Hazrat Shaikh Qaazi Zia-ud-deen rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh Zia, Shaah-e-Wilaayat.
******************
Aap ki wilaadat 925 Hijri (1519 A.D.) me Unnao ke qareeb Qasba Nyutani me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sulaimān bin Saloni al-Uṡmaani hai.
******************
Aap ne ibtidaai ta’aleem apne waalid se haasil ki.
Phir Ahmedabad (Gujarat) jaakar Hazrat Sayyed Shaah Wajeeh-ud-deen Alwi Gujrati rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Ek martaba safar ke dauraan jangal me Aap ki mulaaqaat Hazrate Khizr alaihis salaam se hui. Unho ne Aap ko 40 din sohbat me rehne ke liye farmaaya aur Aap ko Jaame Uloome Zaahiri wa Baatini se faizyaab farmaaya.
******************
Hazrat Sayyed Shaah Wajeeh-ud-deen Alwi Gujrati ki baargaah me ta’aleem ke dauraan Hazrat ki saahabzaadi Akhtar shadeed marz me giraftaar hui aur tamaam tabeeb wa hakeem ilaaj karne se aajiz aa gaye. Ustaad ki pareshaani dekhkar Aap ko hansi aa gai. Dusre talbaa ne hansi ki wajah puchhi to Aap ne farmaaya ke ‘Agar Ustaad e mohtaram mera sabaq tum logo ke sabaq ke pehle muayyan karde to main Hazrat ki ladki se is Jinn (ke marz) ko door kar du.’
Hazrat ne Aap ki darkhwaast manzoor kar li aur Aap ne dua farmaai. Jis se Hazrat ki ladki sehatyaab ho gai. Hazrat ne khush hokar apni beti ka nikaah Aap se karwa diya. Us ke baad ek arse tak Aap Gujarat me qayaam farma rahe.
******************
Aap ke saahabzaade Hazrat Hajji Mohammad Fazlullāh rahmatullāhi alaihi hain.
******************
Aap jab Hajje Baitullāh ke liye tashreef le gaye aur Makka mukarrama ke qayaam ke baad jab Madeena munawwara pahunche tab ek martaba raat ko jab Aap Huzoor Rasoole aazam sallallāhu alaihi wa sallam ke Roza e aqdas par haazir hue Huzoor Rasoole aazam sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat se musharraf hue. Huzoor sarware kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko apni nawazishaat se sarfaraaz farmaaya.
******************
Aap Hazrat Qaari Nizaam-ud-deen Mohammad Shaah Bhikaari rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Shaikh Sayyed Jamaal-ul-Auliya rahmatullāhi alaihi hain.
******************
Aap ne sirf 11 afraad ko apna mureed banaaya jinho ne beshumaar logo faizyaab farmakar un ke dilo ko munawwar kiya.
******************
Aap ka wisaal 21 Rajab 989 Hijri (Augast 1581 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Unnao (Uttar Pardesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Qaazi Zia-ud-deen rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں