Hazrat Peer Muhammad Zaahid Khan Naqshbandi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Peer Muhammad Zaahid Khan Naqshbandi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Ameen-ul-Ummat, Ghareeb nawaaz.
****************
Aap ki wilaadat 1320 Hijri (1902 A.D.) me Mohra me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Peer Muhammad Qaasim Saadiq Baaba Ji Saahib rahmatullāhi alaihi hai.
****************
Aap ne apne waalid aur deegar ulama se ta’aleem haasil ki.
Aap ne Hazrat Peer Irani rahmatullāhi alaihi se Faarsi aur Pushto ji ta’aleem haasil ki.
Aap Arabi, Urdu, Faarsi, Pushto aur Punjabi ke maahir the.
****************
Aap namaaze tahajjud paabandi se ada farmaate aur akṡar waqt ibaadat o riyazat me guzaarte.
Aap ne naujawaani se hi Hazrat Peer Ghulaam Muhiy-ud-deen rahmatullāhi alaihi ke islaam ki isha’at ke liye aur logo ko tasawwuf ki ta’aleem dene ke liye mulk ke kai ilaaqo ka safar kiya. Aap ka maqsad ameer aur ghareeb sab ke gharo me Zikr-e-Ilāhi pahunchana tha.
Aap farmaate the ke “Hamesha Huzoor Rasoole aazam sallallāhu alaihi wa sallam ki itteba karo taake tum dunya aur aakhirat me kaamyaab ho sako.”
****************
Aap 53 saal tak khaanqaah me ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
Aap hamesha saadgi pasand farmaate.
Aur mureedo aur zaayereen se mohabbat aur narmi se pesh aate.
Aap apne teeno saahabzaade ko bhi naseehat farmaate ke “Khud ko is darbaar ke shehzaade mat samajhna balke Khaanqaah-e-Mohra shareef ke khaadim bankar rehna.”
Punch (Kashmir) ke Maharaaja Aap ke moataqid the.
****************
Aap ka nikaah Hazrat Peer Inayatullāh Khan rahmatullāhi alaihi ki saahabzaadi se hua.
Aap ke 3 saahabzaade hain :
(1) Aaftaab Ahmad (Sajjaada nasheen e Awwal)
(2) Keumaras Baadshaah
(3) Aulia Badshah Faarooq (Sajjaada nasheen e Ṡaani)
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Aap kai baar ek hi waqt me Mohra shareef khaanqaah me maujood hone ke ba-wajood alag alag maqaam par haazir dekhe gaye hain.
Makhdoom-e-Tareeqat Hazrat Peer Aurangzeb Baadshaah bayaan karte hain ke “Aap ka ek mureed Makka mukarrama me rehta tha. Ek martaba us ne Aap Ka’aba shareef ke qareeb namaaz padhte hue dekha. Us ne Hindustan me khaanqaah me phone karke baat ki aur puchha : Hazrat Makka mukarrama kab tashreef laaye aur aap ki tashreef aawari ki khabar kyun nahi di gai to pata chala ke Hazrat abhi Mohra shareef khaanqaah hi me maujood hain.”
(2) Chaudhri Riyaz naami Aap ke ek mureed bahot pareshaani me the. Unho ne Srialamgir se Mohra jaakar Hazrat ki baargaah me jaane ka iraada kiya. Jab woh Mohra pahunche to khaanqaah ka darwaaza bandh ho gaya tha. Yeh dekhkar wo maayoos ho gaye aur unho ne socha ke “Dunya ke darwaaze to mere liye band ho gaye the ab is darbaar ka darwaaza bhi band ho gaya.” Abhi woh yeh soch hi rahe the ke achaanak darwaaza khula aur Hazrat un ke saamne tashreef laaye aur farmaaya “Bhale dunya ke darwaaze band ho jaaye lekin yeh darwaaza hamesha khula rahega.”
(3) Ek martaba ek naujawaan khaanqaah me aaya. Us ki aankh ki roshni kam ho rahi thi aur use dikhaai nahi deta tha. Use Aap ki khidmat me laaya gaya to aap ne kuchh padha aur us ki aankho par apni ungliya rakhi. Kuchh hi lamho me ALLĀH ke fazl se us naujawaan ki aankho ki roshni waapas aa gai.
****************
Aap (apne waalid) Hazrat Peer Muhammad Qaasim Saadiq Baaba Ji Saahib rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ‘Naqshbandi Mujaddidi Qaasmi’ silsila kae sheikh hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Peer Aaftaab Ahmad rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Peer Keumaras Baadshaah,
(3) Hazrat Peer Aulia Badshah Faarooq.
****************
Aap ka wisaal 24 Jamaadi-uṡ-Ṡaani 1414 Hijri (9 December 1993 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Mohra (Punjab / Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Peer Muhammad Zaahid Khan Naqshbandi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے