Hazrat Makhdoom Sayyed Jalaal-ud-deen Hasan Haidar Surkh-posh Bukhari rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Surkh-posh, Makhdoom-ul-Aazam, Qutb-al-Aqtaab, Jalaal e Akbar, Shareefullāh, Mir Buzurg, Sher Shaah.
****************
Aap ki wilaadat 5 Zil Hijja 595 Hijri (1199 A.D.) ko Jum’aa ko Bukhara (Uzbekistan) me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Ali al-Moeed bin Ja’afar aur waalida ka naam Faatima saaliha hai.
Aap ki waalida Bukhara ke Sultaan ki shehzaadi thi.
Aap Husaini saadaat hain.
****************
Aap ne Bukhara me apne waalid se ta’aleem haasil ki. 4 saal ki umr me Haafize Qur’an hue aur 7 saal ki umr me ta’aleem mukammal kar li.
Aap baaligh hone se pehle hi Aap ke ilm wa amal ki wajah se taqreeban 1500 logo ne Aap ko Peer maan liya tha.
****************
635 Hijri (1237 A.D.) me Aap ki biwi Sayyeda Faatima ke inteqaal ke baad Aap apne 2 saahabzaade ke saath Bukhara se Bhakkar, Punjab tashreef laaye.
Yaha Sayyed Badr-ud-deen bin Sayyed Sadr-ud-deen Bhakkari ki saahabzaadi Bibi Taahira Zohra se nikaah hua aur un ke inteqaal ke baad un ki bahen Bibi Faatima Habeeba Saeeda se nikaah hua.
****************
Multan aakar Hazrat Baha-ud-deen Zakariya Multani rahmatullāhi alaihi ke mureed hue aur Hazrat se faiz wa ta’eleem haasil ki.
Phir 30 saal tak Riyaazat wa Mujaahida karte rahe.
640 Hijri (1242 A.D.) me Sultaan Nasir-ud-deen Mahmood bin Shams-ud-deen Altamash ke zamaane me Aap apne saahabzaade Baha-ul-Haleem ke saath Uch, Sindh tashreef laaye.
642 Hijri (1244 A.D.) me Sultaan Nasir-ud-deen Mahmood ne Uch aakar aap ki mulaaqaat ki.
Aap isha’at e Islaam ke liye Uch se alag alag ilaaqe me tashreef le jaate.
Aap ki ta’aleem se Soomro, Samma, Chadhar, Sial, Dahir, Mazari aur Warren qabeele ke logo ne Islaaam apnaaya.
****************
Jab Aap ki mulaaqaat Changhis Khan se hui to Aap ne Islaam ki daawat di aur zulm chhod dene ke liye kaha. Magar wo na maana aur Aap ko zinda jala dene ka hukm kiya. Magar jab aap ko aag me daala gaya to ALLĀH ke fazl se woh aag phoolo ka baagh ban gai. Yeh dekhkar Changhis Khan ko ta’ajjub hua aur us ne musalmano ke saath thodi narmi baratna shuru kiya.
****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 3 biwiya aur 5 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain :
(1) Sayyeda Faatima binte Sayyed Qaasim Husain Bukhari se
2 bete : Ali aur Ja’afar;
(2) Bibi Taahira Zohra binte Sayyed Badr-ud-deen Bhakkari se
2 bete : Sadr-ud-deen Mohammad Ghauṡ aur Baha-ud-deen Mohammad Maasoom;
(3) Bibi Faatima Habeeba Saeeda binte Sayyed Badr-ud-deen Bhakkari se
1 beta : Shaikh Ahmad Kabeer,
1 beti : Faatima Taahira (Jin ka nikaah Sayyed Sharf-ud-deen Husain Shaah Wilaayat se hua).
****************
Aap ki aulaad ‘Bukhaari saadaat’ kehlaate hain.
Aap ki nasl me Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi aur Makhdoom Sayyed Sadr-ud-deen Muhammad Raajan Qattaal rahmatullāhi alaihi, Sayyed Naasir-ud-deen Mahmood Naushah aur Sayyed Abdullāh Qattaal, Qutb e aalam Sayyed Burhaan-ud-deen Abdullāh rahmatullāhi alaihi aur Shaah e aalam Sayyed Siraaj-ud-deen Mohammad rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad) jaise Auliya mash'hoor hain.
****************
Aap Hazrat Baha-ud-deen Zakariya Multani rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘Suharwardi Jalaali’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Sayyed Sadr-ud-deen Mohammad Ghauṡ rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Shaikh Sayyed Baha-ud-deen Mohammad Maasoom rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shaikh Sayyed Sultaan Ahmad Kabeer Bukhari rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Shaikh Mohammad Husain rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 19 Jamaadi-ul-awwal 690 Hijri (20 May 1291 A.D.) ko 95 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Uch, Punjab (Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Sayyed Jalaal-ud-deen Hasan Surkh-Posh Bukhari rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں