Hazrat Sayyed Uṡmaan Marwandi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Sayyed Uṡmaan Marwandi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
La’al Shaahbaaz Qalandar.

****************
Aap ki wilaadat Sha’abaan 572 Hijri (1177 A.D.) me Marwand (Iran) me hui.

Aap Sayyed Husain Shaah ke naam se bhi mash'hoor hain.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Ibrāheem Kabeer-ud-deen Mujab ibne Sayyed Shams-ud-deen rahmatullāhi alaihi hai.

Aap Husaini saadaat hain.

Aap ke pardaada Baghdad se Mash'had (Iran) aur phir Marwand aaye the.

****************
Aap 7 saal ki umr me Haafiz e Qur’an hue.

Aap Marwand se Baghdad aaye.
Phir safar karte hue Makran hote hue Sindh aaye.
661 Hijri (1263 A.D.) me Aap Multan pahunche.
Phir Karanchi, Sukher aur Uch hote hue Sehwan aaye.

666 Hijri (1267 A.D.) me Aap Sehwan aaye.
Aap ne khaanqaah banaai aur Madrasa Fuqaha-e-Islaam me talba ko ta’aleem dena shuru kiya.

Aap Arabi, Faarsi, Turki, Pashto, Sindhi aur Sanskrit ke maahir the.

****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui kitaaben :
(1) Mizaan-e-Sarf,
(2) Kism-e-Doyum,
(3) Aqd,
(4) Zubdah.

Aap ne bahot saari Nazmen bhi likhi hain.

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Aap sehra me ibaadat me mashgool the. Aap ne apne qareeb 2 lakdiya ek dusre se thoda thoda door zameen me lagai thi.
Ek shakhs waha se guzar raha tha. Us ne khwaab me dekha tha ki ek din woh baadshaah ban gaya hai. Usi soch me woh un lakadiyo ke bich me se guzar gaya. Jaise hi woh waha se guzra us ne dekha ki woh ek bade darwaaze me se guzarkar ek shaher me aa gaya hai aur logo ki bheed jama hai. Us ne kisi se puchh to pata chala ke waha ke baadshah ka inteqaal ho gaya tha aur us ka koi waariṡ nahi tha. Is liye naya baadshah tay karne ke liye sab log jama hue the. Huma naami parinde ko udaaya jaayega aur who parinda jis ke sar par baithega woh naya baadshaah hoga.
Kuchh der me huma us shakhs ke sar par aakar baith gaya. Logo ne use apna baadshaah banaaya. Aur 7 saal tak us ne waha hukoomat ki.
Ek baar wo apne mulk me sair karta hua usi darwaaze par pahuncha jaha se woh andar aaya tha. Woh us me baahar nikla to dekha ki un do lakdiyo ke bich me se waapas baahar aaya hai aur Hazrat La’al Shaahbaaz Qalandar wahi par ibaadat kar rahe hain.

(2) Ek baar Sehwan ke haakim ne Hazrat La’al Shaahbaaz Qalandar ka imtihaan lene ke liye Aap ko khaane ki daawat di. Us ne apne baawarchi ko ek billi ko maarkar us ko pakakar aap ko khaane me dene ke liye kaha. Us baawarchi ne aisa hi kiya. Jab aap ke saamne khaana ka bartan rakha gaya to Aap ne foran farmaaya “Qum bi iznillāh.” Jab aap ne ye kaha to foran us me se woh billi zinda ho gai aur baaqi tamaam bartan me rakha hua khaana khaakar baahar chali gai. Jab us hakim ko is baat ka pata chali to woh bahot sharminda hua aur Aap ki ma’afi maangi.

****************
Hazrat Khwaja Baha-ud-deen Zakariya Multani Suhrwardi, Hazrat Makhdoom Sayyed Jalaal-ud-deen Surkh-posh Bukhari aur Hazrat Khwaja Baaba Fareed-ud-deen Ganj-shakar Chishti ke saath Aap ki bahot gehri dosti thi.

****************
Aap Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Zakariya Multani rahmatullāhi alaihi ke khalifa hain.
Aap Suharwardi silsila ke Shaikh hain.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Sayyed Ali Sarmast Zualqi rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Sikandar Bodla Bahaar rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Mahadi Raza Shaah Sabzwari rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ka wisaal 18 Sha’abaan 672 Hijri (February 1274 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Sehwan (Pakistan) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Uṡmaan Marwandi La’al Shaahbaaz Qalandar rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے