Hazrat Makhdoom Sayyed Sharf-ud-deen Hasan Mash'hadi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Makhdoom Sayyed Sharf-ud-deen Hasan Mash'hadi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Fakhre Suharwardi, Ganje Ma’arifat.
********************
Aap ki wilaadat 724 Hijri (1323 A.D.) me Mash'had (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Ala-ud-deen Ismāeel bin Sayyed Husain hai.
Aap Husaini saadaat hain.
Aap Hazrat Khwaja Mumshaad Dinawari rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
********************
Aap ke waaalid e maajid maslakan Shaafai the. Aur Shahere Mash'had me ‘Naqeeb-un-Nuqaba’ ke ohade par faa'iz the.
Aap ke waalid apne pariwaar ke saath Mash'had se Multan aaye aur phir Uch aakar muqeem hue.
******************
Aap Arabi aur Faarsi zabaan ke maahir the.
Aur Ilme Kimiya aur Falsafa ke maahir the.
******************
Ek martaba Aap ghode par sawaar hokar Hazrat Makhdoom Jahaaniya Jahaan-gasht rahmatullāhi alaihi ki khaanqaah me daakhil ho gaye. Shor o gul ko sunkar Hazrat Makhdoom Jahaaniya Jahaan-gasht apne Hujre se baahar tashreef laaye. Aap ne ghode par baithe hue hi apne Ilm par fakhr karte hue Hazrat Makhdoom Jahaaniya Jahaan-gasht se mubaahisa karne ka iraada kiya.
Hazrat ne apne Kashf ke zariye Aap ki baatini kaifiyat aur Ilm par fakhr jaan gaye. Aur qareeb aakar apna mubarak haath Aap ke seene par rakh diya. Jaise hi Hazrat ne haath rakha ke Aap ke seene se wo tamaam ilm mahw ho gaya.
Aap foran ghode se utarkar Hazrat ke qadmo par gir pade aur ma’afi talab ki aur arz kiya “Huzoor! Haqeeqat me aaj main Ibne Seena ke Ilm o Fan ko bhul chuka hu.” Hazrat ne Aap ko muaaf farmaaya. Foran Aap ka dil Anwaar o Tajalliyaat se roshan ho gaya.
*****************
Aap Hazrat Makhdoom Jahaaniya Jahaan-gasht rahmatullāhi alaihi ke mureed hue aur Hazrat se uloom-e-baatini ki ta’aleem haasil ki.
*****************
Phir Hazrat ne Aap ko Khirqa e Khilaafat se nawaaza aur apni badi saahabzaadi Bibi Malika Jahaan urfe Kaali Bibi se Aap ka nikaah karwaaya.
Aap ke 2 saahabzaade hain :
(1) Sayyed Sa’adullāh,
(2) Sayyed Qutb-ud-deen.
*****************
Kuchh arse baad Aap apne Peer o murshid ke farmaan par safar karke Gujarat ke Bharuch tashreef laaye.
Hazrat Makhdoom Jahaaniya Jahaan-gasht rahmatullāhi alaihi ne Aap ko ek Miswaak ata farmai aur farmaya ke “Yeh Miswaak zameen me daalte hi jaha ug jaaye usi jagah qayaam karna.” Aap safar karte hue Bharuch pahonche. Yaha ke qayaam ke dauraan woh miswaak yaha ug nikli aur Aap yahi sukoonat pazeer hue. Aur ta’aleem aur faiz ata karte rahe.
Yeh ilaaqa Maktampur (Makhdoompur) ke naam se mash'hoor hai.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ne ‘Zawaahir-e-Mash'hadi’ naami kitaab likhi hai.
****************
Aap Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
****************
Aap ka wisaal Khambhaat (Gujarat) me ek Mehfile Sima’a me hua. Bahri Jahaaz ke zariye Aap ke jisme paak ko Bharuch laaya gaya.
Aap ka wisaal 18 Rajab 808 Hijri (January 1406 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Bharuch (Gujarat) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Sayyed Sharf-ud-deen Hasan Mash'hadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے