Hazrat Khwaja Abdul Ghaffaar Naqshbandi rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Peer Meetha.
****************
Aap ki wilaaadat 1297 Hijri (1880 A.D.) me Langar, Jalaalpur Peerwala ke qareeb Langar gaanv (Multan, Punjab) me hui.
Aap ke waalid ka naam Maulana Yaar Muhammad bin Maulana Khair Muhammad hai.
****************
Aap ne apne bhaai Maulana Muhammad Ashraf se aur dusre ulama se ibtidaai ta’aleem haasil ki aur Maulana Imaam-ud-deen se Arabi ki ta’aleem haasil ki.
Phir majeed ta’aleem ke liye kai maqaamaat ka safar kiya.
Is duraan kuchh waqt Dera Nawab me Maulwi Nizaam-ud-deen se ta’aleem haasil ki. Jab aap ke waalid ko pata chala ke Maulwi Nizaam-ud-deen Tasawwuf ke khilaaf hain aur Maulana Jalaal-ud-deen Rumi aur dusre Asfiya ki kitaaben padhne se aitraaz karte hain. Woh foran aaye aur Aap ko madrasa se waapas le gaye aur farmaaya ‘Jis ka aqeeda galat ho us se ta’aleem haasil karne se behtar hai ke hum baghair ta’aleem ke rahen.’
Phir Aap ne Hazrat Maulana Aaqil Muhammad Quraishi rahmatullāhi alaihi se Had
0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں