Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-e-Aalam, Madaar-e-Aazam.
*********************
Aap ki wilaadat 6 Jamaadi uṡ ṡaani 1155 Hijri (7 August 1742 A.D.) ko Sirhind (Punjab) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Haaji Hakeem e Ilāhi Shaah Rahmatullāh Alwi bin Azmatullāh Alwi rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Bibi Laado urfe Bibi Ghareeb Nawaaz binte Maulana Sayyed Saeed-ud-deen Rizwi hai.
Aap Alwi hain.
Aap ke pardaada Bukhara ke Sultaan the. Shaah Aayatullāh Alwi Multan aaye aur un ke pote Azmatullāh Alwi Sirhind (Punjab) aaye.
Jab Aap ki umr 6 saal thi tab aap ke waalid Shaah Rahmatullāh Alwi Delhi tashreef laaye. Woh Naqshbandi silsile ke shaikh hain aur Delhi ke Qaazi the.
Aap ke naana Husaini Rizwi saadaat hain. Aur Hazrat Khwaja Kaleemullāh Shah Jahanabadi rahmatullāhi alaihi ke khalifa hain.
Aap ki waalida Hazrat Shaah Mohiy-ud-deen Diyasanami rahmatullāhi alaihi ki mureed thi. Ek baar Qaadri silsile me Bai'at karne ke baad Aap ki waalida ne dobaara apne hone waale bache ki taraf se apne peer se bai'at ki.
*********************
Aap ne apne naana jaan Hazrat Maulana Sayyed Saeed-ud-deen Rizwi se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Phir Madarsa Fakhriya Delhi me majeed ta’aleem haasil ki.
17 saal ki umr me Aap ne Qur’an, Hadeeṡ, Tafseer aur Fiq'h ki ta’aleem mukammal ki aur Sanad e Faraaghat haasil ki.
*********************
Is ke baad Aap Madarsa Fakhriya me Mudarris bane aur phir Sadr-ul-Mudarraseen bane.
*********************
19 saal ki umr me Aap Hazrat Maulaana Fakhr-ud-deen Mohammad Chishti Dehlawi rahmatullāhi alaihi mureed hue.
Aap ke waalidain ne baatini ta’aleem ke liye Aap ko Hazrat Fakhr-ud-deen ko supurd kiya.
Ek martaba Hazrat Fakhr-ud-deen Chishti Dehlawi ko bashaarat hui aur Hazrat Ghauṡe aazam ne farmaaya ke “Niyaaz Ahmad ke liye hum humari aulaad me se ek shakhs ko bhej rahe hain jo ise Qaadri silsile me apna mureed banayega.” Is ke 6 din baad Hazrat apne sar par meethaai ki thaali rakhkar aap ko apne saath Delhi ki Jaama Masjid me le gaye. Waha Sayyed Abdullāh Baghdadi muqeem the. Un ko meethaai bataur e nazraana pesh ki aur unho ne majme ki maujoodgi me Shaah Niyaaz Ahmad ko apna mureed banaaya.
Phir Hazrat Fakhr-ud-deen Chishti Dehlawi ke farmaan par Aap Bareilly tashreef laaye aur apni khaanqaah banaai aur ta’aleem e deen karte rahe aur logo ko faiz ata karte rahe.
Aap ki baargaah me Hindustan ke aur Afghanistan, Samarqand aur Bukhara se log ta’aleem haasil karne ke liye aate the.
Aap ke shaagirdo me Ghulaam Hamdani Mushafi aur Mo’min Khan Mo’min mash'hoor hain.
*********************
Aap hamesha ba-wuzu rehte the.
Aap hamesha saadgi pasand karte the.
Ameero aur Sultaano aur siyaashi logo ki ki sohbat se door rehte the aur un se hadiya lene se inkaar karte the.
Haq ki ta’aleem dene me kisi se darte nahi the.
Aap hamesha Buzurgaan e Chishtiya ke Qaul wa fail par amal karte the.
Aap logo ko apne waalidain ki aur buzurgo ki khidmat aur ita’at karne ki naseehat karte the.
Aur Saadaat e kiraam se mohabbat karne ki aur un ki khidmat karne ki taalim dete the.
Aap ghareebo aur mohtaajo ki khidmat karna bahot pasand karte the aur apne shaagirdo ko bhi is ki taaqid karte the.
Aap farmaate the ke Khaaliq ki raza ke liye makhlooq ki khidmat karo. Insaano ko madad chaahe wo kisi bhi mulk ya ilaake ka ya kisi bhi qaum ka ho.’
*********************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Risaala Raaz-o-Niyaz
(2) Shams-ul-Ain Shareef
(3) Noor-ul-Ain
(4) Tohfa e Niyaaz ba Hazrat-e-Be-Niyaaz
(5) Haashiyah Sharah ‘Mulla Jalaal’
(6) Haashiyah Sharah ‘Chagmani’
(7) Risaala Tasmeet-ul-Maraatib
(8) Risaala Mantiq
(9) Bayaaz
(10) Majmua Qasaaid-e-Arbiya
(11) Sharah Qasaaid-e-Arbiya
(12) Deewaan-e-Niyaaz (Urdu)
(13) Deewaan-e-Niyaaz (Faarsi).
******************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba urs ke mauqe par Hazrat ne apne shaagirdo ko roti aur shirni ki nyaaz taqseem karne ke liye farmaaya. Munshi Ali Bakhsh baawarchi khaane ki zimmedaari samhalte the. Unho ne Aap se arz kiya ‘Huzoor! Abhi hamare paas sirf 5 kilo aata hai jo yaha maujood tamaam logo ke liye kaafi nahi hai. Aap ne farmaaya ‘Us aate ko ek kapde me rakhkar us me rotiya banaate jaao aur taqseem karte jaao magar use kholkar dekhna nahi.’
Munshi Ali Bakhsh ne aap ke farmaan ke mutaabiq kiya. Sab ko khilaane ke baad Munshi Ali Bakhsh ne kholkar dekha to ta’ajjub hua ke wo 5 kilo aata jaisa tha waisa hi maujood tha.
(2) Ek baar Hazrat Muradabad ke qareeb Bachraon tashreef le gaye. Aap ke 7 mureedo ne alag alag Aap ko apne yaha khaana khaane ki daawat di.
Aap ne apne maqaam par khaana tanaawul farmaaya aur ek kamre me aaraam karne ke liye gaye aur logo se khalel na pahunchane ke liye farmaaya.
Dusre din wo sab mureed aaye aur daawat ke liye tashreef laane par shukriya ada kiya. Tab logo ko pata chala ke jis waqt Aap kamre me aaraam farma rahe the usi waqt Aap tamaam mureedo ke waha khaane ki daawat ke liye bhi tashreef le gaye the.
*********************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ka nikaah Hazrat Sayyed Abdullāh Baghdadi ki saahabzaadi se hua.
Un ke intiqaal ke baad Aap ne dusra nikaah kiya.
Jis se Aap ke 2 bete aur 1 beti hain.
Saahabzaade :
(1) Shaah Nizaam-ud-deen Husain (Sajjaada nasheen),
(2) Shaah Nasir-ud-deen.
*********************
Aap Hazrat Maulaana Fakhar-ud-deen Mohammad Chishti Dehlawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain. Hazrat ne Aap ko ‘Suharwardi’ silsile ki bhi khilafat ata farmai hai.
Aap ko Hazrat Sayyed Abdullāh Baghdadi Qaadri rahmatullāhi alaihi se ‘Qaadri’ silsile ke khilaafat mili hai.
Hazrat Haaji Shaah Rahmatullāh Alwi rahmatullāhi alaihi se ‘Naqshbandi’ silsile ki khilaafat mili hai.
Hazrat Maulana Sayyed Saeed-ud-deen Rizwi ne bhi Aap ko ‘Chishti Nizaami Kaleemi’ silsile ki khilaafat ata farmai hai.
Aap se ‘(Chishti Nizaami) Niyaazi’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Taaj-ul-Auliya Shaah Nizaam-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Miyan Fakhr-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Muhammad Fakhr e Aalam rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Ghulaam Muhammad Miskeen Shaah Jaipuri rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Sayyed Ahmad Ali rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Maulwi Abdul Lateef Samarqandi rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Sayyed Meer Muhammad Sami Badakhshani rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Maulana Wa’az Muhammad Badakhshani
(9) Hazrat Maulwi Ne'matullāh Khan Kabuli rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Maulwi Yaar Muhammad Kabuli rahmatullāhi alaihi
(11) Hazrat Mulla Jaan Muhammad Kabuli rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Haafiz Wazeer Khwaja Kabuli rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Abdul Rasool Saahib Kabuli rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Maulwi Muhammad Husain Makki rahmatullāhi alaihi
(15) Hazrat Mirza Asadullāh Beg Bareilwi rahmatullāhi alaihi
(16) Hazrat Shaah Jee Sharf-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(17) Hazrat Hakeem Rahmatullāh Bachrayuni rahmatullāhi alaihi
(18) Hazrat Maulwi Mahmood Aalam Bachrayuni rahmatullāhi alaihi
(19) Hazrat Shaahzaada Saahib Ajmeri rahmatullāhi alaihi
(20) Hazrat Bakhshullāh Khan Shahabadi rahmatullāhi alaihi
(21) Hazrat Mohammad Abdullāh Khan Sahjahanapuri rahmatullāhi alaihi
(22) Hazrat Maula Daad Khan Sahjahanapuri rahmatullāhi alaihi
(23) Hazrat Maulwi Mastaan Khan Sahjahanapuri rahmatullāhi alaihi
(24) Hazrat Hashmat Ali Khan rahmatullāhi alaihi
(25) Hazrat Kifayatullāh Khan rahmatullāhi alaihi
(26) Hazrat Maulwi Abdur Rahmān Khan Jaorawi rahmatullāhi alaihi
(27) Hazrat Ghulaam Maula Khan Akbarbadi rahmatullāhi alaihi
(28) Hazrat Maulwi Ubaidullāh rahmatullāhi alaihi
(29) Hazrat Uṡmaan Khan Kabuli rahmatullāhi alaihi
(30) Hazrat Haaji Haasham Kabuli rahmatullāhi alaihi
(31) Hazrat Makhdoom Abdul Saeed Yarkandi rahmatullāhi alaihi
(32) Hazrat Shaah Shams-ul-Haq Lukhnawi rahmatullāhi alaihi
(33) Hazrat Makhdoom Jee Badakhshani rahmatullāhi alaihi
(34) Hazrat Shaah Noor Husain Bareilwi rahmatullāhi alaihi
(35) Hazrat Salaamatullāh Khan Sahjahanapuri rahmatullāhi alaihi
(36) Hazrat Shaah Wajeeh-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(37) Hazrat Zia-ud-deen Saahib rahmatullāhi alaihi.
*********************
Aap ka wisaal 6 Jamaadi uṡ ṡaani 1250 Hijri (9 October 1834 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Bareilly (Uttar Pradesh) me hai.
*********************
Ek shakhs Kabul se Bareilly aaya. Shaher ke baahar ek buzurg mile aur us se puchha ‘Kaha jaa rahe ho?’ Us shakhs ne kaha ‘Hazrat Shaah Niyaaz ka mureed hone ke liye jaa raha hu.’ Us buzurg ne farmaaya ‘Main tumhe mureed banaata hu.’ Aur phir unho ne khaanqaah ka raasta bataaya.
Jab wo shakhs khaanqaah pahuncha to pata chala ke Hazrat Shaah Niyaaz ka wisaal 3 din pehle hi ho chuka hai. Us shakhs ne logo ko ye tamaam qissa bataaya. Jab us ne us buzurg ki shakl o soorat bayaan ki to logo ko ta’ajjub hua ke wo bilkul Hazrat Shaah Niyaaz ki hum soorat the.
Wo shakhs jaan gaya ke Hazrat ne wisaal ke baad tashreef laakar mureed banaakar us ki khwaahish puri farmai hai.
*********************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں