Hazrat Allama Mufti Tehseen Raza Khan rahmatullāhi alaihi

Hazrat Allama Mufti Tehseen Raza Khan rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Sadr-ul-Ulama, Tehseen-e-Millat, Mazhar-e-Mufti-e-aazam-e-Hind.
******************
Aap ki wilaadat 14 Sha’abaan 1348 Hijri (15 January 1930 A.D.) ko Jum’aa ke roz hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Hakeem-ul-Islaam Allama Mufti Hasnain Raza Khan bin Hazrat Ustaad-e-Zamaan Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Kaneez Hasnain binte Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullahi alaihi hai.
******************
Aap ne Mirzai Masjid ke Madrasa me bunyaadi ta’aleem haasil ki.
Phir Madrasa Mazhar-e-Islaam me Arabi aur Faarsi ki ta’aleem haasil ki.
Aap ne Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi, Hazrat Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi, Hazrat Mufti Sadr-ud-deen Razawi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Allama Mufti Mohammad Waqaar-ud-deen rahmatullāhi alaihi, Hazrat Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad rahmatullāhi alaihi, Hazrat Imaam-ul-Nahaw Allama Ghulaam Jeelaani rahmatullāhi alaihi, Hazrat Ghulaam Yāseen Shah-Jamali rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Taqseem e mulk ke baad Hazrat Maulana Sardaar Ahmad rahmatullāhi alaihi Lahore tashreef le gaye. 1368 Hijri (1949 A.D.) me Jab Hazrat Faisalabad me Mohalla Sunnatpura tashreef le gaye aur waha Jaamia Razawia Mazhar e Islaam jaari kiya. Moharram 1376 Hijri (August 1956 A.D.) me Aap apne waalid e mohtaram ki ijaazat lekar Faisalabad (Pakistan) aaye aur Daura e Hadeeṡ ki ta’aleem mukammal ki. Sha’abaan 1376 Hijri (March 1957 A.D.) me Sanade Faraaghat haasil ki.
******************
1376 Hijri (1957 A.D.) me Aap Jaamia Razawia Mazhar e Islaam me Mudarris bane aur 18 saal Mudarris rahe.
1394 Hijri (1975 A.D.) me Jaamia Razawia Manzar e Islaam me Mudarris bane aur phir 1402 Hijri (1982 A.D.) me Jaamia Nooriya Razawiya me aur 1425 Hijri (2004 A.D.) me Jamiatur Raza me Mudarris bane.
Aap ke mash'hoor shaagird :
(1) Taaj-ush-Shariah Allama Akhtar Raza Khan Bareilwi
(2) Maulana Mannaan Raza Khan Bareilwi
(3) Maulana Asjad Raza Khan Bareilwi
(4) Maulana Mufti Saaleh saahab
(5) Maulana Mufti Mujeeb Ashraf Nagpuri
(6) Maulana Abdus Salaam
(7) Maulana Mohammad Anwaar Ali Razawi Bahraichi
(8) Maulana Mufti Mohammad Muti-ur-Rahmān Razawi
(9) Maulana Sagheer Ahmad Razawi Jokhanpuri
(10) Maulana Mohammad Haneef Khan Razawi
(11) Maulana Tat'heer Ahmad Razawi
(12) Maulana Mohammad Haashim Naeemi
(13) Maulana Mohmmad Husain ABul Haqqani Bihari
(14) Maulana Jaid ul Qaadri Muzaffarpuri
(15) Maulana Saeed Akhtar Naeemi Bhojpuri
(16) Maulana Ayyoob Aalam Mazhari Purnoori
(17) Maulana Imaam-ud-deen Deewaryawi
(18) Maulana Sharf Aalam Razawi Sitamadhi
(19) Maulana Mohammad Yaameen Muradabadi.
******************
1362 Hijri (1943 A.D.) me Aap Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.
1380 Hijri (July 1960 A.D.) me Urse Razawi ke mauqe par Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai jis me saath me ye likha :
“Qurrato aini wa durrato zaini Tehseen Raza Khan.”
*******************
Aap ka kirdaar aur aadaten Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi jaisa hi tha.
Aap hamesha saadgi apnaate the.
Aap narm dil aur khush-mijaaz the. Sab ko muskurakar milte aur faiz ata farmaate.
Aap ba-kamaal Mufassir aur Mohaddeeṡ the.
Aap puri zindagi khidmate deen aur tahaffuz e Ahle Sunnat wal Jama’at karte rahe.
******************
Ek martaba Huzoor Mufti-e-Aazam-e-Hind ne farmaaya ke ‘Khaandaan me do afraad aise hain ke jin par mujhe poora aitemaad aur bharosa hai : ek Azhari Miyan aur doosre Tehseen Miyan.’
******************
1406 Hijri (August 1986 A.D.) me Aap ne Hajje baitullāh ada kiya.
******************
Aap ba-kamaal Shaayar the. Aap ne bahot saari Na’at shareef aur Manqabat likhi hain,
Aap ki likhi hue chand mash'hoor kalaam :
(1) Jis ko kehte hai qayaamat hashr jis ka naam hai,
Dar haqeeqat tere deewaano ka jashn-e-aam hai.
(2) Armaan nikalte hain dil ke Aaqa ki ziyarat hoti hai,
Kaun is ko qayaamat kehta hai aisi bhi qayaamat hoti hai.
(3) Woh yun tashreef laaye hum gunaahgaaro ke jhurmuh me,
Maseeha jaise aa jaata hai beemaaro ke jhurmuth me.
(4) May e Hubbe nabi se dil jis ka sarshaar ho jaaye,
Woh daana e haqeeqat waaqif e israar ho jaaye.
(5) Imaam-ul-Ambiya tum ho Rasool-e-Mujtaba tum ho,
Jo sab ke peshwa hain un ke Aaqa peshwa tum ho.
(6) Rukta nahi hargiz woh idhar baagh e iram se,
Waabasta jo ho aap ke daaman e karam se.
(7) Khanda peshaani se har sadma uthaate hain Husain,
Ishq ke aadaab dunya ko sikhaate hain Husain.
******************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
15 Zil Qa’ada 1386 Hijri (26 February 1968 A.D.) ko Aap ka nikaah Saeedullāh Khan ki saahabzaadi se hua.
Aap ke 3 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade :
(1) Maulana Hasan Raza Khan
(2) Maulana Rizwaan Raza Khan
(3) Mohammad Shoaib Raza Khan.
Saahabzaadi :
Aarifa begum.
********************
Aap Hazrat Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Allama Dr. Qamar Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi hain.
********************
18 Rajab 1428 Hijri ko dauraane safar Chandrapur aur Nagpur ke darmiyaan haadse me Aap jakhmi hue.
Inteqaal ke baad Aap ke jasd-e-aqdas ko Nagpur muntaqil kiya gaya aur phir Bareilly laaya gaya.
Aap ka wisaal 18 Rajab 1428 Hijri (3 August 2007 A.D.) ko hua.
Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Taaj-ush-Shariah Allama Akhtar Raza Khan ne padhai.
Jis me taqreeban 4 laakh log shaamil hue.
Aap ka mazaar Mohalla Kankar Tola, Bareilly (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sadr-ul-Ulama Allama Mufti Tehseen Raza Khan rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے