Hazrat Peer Haaji Moosā Baaba rahmatullāhi alaihi :
Aap ne 7 marataba Hajje Baitullāh ada kiye.
1258 Hijri (1842 A.D.) me 40 saal ki umr me Aap Punjab se Gondal (Gujarat) tashreef laaye. Aur Bhagvatpara, Khaatkiwaad me Abdur Rahmān Ismāeelbhai Ansaari ke yaha qayaam farmaaya.
Aap Gondal me 72 saal tak sukoonat pazeer rahe.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Aap roz namaaze fajr ke baad Hazrat Bodal Shaah Peer rahmatullāhi alaihi ke mazaar par tashreef le jaakar tilaawate Qura’n karte the.
Ek martaba Nadi me dono kinaare tak bahot zyada paani tha. Aap ne apna musalla paani par bichha diya aur us par khade hokar dusre kinaare par pahunch gaye.
(2) Gondal ke Raaja Bhagvatsinhji ki beti Kunvarba ko gale me sujhan [goiter] ki beemaari thi jo kisi dawa se theek nahi ho rahi thi. Raaja ke muslim mulaazimo ne Raaja ko bataaya ke “Ek durwesh hain. Agar woh dua karen to theek ho jaayega.” Aap ko bulaaya gaya. Aap ne aakar dua ki to raajkumari ko shifa haasil hui.
(3) Ek martaba Haaji Daadabhai Shekha ne Aap se arz kiya “Huzoor! Mere yaha aulaad nahi hai.” Aap ne unhe apne haath aage karne ke liye kaha. Unho ne haath aage kiya to apne munh se kuchh nikaala aur use pee jaane ke liye kaha. Aur dua ki ke “Jaa, tere yaha beta hoga.” Haaji Daadabhai Shekha us ulti ko pee gaye. Aap ki dua se Haaji Daadabhai Shekha ke yaha beta paida hua jis ka naam Abdul Ghani rakha gaya.
(3) Qaasimbhai Fateh Mohammad Dayaala ki maali haalat theek nahi thi. Unho ne aap ki khidmat me haazir dua ke liye arz ki. Aap ne kapde ka tukda aur rooi dekar farmaaya “Dhandha karo fateh hogi.” Qaasimbhai Fateh Mohammad Dayaala Burma gaye aur kapde aur rooi ka kaarobaar shuru kiya jis me khoob barkat hui. Jab watan waapas aaye to Aap ne farmaaya “Dayaala khaandaan ko meethe jarde ki niyaaz karni chaahiye. Aur us niyaaz ko asr ke pehle tak sab khila dena.” Aap ke farmaan ke mutaabiq Dayaala khaandaan ne niyaaz ki aur kai saal tak is tarah niyaaz karte rahe.
****************
Wisaal se pehle Aap ne Abdur Rahmān Ismāeelbhai Ansaari ke pariwaar ko Qur’an majeed aur tasbeeh di. Phir 5 baje apne madfan ki jagah batai aur kamzori aur jaeefi ke ba-wajood 5 : 30 baje namaaze fajr ada farmai.
Aap ka wisaal 22 Jmaadi- uṡ-Ṡaani 1330 Hijri (8 June 1912 A.D.) ko Peer ke roz subah ko 6 baje 112 baras ki umr me hua.
Aap ka mazaar Gondal (Gujarat) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Peer Haaji Moosā Baaba rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں