagu farma rahe the.
Jab logo ne Aap se is hairaangi ko hal karne ki ilteja ki to Aap ne farmaaya ke “Us waqt Huzoor Rahmate aalam Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam mujh par karam farmaate hue us hujre me tashreef farma the aur me un se hum kalaam tha.”
****************
Thattha ke Governor Saifullāh Khan ka dost Aap ke khalifa Hazrat Makhdoom Muhammad Moeen Thatthawi rahmatullāhi alaihi se behad bughz rakhta tha aur chaahta tha ke Thattha ka Governor un ke khilaaf ho jaaye lekin woh is me nakaam raha. Ek din us ne Governor se Chaachgan naami maqaam ke faujdaari akhaam haasil kar liye. Wo is koshish me tha ke Chaachgan me Makhdoom Muhammad Moeen Thatthawi ki jaagir ko nuqsaan pahunchaaye. Makhdoom Muhammad Moeen ko is baat ki khabar hui to unho ne apne Peer ki khidmat me haazir hokar pura waaqya bataaya. Aap wuzu farma rahe the. Waaqya sunne ke baad lota aap ke haath se gir kar toot gaya. Aap ne Makhdoom Muhammad Moeen ki taraf mutawajeh hokar farmaaya “Mutma'in raho. Us bad-andeshan ka anjaam bhi aisa hi hoga.”
Chunaanche jab wo shakhs faujdaari akhaam lekar Chaachgan ki taraf rawaana hua to raaste me us ka ghoda bidka aur woh ghode se gir pada. Magar us ka paav rikaab me phans gaya aur ghoda us ko lekar dauda raha aur usi haal me us ka intiqaal ho gaya.
****************
Aap Hazrat Khwaja Shaikh Muhammad Saif-ud-deen Naqshbandi Sirhindi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Makhdoom Muhammad Moeen Thatthawi rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Makhdoom Muhammad Muqeem rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shaikh Muhammad Ibrāheem Naqshbandi rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Miyan Muhammad Zamaan rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Sayyed Sultaan Hindi rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Muhammad Ya’aqoob rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Shaikh Yahyā Madani rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Makhdoom Zia-ud-deen Thatthawi rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Makhdoom Inaayatullāh Thatthawi rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Shaikh Muhammad Abul Masaakeen Thatthawi rahmatullāhi alaihi
(11) Hazrat Sayyed Abdullāh Shirazi rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Sayyed Muhammad Naasir Shirazi rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Sayyed Rahmatullāh Shirazi rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Meer Murtaza Rizwi rahmatullāhi alaihi
(15) Hazrat Maulana Abdul Baaqi Waa'iz rahmatullāhi alaihi
(16) Hazrat Makhdoom Maedinu Nasarpuri rahmatullāhi alaihi
(17) Hazrat Bilaal Dars rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 7 Sha’abaan 1138 Hijri (10 Aprl 1726 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Makli, Thattha (Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Abul Qaasim Naqshbandi Thatthawi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں