Hazrat Maulana Shaah Imaam-ud-deen Ahmad Mukhtaar Siddeeqi Meeruti

Hazrat Maulana Shaah Imaam-ud-deen Ahmad Mukhtaar Siddeeqi Meeruti rahmatullāhi alaihi :
Aap ki wilaadat 7 Moharram 1294 Hijri (22 January 1877 A.D.) ko Peer ke roz Mohalla-e-Mashaikhan, Andar Kot, Meerut me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaah Abdul Hakeem Josh bin Shaikh Peer Bakhsh hai.
Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
***************
Aap 5 saal ki umr me Madrasa me daakhil hue aur Qur’an majeed ki ta’aleem haasil ki.
Phir apne waalid se Urdu, Faarsi aur Arabi ki ibtidaai ta’aleem haasil ki aur 1310 Hijri me Allama Nazeer Hasan se Dars-e-Nizaami ki ta’aleem mukammal ki.
Phir 1321 Hijri (1903 A.D.) Makka mukarrama me Shaikh-ul-Dalaa'il Hazrat Maulana Shaah Abdul Haq Siddeeqi Allahabadi se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki. Phir 1322 Hijri (1904 A.D.) me Madeena Munawwara me Shaikh Sayyed Muhammad Ameen Rizwaan se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Aap ne Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullahi alaihi aur Hazrat Maulana Shaah Fazl-e-Rahmān Gunj-muradabadi rahmatullāhi alaihi se bhi ta’aleem haasil ki.
***************
Apni ta’aleemaat aur ta’ameer e idaaraat ke zariye Aap ne Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki hai.
Aap Daman ki Dholar Masjid me imaamat karte the.
1324 Hijri (1906 A.D.) me Aap Lourenço Marques (Maputo), Mozambique tashreef le gaye.
1326 Hijri (1908 A.D.) me South Africa tashreef laaye aur ‘Rounak-ul-Islaam’ ki ibtida ki.
1327 Hijri (1909 A.D.) me Johannesburg me Haamidiya Society ki ta’ameer ki.
1328 Hijri (1910 A.D.) me Al-Islaam (Indian Views) Gujarati akhbaar ki shuruat ki aur Madrasa Anjuman Islaam ki ta’ameer ki.
1330 Hijri (1914 A.D.) me Reunion me Masaajid aur Madaaris ki ta’ameer ki.
1331 Hijri (1915 A.D.) me Mandalay, Burma me Sadr Daftar (Headquarter) qaa'im kiya. Aur Philippines ka safar kiya aur waha Jama’at (party) qaa'im ki.
1334 Hijri (1918 A.D.) me Meerut me Daar-ul-Yataama wal Masaakeen, Faiz-e-Aam College aur Muslim Girls High School ki ta’ameer ki.
1338 Hijri (1922 A.D.) me Muslim league ki member bane aur Angrezi hukoomat ne Aap ko girftaar kiya. Qaid-khaane me Aap ta’aleeme deen karte rahe.
1340 Hijri (1924 A.D.) me Tehreek-e-Khilaafat me shaamil hue aur Aap ne apne bhai Maulana Nazeer Ahmad aur Maulana Abdul Aleem Siddeeqi ke saath 3 laakh rupye ka chanda bhi diya.
1340 Hijri (1924 A.D.) me Saudi Arabia hukoomat ne Haramain shareefain ke muqaddas maqaamaat aur mazaaraat to todkar be-hurmati ki us ke khilaaf dange ka maahol paida hua tab logo ko samjhaane ke liye ek Wafd (delegation) bheja gaya. Aap bhi us me Makka mukarrama aur Madeena munawwara tashreef le gaye.
Waha se Aap Yemen tashreef le gaye aur isha’at e islaam ka kaam karte rahe.
1348 Hijri (1932 A.D.) me Aap ki dono aankho ki roshni jaati rahi phir bhi Aap ne khidmate deen ka kaam jaari rakha.
1350 Hijri (1934 A.D.) me Aap South Africa tashreef laaye aur Muslim Daar-ul-Yataama wal Masakeen, Bazme Ikhwaan-us-Safa aur Madrasa Banaat-ul-Islaam [khwaatin ke liye] (Jum’ah Masjid Madrasa) ki ta’ameer ki.
***************
Aap ke 2 saahabzaade hai :
(1) Zuhoor-ul-Haq Rahmāni
(2) Zaheer-ul-Haq Irfaani.
***************
Aap (apne waalid) Hazrat Shaah Abdul Hakeem Josh rahmatullahi alaihi ke mureed hain aur Hazrat ne Aap ko ‘Qaadri Ghauṡiya’, ‘Chishti Saabri Imdaadi’ aur ‘Naqshbandi’ silsila ki khilaafat ata farmai hai.
Aap ko Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullahi alaihi ne ‘Qaadri Barkaati Razawi’ silsile ki aur Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan Kichhauchhawi rahmatullāhi alaihi ne ‘Chishti Ashrafi’ silsile ki khilaafat ata farmai hai.
Aap ne Hazrat Shaikh Sayyed Muhammad Ameen Rizwaan Madani rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Sayyed Haaji Waaris Ali Shaah rahmatullāhi alaihi se bhi faiz haasil kiya.
Aap ke khalifa :
Maulana Muhammad Basheer Siddeeqi.
***************
Aap ka wisaal 12 Jamaadi ul awwal 1357 Hijri (10 July 1938 A.D.) ko Peer ke roz Maghrib ke waqt hua.
Aap ke wisaal ke waqt bhaari baarish shuru thi lekin Aap ke janaaze me paani daakhil nahi hua.
Aap ka mazaar Daman me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Maulana Shaah Ahmad Mukhtaar Siddeeqi Meeruti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے