Hazrat Makhdoom Zain-ud-deen Ali Mahimi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Makhdoom Zain-ud-deen Ali Mahimi rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-e-Kokan.
*******************
Aap ki wilaadat 10 Moharram 776 Hijri (1372 A.D.) me Mahim, Mumbai hui.
Aap ke waalid ka naam Maulana Shaikh Ahmad bin Ibrāheem rahmatullāhi alaihi aur Faatima binte Nakhuda Husain Ankolia hai.
Aap Quraish ke Nawait qabeele se ta’alluq rakhte hain.
Aap ke waalid wali ALLĀH hain aur un ka mazaar Kalyan (Mumbai) me hai.
*******************
Aap ne apne waalid se ta’aleem haasil ki aur Qur’an, Hadeeṡ, Tafseer, Fiq'h, Kalaam, Falsafa, Tasawwuf, Ilm e Istadalaal aur dusre uloom ke maahir hue.
Aap ki umr 9 saal ki hui tab 785 Hijri me aap ke waalid ka inteqaal hua.
Is ke kuchh arse baad Aap ilm e deen sikhne ke liye Hind ke baahar jaana chaahte the. Magar apni waalida ko chhodkar jaana nahi chaahte the. Aap ki waalida ko jab pata chala to unho ne aap ko khaas uloom ata karne ke liye ALLĀH ta’ala se dua ki.
Aap roz namaaz e fajr ke baad samundar ke kinaare jaate the. Ek din aap ne dekha ki ek buzurgh shakhs samundar ke kinaare baithe hain. Us ne use apne paas bulaaya aur farmaaya “Tumhari maa bahot nek hain aur ALLĀH ki wali hain. Us ki dua se ALLĀH ta’ala tumhe ilm ata farmaega. Tum roz namaaz e fajr ke baad mere paad ilme deen sikhne ke liye aa jaana. Magar yeh baat kisi ko bataana nahi.” Is tarah aap roz namaaze fajr ke baad samundar kinaare us buzurg ke paas ilme deen sikhne ke liye jaate. Woh buzurg Hazrate Khizr alaihis salaam the.
Ek din aap ki waalida ne aap se puchha “Bete! Roz subah tum kaha jaate ho?” Aap tashweesh me pad gaye kyun ki aap ke ustaad ne aap ko ye raaz kisi ko bataane se mana kiya tha. Magar aap ne apni waalida ko sach baat bata di. Dusre din subah jab aap samundar ke kinaare gaye to Hazrate Khizr alaihis salaam waha nahi the. Aap ne waapas aakar apni waalida ko bataaya. Unho ne phir se ALLĀH se dua ki.
Dusre din jab Makhdoom saahib samundar ke kinaare gaye to Hazrate Khizr alaihis salaam tashreef laaye aur bataaya ki “ALLĀH ta’ala ne tumhari waalida ki dua qubool ki hai.” Aur phir unho ne aap ko koi cheez khaane ke liye di. Jaise hi aap ne use khaaya ALLĀH ta’ala ne aap ko zameen wa aasmaan ka tamaam ilm aap ko ata farma diya.
*******************
Ek baar namaaz e isha ke baad aap ki waalida ne aap ko paani laane ke liye kaha. Aap paani lekar aaye to dekka ki aap ki waalida so gai thi. Aap paani ka gilaas lekar wahi khade rahe. Aap ne socha ki jab ammi jaan ki aankh khulegi aur wo paani maangegi to main foran unhe paani de dunga. Tahajjud ke waqt jab aap ki waalida ki aankh khuli to aap ne puchha ki ‘Tum ne mujhe jagaaya kyun nahi?’ To aap ne kaha “Main aap ki neend me khalel pahunchaana nahi chaahta tha.”
Aap ki waalida ne aap ke liye dua ki “Tum itni khidmat karte ho to in shaa Allāh ek din tum Makhdoom aur Faqeeh ke naam se mash'hoor honge.”
*******************
Aap apna zyada waqt Ibaadat, Riyaazat aur Muraaqaba me guzaarte.
Aap bahot ameer the. Magar aap apne maal ko ghareebo aur mohtaajo ki madad me aur mehmaano ki khidmat me kharch karte.
*******************
Gujarat ke Sultaan Ahmad Shaah ne Aap ko Thane Zile ke Qaazi banaaya tha.
Aur apni bahen se aap ka nikaah karaaya tha.
*******************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Makhdoom saahib ke ghar me ek bakari thi. Jo aap ko bahot pasand thi. Ek baar Aap ghar par aaye to us bakari ko na dekha. Aap ne apni waalida ko us ke baare me puchha. Aap ki waalida ne bataya ke woh bakari mar gai hai aur hamari khaadima ne use samundar me phenk diya hai. Aap foran us khaadima ke saath samundar ke kinaare gaye aur jis gajah par bakari ko phenka thaw aha pahunchkar aap ne use ghar waapas jaane ke liye kaha. Woh khaadima waha se gai aur thoda door jaakar waapas aai. Jab woh waapas pahunchi to us ne dekha ki Makhdoom saahib us bakari se keh rahe the “Chalo utho. Hame ghar jaana hai. Waha ammi jaan intazaar kar rahi hain.” Us ne dekha ki ye kehte hi ALLĀH ke hukm se woh bakari zinda ho gai aur aap ke saath chalne lagi. Us waqt aap ki umr 10 saal thi.
(2) Ek baar ek hindu vyapaari ka be-shumaar saamaan bhara hua jahaaz Mahim se rawaana hua. Magar 7 saal tak waapas na aaya. Us ne jyotishi se puchha to us ne bataaya ki jahaaz samundar me doob gaya hai.
Us ke ek muslim dost ko pata chala to woh use Makhdoom saahib ke paas lekar aaya. Aap ne use niche baithkar apni aankhen band karne ke liye kaha. Us ke baad aap ne farmaaya “Tumhara jahaaz aaj sham ko waapas aa jaayega.”
Jab sham ko woh shakhs samundar ke kinaare gaya to us ne dekha ki us ka woh jahaaz jo 7 saal pehle paani me doob gaya tha woh sab saamaan ke saath kinaare par salaamat aa pahuncha hai.
Yeh karaamat dekhkar us ka tamaam pariwar islaam me daakhil ho gaya.
(3) Ek baar ek shakhs ko kahi door safar par jaana tha. Us ke paas qeemati heere jawaahirat the. Us ne socha ki inhe apne saath le jaana theek nahi. Behtar hai ki kisi ke paas amaanat rakh du. Us ne Makhdoom saahib ke baare me suna tha. Is liye wo aap ke paas aaya aur apne heere jawaahirat unhe diye aur kaha “Jab main safar se waapas aaunga to le jaaunga.” Aap ek kuen ke paas khade the. Aap ne unhe kuen me phenk diye. Woh kehne laga “Ab aap use waapas kaise laayenge?” Aap ne farmaaya “Tum jab chaahoge main tumhe waapas de denga.” Magar woh nahi maana.
Aap ne kuen me haath daala aur apni mutthi me jawaahiraat lekar haath baahar nikaala. Yeh dekhkar woh sharminda hua aur maafi maangi. Aap ne un me se kuchh heere use waapas diye aur baaqi ko phir se kuen me phenk diye.
(4) Ek shakhs Makhdoom saahib ke ghar ke qareeb rehta tha. Us ki ek ladki ke saath mangni hui thi aur kuchh dino me un ki shaadi hone wali thi. Is dauran aik arab taajir ne us ladki ko dekha aur use wo pasand aa gai. Woh us ladki ke baap ke paas aaya aur us ladki ke saath shaadi karne ka iraada zaahir kiya. Us ladki ke baap ne saari baat batai to us arab ne kaha ki main mangni todne ke liye us ladke ko bahut saara maal dene ke liye tayyaar hu. Yeh sunkar us ka baap raazi ho gaya. Mohalle me yeh baat phail gai.
Jab Makhdoom sahib us ladki ke baap ko samjhaane ke liye gaye to us ne kaha “Yeh ladka aur Arab taajir dono hajj ke liye jaaye aur dono me se jo pehle Mahim waapas aaye us se main apni beti ka nikaah karunga.” Is ke baad woh arab foran hajj ke liye nikal gaya. Magar woh ladka maayoos aur ghamgeen ho gaya.
Makhdoom sahib ne use masjid me dekha to 2 rak'at nafl namaaz padhne ke liye farmaaya. Jab woh ladka namaaz padhkar waapas aaya to aap ne farmaaya “Apni aankhen band kar lo aur jab tak main na kahu aankh kholna nahi.” Us ne aisa hi kiya. Aap use lekar paani ke hauz ke andar daakhil ho gaye. Aur jab aap ne kaha to us ladke ne aankh kholi to us ne dekha ki woh Makka shareef me pahunch gaya hai.
Aap ne us se farmaaya “Jaakar us arab se mil lo magar use yeh sab baaten na batana’ Us ne us arab se mulaqat ki. Aur Hajj ke tamaam arkaan ada kiye. Phir woh Makhdoom saahib ke paas aaya. Aap ne use phir se Mahim pahuncha diya.
Dusre din jab woh arab waapas aaya to us ne kaha ki “Maine us ladke ko Makka me dekha tha.” Phir use pata chala ki woh ladka to ek din pehle Mahim pahunch gaya hai. Aur shart ke mutaabiq us ladki ka nikaah us ladke ke saath hua.
(5) Ek baar ek majlis me kuchh nek logo ke darmiyaan baat hui ki Makhdoom saahib ke ghar me hamesha mehmaan hote hain aur wo un ki bahot khidmat karte hain aur bahot badhiya khaana khilaate hain. Ek shakhs kehne laga “Jo ALLĀH ke wali hote hain woh dunya ki cheezo se mohabbat nahi rakhte.” Bahot samjhaane ke baad bhi woh nahi maana. Unho ne use Mahim jaakar khud dekhne ke liye kaha.
Woh Mahim aakar Hazrat ke ghar par aaya. Aap ne use rehne ke liye ek karma diya. Aur khaane ka waqt aap bhi us ke saath khaana khaane baithe aur use har cheez ko chakhne ke liye kaha. Aap thoda pehle khaana khaakar uth gaye aur aap ne waha se machhli ki chand haddiya utha li. Aur haath dhone ke baad aap ne use paani ke bartan me daal diya. Jab wo shakhs khaana khaane ke baad haath dhone ke liye gaya ato us ne dekha ki us bartan me haddiyo ke bajay zinda machhliya tair rahi hain. Yeh dekhkar woh saari baat samajh gaya aur Hazrat ki maafi maangi.
*******************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Tafseer -e-Rahmāni (Tafseer e Quran)
(2) Fataawa Makhdoomiya
(3) Fiqah Makhdoomi
(4) lna’am ul Malik-ul Ulam Jahkam Hukm-ul Ahkaam
(5) Awwalat-ut-Tawheed
(6) Ajallat-ut-Ta'id Fee Sharh-e-Adallatu-d-Tawheed
(7) An Noor-ul Athar Fee Kashf-e-Sirr-al Qaza wa Qadar
(8) Az Zawh-ul Azhar Fee Sharh al Noor-ul Azhar
(9) Khusus-un Na’am Fee Sharh-e-Fusus-ul-Hikam
(10) Mashra’al Khusus Fee Sharh-al Fusus-ul-Hikam
(11) Zawarif-ul lataif Fee Sharh-e-Awariful Ma’arif
(12) Azat-ud Daqaiq Sharh-e-Miraat-ul-Haqaa'iq
(13) Tarjuma wa Sharh-e-Lama’t –e-Iraqi
(14) Al Rutbat-ul Rafiatu Feel Jam’a wat Taufeeq bain al Asraar al Haqeeqat wa anwaar ush Shariah
(15) Imhaaz-ul Nashihaat
(16) lsjila’al basar fil radd ala istiqsa’an nazar
(17) Al wajud Fi Sharh-e-Isma’al Ma’bood
(18) Risaala-e-Ajeeba.
*******************
Aap Hazrat Shaikh Mohiy-ud-deen Muhammad ibne Arabi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Maghribi Akbari’ silsila ke shaikh hain.
Aap ke Khalifa Hazrat Shaikh Sayyed Muhammad Kokani rahmatullāhi alaihi hain.
*******************
Aap ka wisaal 8 Jamaadi-uṡ-ṡaani 835 Hijri (February 1431 A.D.) ko Shab e Jum’aa ko hua.
Aap ka mazaar Mahim (Mumbai, Maharashtra) me hai.
Aap ka Urs 13 Shawwaal ko manaaya jaata hai.
*******************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Ali Mahimi rahmatullāhi alaihi aur Auliya Allah waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے