Hazrat Shaikh Abu Bakr Tusi rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Matke Shaah Peer.
******************
Aap Hijri 617 Hijri (1220 A.D.) me Sultaan Ghiyas-ud-deen Balban ke zamaane me Iran se Delhi tashreef laaye.
Aap ne Delhi me Yamuna nadi ke kinaare qayaam karke apni khaanqaah banaai.
*****************
Ek martaba Aap ne dekha ke ek aadami Yamuna nadi me doobkar khudkushi karne jaa raha hai. Aap ne use rokkar puchha to us ne bataaya ke use koi laa ilaaj beemaari hai aur jis se tang aakar woh khudkushi karne jaa raha hai. Aap ne use ek matke me se paani pilaaya. ALLĀH ke fazl se us ki beemaari dheere dheere theek hone lagi aur woh sehatyaab ho gaya.
Is waaqye ki shohrat logo me phailne lagi. Jab Sultaan Ghiyas-ud-deen Balban ko pata chala to us ne Aap ka imtihaan lene ke liye Tameezun naami ek khubsurat aurat ko aap ke paas bheja. Jab wo aurat Aap ki baargaah me aai tab jaise hi Hazrat ki nazren tawajjoh padi to foran us ke dil ka aalam badal gaya aur woh Hazrat ki mureed ban gai aur Aap ki khidmat me hi reh gai.
Is ke baad Sultaan ne ek shakhs ke saath ek thaali me lohe ki goliya aur mitti bheji. Aap ki dua se wo goliya ‘Chane’ ban gai aur mitti ‘Shakar’ ban gai. Aap ne apne khaadim ko doodh laane ke liye farmaaya. Aur doodh me woh shakar daalkar us doodh ko aur chane ko waha maujood logo ko khaane ke liye diye. Aur ek matke me doodh bharkar Sultaan ko bheja.
Is ke baad Sultaan Aap ka mureed ban gaya.
Aap apne mureedo ko matke me Yamuna nadi se paani bharkar dete the jis se un ki ALLĀH ke fazl se beemaari aur takleef door ho jaati.
******************
Aap jab aalam me wajd me aa jaate to lohe ki salaakhon ko aasaani se modkar use haar ya chudiyo ki shakl me tabdeel kar dete.
******************
Hazrat Shaikh Jamaal-ud-deen Chishti Hanswi rahmatullāhi alaihi ne aap ko ‘Baaz e Safed’ (White falcon) ka laqab ata kiya tha. Aur jab Delhi tashreef laate to Aap ke yaha qayaam farmaate.
Hazrat Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi kai baar Aap ki mehfil e Sama me tashreef laate the.
******************
Aap Hazrat Haidar Qalandar al-Sawai rahmatullāhi alaihi ke silsile se ta’alluq rakhte hain aur ‘Haidari Qalandar’ kehlaate hain.
Aap ke khalifa Hazrat Shaikh Raheem-ud-deen Iraqi rahmatullāhi alaihi hain.
******************
Aap ka wisaal 21 Rajab 655 Hijri (August 1257 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Delhi me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Abu Bakr Tusi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں