Hazrat Allama Maulana Muhammad Shafi Naqshbandi Okarwi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Allama Maulana Muhammad Shafi Naqshbandi Okarwi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Khateeb-e-Pakistan, Mohsin-e-Millat, Muslih-e-Ummat.
****************
Aap ki wilaadat 1347 Hijri (1929 A.D.) me Khem Karan (Punjab) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaikh Haaji Karam-e-Ilāhi bin Shaikh Allāh Ditta rahmatullāhi alaihi hai.
****************
Aap ne ibtidaai ta’aleem Khemkaran me haasil ki.
Aap Haafiz e Qur’an hue.
Phir Aap ka pariwar Okara aa gaya. Chunaanche Aap ne Daar-ul-Uloom Ashraf-ul-Madaaris me Hazrat Allama Ghulaam Ali Okarawi rahmatullāhi alaihi se aur Madrasa Arabia Anwaar-ul-Uloom, Multan me Ghazaali-e-zamaan Hazrat Allama Sayyed Ahmad Saeed Kaazmi rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki. Aur dono hazraat se sanad haasil ki.
****************
Aap Muqarrir-e-shireen bayaan, Azeem Mufakkir o Mudabbir aur Muballigh-e-Islaam the.
Aap ne ta’aleem wa tarbiyat ke zariye Islaam ki azeem khidmat ki hai.
Aap pura din kitaabo ka mutalla karne me guzaarte aur raat bhar ibaadat karte. Namaaze Fajr ada karke sote aur 11 baje uthte. Zohar ke baad se Ishaa tak Aap Maktab (library) me mureedo aur zaa'ireen se mulaaqaat karte.
Aap ne taqreeban 18000 majlis me alag alag mauzu par Taqreer farmaai hai.
Aap ne India, South Africa, Mauritius, Palestine, United Arab Emirites, aur dusre kai mulko me safar karke ta’aleeme deen ki.
Aur apni taqreero se logo ko dilo ko eimaan ki roshni se munawwar kiya aur ALLĀH ta’ala par Tawakkal aur Huzoor Sarware kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ki aur Ahle bait ki aur Auliya Allāh ki mohabbat aur ta’azeem se pur kiya.
Taqseem-e-mulk ke baad Aap aur Aap ke waalid Pakistan aa gaye aur 1369 Hijri (1950 A.D.) Okara me Masjide Ghauṡiyah ta’ameer ki. Aur Sahiwal me Jaame Masjid Muhaajireen me Namaaz e Jum’aa ke Khateeb aur Imaam bane aur Birla High School (Sutlej Cotton Mills High School), Okara me Deeni shoabe ke Sadr bane.
****************
Aap Jama’at-e-Ahle-Sunnat Pakistan aur Gulzaar-e-Habeeb Trust ke baani me se hain.
1372 Hijri (1952-53 A.D.) me Aap ‘Tahreek-e-Khatm-e-Nabuwwat’ me shaamil hue aur Zila Sahiwal ke sadr bane.
Hukoomat ne Aap ko qaid kar liya. Is dauraan Aap ke 2 saahabzaade Muneer Ahmad (3 saal) aur Tanweer Ahmad (14 maah) ka inteqaal hua. Logo ne Deputy Commissioner se milkar Hazrat ko riha karne ke liye guzaarish ki to Deputy Commissioner ne Aap se milkar kaha ke ‘Aap ke pariwaar ki haalat bahot kharaab hai. Agar Aap ma’afi naame par dast-khat kar den to hum aap ko aaj hi riha kar denge. Aap ka ma’afi naama awaam se posheeda rakha jaayega.’ Aap farmaaya ke ‘Main Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ki ta’azeem aur tawqeer ki hifaazat ke liye kaam kar raha hu. Aur mera maanna hai ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Khaatim-ul-Ambiya hain. Ma’afi maangne ka sawaal hi paida nahi hota. Mere 2 bacho ka intiqaal hua hai agar mujhe meri jaan ki qurbaani deni pade to bhi main apne aqeede par ṡaabit qadam rahunga aur ma’afi nahi maanguga.”
17 Jamaadi ul awwal 1382 Hijri (16 October 1962 A.D.) ko Khadda Market, Karachi me Taqreer ke dauraan ek shakhs ne Aap par hamla karke aap ko jakhmi kar diya. Aap ko gardan, kandha, sar aur pusht ke hisse me jakhm aaye the. Aap ko 2 ½ mahine tak haspatal me ilaaj ke liye rakha gaya.
1382 Hijri (1962 A.D.) me Aap ne Baghdad, Karbala, Syria, Beirut, Jeddah, Makkah aur Madeenah ka safar karke mazaaraate Auliya wa Ashaaba aur deegar muqaddas maaqaamaat ki ziyarat ka sharf haasil kiya.
1394 Hijri (1974 A.D.) me Aap ko dil ka daura pada. Magar Aap ne deen ki khidmat aur isha’at jaari rakhi.
1395 Hijri (1975 A.D.) me Aap ko phir se dil ka daura pada. Aap ko Karachi aaye aur 6 hafte tak Aap ka ilaaj kiya gaya.
1396 Hijri (1976 A.D.) me South Africa me ‘Anjuman Ahle Sunnat wal Jama'at’ ki qaa'im kiya.
****************
Aap ke mash'hoor shaagird :
Hazrat Maulana Muhamamd Siddeeq Multani
Hazrat Maulana Muhamamd Allāh-Wasaaya
Hazrat Maulana Iqbaal Husain Naeemi
Hazrat Maulana Muhamamd Shafi Noori.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Barkaat e Meelaad Shareef
(2) Zikr-e-Jameel
(3) Zikr-e-Husain Fee Sirat-e-Nabi
(4) Shaam e Karbala.
****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ke 5 saahabzaade aur 6 saahabzaadiya hain.
Saahabzaade :
(1) Muneer Ahmad (3 saal ki umr me inteqaal hua.)
(2) Tanveer Ahmad (14 maah ki umr me inteqaal hua.)
(3) Hazrat Allama Kaukab Nooraani
(4) Hazart Haamid Rabbaani
(5) Dr. Muhammad Sub'hāni.
****************
Aap Hazrat Shaikh Miyan Ghulaamullāh Naqshabndi Sharqpuri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Allama Sayyed Ahmad Saeed Kaazmi rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Allama Mufti Muhammad Rafeeq ul Hasani rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Muhammad Abraar Ahmad Rahmāni rahmatullāhi alaihi.
****************
17 Rajab 1404 Hijri (20 April 1984 A.D.) ko Jaame Masjid Gulzaar-e-Habeeb me Aap ne Jum’aa ke roz wa’az o taqreer farmai. Shaam ko Aap ko teesra dil ka daura pada. Aap ko National Institute of Cardiovascular Disease me daakhil kiya gaya.
4 din baad Peer ke roz azaan-e-Fajr ke baad Aap ne Durood shareef padha aur Aap ka intiqaal hua.
****************
Aap ka wisaal 21 Rajab 1404 Hijri (24 April 1984 A.D.) ko Peer ke roz 57 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Masjid Gulzaar-e-Habeeb, Karachi (Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Allama Maulana Muhammad Shafi Naqshbandi Okarwi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے