Hazrat Maulana Fakhr-ud-deen Chishti Dehlawi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Maulana Fakhr-ud-deen Chishti Dehlawi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Muhibb-un-Nabi, Fakhr-e-Jahaan.
****************
Aap ki wilaadat 1126 Hijri (1715 A.D.) me Aurangabad me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Aurangabadi rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ki waalida Hazrat Khwaja Sayyed Muhammad Banda nawaaz Gaisu daraaz ki nasl se hain.
Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Aurangabadi rahmatullāhi alaihi ne jab Aap ki wilaadat ki khabar Hazrat Khwaja Kaleemullāh Jahanabadi rahmatullāhi alaihi ko di to Hazrat ne Aap ke liye ek kapda bheja aur Aap ko ‘Fakhr-ud-deen’ naam ata farmaaya aur Aap ke liye dua ki aur bashaarat ata farmaai.
****************
Aap ne apne waalid se aur dusre ulama se Qur’an, Hadeeṡ aur Fiq'h ki ta’aleem haasil ki.
Is ke baad Khwaja Nizaam-ud-deen Aurangabadi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko Tasawwuf aur Tareeqat ki ta’aleem ata farmaai.
Aur 1142 Hijri (1729 A.D.) me 16 saal ki umr me Khwaja Nizaam-ud-deen Aurangabadi rahmatullāhi alaihi ne apne wisaal se pehle Aap ko Khilaafat ata farmai.
Is ke baad Aurangabad me Aap 3 saal tak mazeed ta’aleem haasil karte rahe.
****************
Phir 8 saal tak Mujaahida aur Muraaqaba karte rahe.
Aur kuchh saal tak logo ko ta’aleem aur faiz ata farmaate rahe.
Aap shohrat se door rehna chaahte the. Lekin jab khwaab me Aap ke waalid e mohtaram tashreef laaye to un ki farmaan par Delhi rawaana hue.
****************
1165 Hijri (1752 A.D.) me Aap Delhi tashreef laaye aur Ajmeri darwaaze ke qareeb kiraaye par ek makaan lekar qayaam farmaaya. Aur us me Madrasa shuru kiya aur phir apni khaanqaah shuru karke logo ko ta’aleem aur faiz ata karte rahe.
Hindustan ke aur dusre mulko ke log Madrasa Fakhriya me ta’aleem haasil karne ke liye aate the.
Sultaan Ghazi-ud-deen Khan, us ka shehzaada Qamar-ud-deen Khan aur Baadshaah Shaah Aalam Aap ke mureed the.
****************
Aap hamesha ishq e Nabi ke saath Sunnato par amal karte the aur logo ko bhi Sunnato ko sikhkar amal karne ki ta’aleem dete the. Is liye Aap ‘Muhibb-un-Nabi’ ke laqab se mash'hoor hain.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Nizaam-ul-Aqaa'id
(2) Risaala Marziya
(3) Risaala Ain-ul-Yaqeen
(3) Fakhr-ul-Hasan.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Delhi ki taraf safar ke dauraan raaste me Aap ke qaafile ne ek maqaam par wuqoof kiya tab ek na-bina hindu aurat se mulaaqat hui. Us aurat ne qaafile waalo se Hazrat ka huliya mubarak puchha aur phir Hazrat ke paas aakar us ki aankh ki roshni ke liye dua karne ke liye arz kiya. Aap ne farmaaya “Main to ek aam sipaahi hu aur koi karaamat nahi jaanta.” Magar us aurat ne israar kiya. Aakhir-kaar qaafila jab waha se rawaana hone laga tab Aap ne us aurat ke liye dua farmaai aur ALLĀH ke fazl se us aurat ki aankh ki roshni use waapas mili.
****************
Aap Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Aurangabadi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘Chishtiya Fakhriya’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaah Niyaaz Ahmad Bareilwi rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Khwaja Noor Muhammad Maharwi rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Maulana Zia-ud-deen Jaipuri rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Sayyed Badi-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Maulwi Noorullāh rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Maulwi Fareed-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Muhammad Ghauṡ rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Miyan Qutub-ud-deen Sharqi rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Maulawi Abdul Wahaab Bikaneri rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Haafiz Sa’adullāh rahmatullāhi alaihi
(11) Hazrat Haaji Muhammad Wasil rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Sayyed Muhammad Meer rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Maulwi Azmatullāh rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Shaah Muhammad Aazam rahmatullāhi alaihi
(15) Hazrat Ghulaam Fareed Chishti rahmatullāhi alaihi
(16) Hazrat Miyan Asmatullāh rahmatullāhi alaihi
(17) Hazrat Haaji Ahmad Saahab rahmatullāhi alaihi
(18) Hazrat Shaikh Ala-ud-deen Mohammad Zama rahmatullāhi alaihi
(19) Hazrat Soofi Yaar Mohammad rahmatullāhi alaihi
(20) Hazrat Sub'hān Ali rahmatullāhi alaihi
(21) Hazrat Maulana Jamaal-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(22) Hazrat Meer Shams-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(23) Hazrat Maulwi Mukarram Shaah rahmatullāhi alaihi
(24) Hazrat La’al Muhammad rahmatullāhi alaihi
(25) Hazrat Shaikh Ghulaam Qutb-ud-deen rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 27 Jamaadi-uṡ-ṡaani 1199 Hijri (May 1785 A.D.) ko 73 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Mehrauli, Delhi me Hazrat Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi ke mazaar ke bagal me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Maulana Fakhr-ud-deen Chishti Dehlawi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے