Jung e Badr ka bayaan :
3 Surah Aale Imraan, Aayat 123 :
Aur ALLĀH ne Badr me tumhari madad farmai haalaanki tum (us waqt) bilkul be sar o saamaan the, Pas ALLĀH se dara karo yaaki tum shukr guzaar ban jaao.
Ise Yaum-ul-Furqaan bhi kehte hain ya’ani Haq wa baatil ke darmiyaan faisle ka din, jis ka Qur’an majeed me zikr hai.
8 Surah al-Anfaal, Aayat 41 :
Agar tum eimaan laaye ho ALLĀH par aur us par jo hum ne apne (barguzida) bande par faisle ke din naazil farmaaya jis din dono lashkar baahum muqaabil hue the, Aur ALLĀH har cheez par qaadir hai.
****************
›› Kaafiro ke khilaaf Musalmano ki sab se pehli jung.
Taarikh : 17 Ramazaan 2 Hijri (13 March 624 A.D.).
Maqaam : Madeena se 130 km (80 miles) door Badr ka maidaan.
Ta’adaad : Musalman 313 (80 Muhaajir aur 233 Ansaar), Kaafiro ka lashkar 1000.
›› Natija :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Musalmano ki azeem fatah.
14 Musalman shaheed hue.
70 Kuffaar qatl hue aur 70 qaid kiye gaye.
*****************
›› Martaba :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Junge Badr me shareek hone waale ashaaba ka martaba Ashra e mubashshira ke baad sab se afzal hai.
***************
›› Rabi-ul-Awwal 2 Hijri (September 623 A.D.) me Kurz bin Jaabir al-Fihri ne Madeena ki chaaragaah me daaka daala aur kuchh oonto ko bhagaakar le gaya. Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Zaid bin Haariṡa radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Madeena me apna naa'ib banaaya aur Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ko alam-bardaar banaakar Sahaaba ki jama’at ke saath Waadi e Safwaan tak us daaku ka ta’akub kiya, jo Badr ke qareeb hai. Magar woh tezi ke saath bhaaga aur haath nahi aaya. Aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam waapas Madeena tashreef laaye.
›› Rajab 2 Hijri (January 624 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Abdullāh bin Jahsh ko chand ashaaba ke saath Quraish par nigraani ke liye Makka ke qareeb Nakhla bheja. Jab wo log Nakhla pahunche to Aameer bin Haariṡ Hadrami, Hakam ibn Kaysan, Uṡmaan bin Abdullāh aur Mugheera bin Abdullāh ke saath Taa'if se maal khareedkar waha se guzar raha tha. Hazrat Abdullāh bin Jahsh aur un ke saathiyo ne aapas me mashwara kiya ke “In logo ne hume dekh liya hai. Agar ye Makka pahunch gaye to Quraish ko hamare baare me pata chal jaayega.” Waaqid bin Abdullāh ne aage aakar Aameer bin Haariṡ Hadrami par teer chalaaya. Yeh dekhkar baaqi teen ne amaan ki maang ki. Hazrat Abdullāh bin Jahsh teeno ko saath lekar waha se rawaana hue. Mugheera bin Abdullāh bhaagne me kaamyaab hua. Jab sahaaba Hakam ibn Kaysa aur Uṡmaan bin Abdullāh ko lekar Madeena pahunche to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne dono ko Makka waapas jaane diya.
›› Isi saal 2 Hijri (March 624 A.D.) me Kuffar e Quraish ka ek qaafila maale tijaarat lekar Makka se Shaam jaa raha tha. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam 150 muhajireen ashaaba ko saath lekar is qaafile ka raasta rokne ke liye Maqaam e Zil Uraisha tak tashreef le gaye, jo Unbbua ki bandargaah ke qareeb hai. Magar waha pahunchkar pata chala ki qaafila bahot aage nikal gaya hai.
›› Woh qaafila jab Shaam se waapas lauta to Huzoor Raool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me Hazrate Jibr'eel alaihis salaam ne khabar di ki “Abu Sufyaan ki sardaari me 30-40 logo ka qaafila Shaam se Makka jaa raha hai. ALLĀH ke hukm se aap unhe roko.”
Quraish ke qaafle ko rokne ka aur baad me Junge Badr hone ka sabab sirf yeh tha ke Quraish ne musalmano ko deene haq apnaane ki wajah se beshumaar zulm kiye the aur unhe hijrat ke liye majboor kiya tha aur Makka se hijrat ke baad musalmano ke maal aur makaano par qabza kar liya tha aur musalmano ke sabr o tahammul ko un ki kamzori maan liya tha.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apne ashaaba ko mashware ke liye jama kiye. Aap ne ansaar ki taraf rookh kiya to Ansaar ke sardaar Hazrat Sa’aad bin Ubada radiy-Allāhu ta’ala anhual-Khazraji ne kaha “Khuda ki qasam, Hum aise jaan-nisaar hain ki agar Aapka hukm ho to hum samundar me kood paden.”
Phir Hazrat Miqdaad ibn Aswad radiy-Allāhu ta’ala anhu ne kaha “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Hum Hazrate Moosā alaihis salaam ki qaum ki tarah yeh nahi kahenge ki Aap aur aapka khuda jaakar lade balki hum wo log hain jo daayen-baayen aur aage-pichhe aapke saath saath ladenge.”
›› Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne lashkar tayyaar kiya.
Rawaana hone se pehle Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Abu Lubaaba Basheer bin Abdul Munzir al-Awsi radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Madeena ke naa'ib banaakar waapas bheja aur Hazrate Aasim bin Adiy radiy-Allāhu ta’ala anhu Madeena ke aaspaas ke ilaaqe ki nigraani ke liye theharne ke liye farmaaya.
Aur 313 ashaaba ke saath aage badhe jin me Hazrat Abu Bakr Siddeeq, Hazrat Umar Faarooq, Hazrat Ali, Hazrat Ameer Hamza bin Abdul Muttalib, Hazrat Ubaida ibn Haariṡ, Hazrat Zaid ibn Haariṡah, Hazrat Arqaam ibn Abil Arqaam, Hazrat Mus'ab ibn Umair, Hazrat Zubair bin Awwaam, Hazrat Sa’ad ibn Abi Waqqaas, Hazrat Talha ibn Ubaidullāh, Hazrat Abdur Rahmān ibn Awf, Hazrat Sa’ad ibn Zaid, Hazrat Abi Ubaida Aamir ibn Abdullāh ibn Jarrah, Hazrat Ubay ibn Ka’ab, Hazrat Abdullāh ibn Mas'ood, Hazrat Ammaar ibn Yaasir, Hazrat Miqdaad ibn Amr, Hazrat Abu Salama Abdullāh ibn Abdul Asad, Hazrat Uṡmaan ibn Maz'oon, Hazrat Aamir ibn Fuhayra, Hazrat Ukaasha ibn Muhsin, Hazrate Aasim bin Ṡaabit, Hazrat Habbaab bin Munzir, Hazrat Zaid ibn Khattaab, Hazrat Bilaal ibn Rabah al-Habashi, Hazrat Basheer ibn Sa’ad al-Awsi, Hazrat Sahl bin Hunayf al-Awsi, Hazrat Khubaib bin Adiy al-Awsi, Hazrat Sa’ad bin Ubada al-Khazraji, Hazrat Sa’ad bin Muaz, Hazrat Abu Ayyoob Khaalid ibn Zaid al-Khazraji, Hazrat Abdullāh ibn Rawaahah al-Khazraji, Hazrat Abu Dujaana Simak bin Kharasha al-Khazraji, Hazrat Muhammad ibn Maslamah al-Khazraji, Hazrat Tameem bin Yu-Aar al- Khazraji, Hazrate Khubaib bin Isaf al-Khazraji, aur Hazrat Jaabir ibn Abdullāh radiy-Allāhu ta’ala anhuma shaamil the.
›› Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke hukm se apni beemaar biwi Hazrate Ruqayyah bint Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat wa timaardaari ke liye Madeena me rooke. Is liye shaamil na ho sake.
(Lekin jab Jung e Badr me musalmano ki fatah ki khabar mili us se pehle hi Hazrate Ruqayya radiy-Allāhu ta’ala anha ka intiqaal ho chuka tha.
Hazrat Uṡmaan Ghani ki is farmaan bardaari ki wajah se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko Ashaabe Badr me shumaar karke Aap ko ṡawaab bhi ata farmaaya aur maale ghanimat me bhi hissa ata farmaaya.)
Hazrat Salmaan Faarsi radiy-Allāhu ta’ala anhu bhi ghulaam hone ki wajah se shaamil nahi ho sake.
Hazrat Abu Zar, Jundub Ghaffaari radiy-Allāhu ta’ala anhu Madeena me maujood nahi the. Is liye shaamil na ho sake.
****************
›› Maqaame Safra par pahunchkar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Talha bin Ubaidullāh aur Hazrat Saeed bin Zaid ko radiy-Allāhu ta’ala anhuma Quraish ke qaafle ki khabar rakhne ke liye bheja tha. Jab wo waapas aaye to musalman Badr se waapas aa chuke the. (Is liye un ko bhi Ashaabe Badr me shumaar kiya.)
›› Jab Abu Sufyaan Sakhr ibn Harb ko apne jaasoos se is baat ki khabar mili to us ne Zamzam bin Amr al-Ghaffaari ko foran Makka bheja. Jab Makka pahunchkar us ne ye khabar sunaai to Abu Jahl Quraish ke kaafiro ka bada lashkar saath lekar Makka se nikla jis me Umayyah ibn Khalaf, Utba ibn Rabi'ah, Shaiba ibn Rabi'ah, Waleed ibn Utba, Waleed ibn Mugheera, Haariṡ bin Aamir, Najar bin Haariṡ, Abul Bakhtari Hakim bin Hajam, Nawfal bin Khuwaylid, Uqba bin Abi Mueet, Jam'aa bin Aswad, Aas bin Hishaam, Umair bin Wahb, aur Hind al-Hunnud shaamil the.
›› Is dauraan Abu Sufyaan aam raaste ko chhodkar saahil e samundar ke raaste se apne saathiyo ke saath salaamat maqaam par pahunch gaya.
******************
›› Chunki Kuffaar e Quraish Musalmano se pehle Badr me pahunch gaye the. Is liye un logo ne munaasib jagah par qabza jama liya.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam jab Badr ke qareeb pahunche to shaam ke waqt Hazrate Ali bin Abu Taalib, Hazrate Zubair bin Awwaam aur Hazrate Sa’ad bin Abi Waqqaas radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko Kuffaar e Quraish ke baare me khabar laane ke liye Badr ki taraf bheja. Unho ne Quraish ke do ghulaamo ko pakad liya jo lashkare Quraish ke liye paani bharne par muqarrar the aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke paas laaye. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daryaaft farmaaya ki “Bataao, is fauz me Quraish ke sardaaro me se kaun kaun hain?” Jab unho ne naam bataaye to aap ne apne ashaaba ki taraf mutawajjeh hokar farmaaya “Sun lo, Makka ne apne jigar ke tukdo ko tumhari taraf daal diya hai.”
›› Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne pehle Maqaame Udwat-ud-Duniya par padaaw daala jaha na koi kunwa tha na chasma aur waha ki zameen itni retili thi ki ghodo ke paav zameen me dhans jaate the. Phir Hazrate Hubaab bin Munzir radiy-Allāhu ta’ala anhu ne mashwara diya ke “Behtar yeh hai ki hum kuchh aage badhkar paani ke chashmo par qabza kar len kyun ki inhi chashmo par se un kunwo me paani jaata hai jin par kuffaar e Quraish ne qabza jama liya hai.” Aap ne is raay ko pasand farmaaya aur isi par amal kiya.
Phir jab Khuda ki rahmat se baarish hui to maidaan ki ret aur dhool jam gai jis par musalmano ke liye chalna firna aasaan ho gaya aur kuffaar ki zameen par kichad ho gaya jis se un ko chalne firne me dushwaari ho gai. Aur Musalmano ne baarish ka paani rok kar jaa-baja Hauz bana liya taaki ye paani ghusl aur wuzu ke kaam aaye.
›› Shab e Jum’aa ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam puri raat baargaah e ilāhi me Dua me masroof rahe.
Hazrate Jibr'eel alaihis salaam ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haazir hokar khushkhabari sunai “ALLĀH ta’ala aap ki madad farmaega aur aap ko is jung me fatah haasil hogi.”
›› Us raat aap ne chand jaan-nisaar saathiyo ke saath maidaan e jung ka muayna kiya aur apne daste mubarak me jo chhadi thi us se zameen par lakeer banaate rahe aur farmaate rahe ki “Yeh fulaan kaafir ke qatl hone ki jagah hai aur yaha fulaan kaafir ki laash padi hui milegi.” Chunache aisa hi hua. Aap ne jis jagah jis kaafir ki qatl-gaaah bataai thi us kaafir ki laash theek usi jagah paayi gai.
***********************
›› Subah ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Mujaahideen e Islaam ki Saf-bandi farmaai.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Ali ibn Abi Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Muhaajireen ka alam aur Hazrate Sa’aad bin Muaz Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Ansaar ka alam diya aur Hazrate Mus'ab bin Umair radiy-Allāhu ta’ala anhu ko lashkar e islaam ka alam-bardaar banaaya.
›› Phir Aap apni chhappar me tashreef le gaye jis ko sahaaba e kiraam ne Aap ki hifaazat ke liye bana rakha tha.
Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko waha bitha kar kaha ki “Huzoor sallallāhu alaihi wa sallm ki paasbaani aur hifaazat ke liye kaun shakhs khada rehkar pehra dega taake kaafiro me se koi shakhs Aap ke paas pahunch na sake.”
Us waqt Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu aage badhe aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke sar mubarak par khuli talwaar lekar khade rahe. Phir Hazrate Sa’ad bin Muaz radiy-Allāhu ta’ala anhu bhi chand Ansaari sahaaba ke saath us chhappar ke gird pehra dete rahe.
Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam dua me masroof hue. Aap rote hue dua kar rahe the “Aye mere Rab! Tune mujh se jo waada farmaaya hai aaj use pura farma de. Ilāhi! Agar ye chand mujaahideen halaak ho gaye to phir qayaamat tak is roo e zameen par koi teri ibaadat karne waala na rahega.”
Aap lagaatar ye dua kar rahe the yaha tak ke aap ki chaadar mubarak gir jaati aur aap ko khabar na hoti.
Hazrat Abu Bakr Siddeeq ne ye haal dekha to be-qaraar ho gaye chaadar mubarak ko utha kar Aap ke muqaddas kandhe par daali aur Aap ka dast Mubarak thaamkar bharai hui aawaaz me bade adab ke saath arz kiya ‘Huzoor! Ab bas kijiye Khuda zaroor apna waada pura farmaega.’
Apne yaar e gaar Siddeeq ki baat sunkar Aap ne dua khatm ki aur is Aayat ka wird karne lage “Anqareeb (kuffaar ki) fauz ko shikasht de di jaayegi aur wo peeth pher ke bhaag jaayenge.” (Surah al-Qamar)
›› Jung se pehle Haakim bin Hazaam (jo baad me Fatah Makka se pehle musalman hue) ne kuffaar ke lashkar ke sipaah saalar Utbah bin Rabi'ah ko mashwara diya ke “Hum jung karne ke bajaay musalmano se Amr bin Hajrami ke qatl ka khoon-baha ada karne ke liye kehte hain. Is tadbeer se yeh jung tal jaayegi.” Utba bin Rabiah ne is raay ko maan liya. Magar jab Abu Jahl ko pata chala to us ne kaha ke “Shaayad Utbah bin Rabi'ah buzdil ho gaya hai ya phir us ke bete Huzaifa ko bachaana chaahta hai jo musalmano ke lashkar me hai. Hum jung se bhaagkar apni shaan ghataana nahi chaahte.”
Phir Amr bin Haariṡ al-Hadrami maqtool ke bhai Aameer bin Haariṡ Hadrami se kaha ki “Dekho, Utbah tumhare bhai Amr ke khoon ka badla lene ka mauqa kis tarah nakaam karna chaahta hai.”
Yeh sunkar Aameer bin Haariṡ al-Hajrami ne waawela aur maatam shuru kar diya. Us ke naare sunkar kuffaar e Quraish ko aur zyada josh aaya aur tamaam lashkar jung ke liye betaab ho gaya.
*********************
›› 17 Ramazaan ko Badr ke maidaan me jab dono lashkar ka saamna hua to kaafiro ki taraf se Shaiba ibn Rabi'ah, Utba ibn Rabi'ah aur Waleed ibn Mugheera ko bheja gaya.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Abdullāh ibn Rawaaha, Hazrat Awf ibn Haariṡ aur Hazrat Mas'ood bin Haariṡ radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko muqaabale me bheja.
Kaafiro ne kaha “Aye Mohammad! Humare muqaabale me hamare humsar ko bhejo.”
Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Ameer Hamza bin Abdul Muttalib, Hazrate Ali ibn Abi Taalib aur Hazrat Ubaida ibne Haariṡ radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko muqaable ke liye bheja.
Hazarte Ali ne Waleed ibn Mugheera ko qatl kar diya aur Hazrate Hamza ne Shaiba ko qatl kiya aur phir Hazrate Ubaida ke buri tarah jakhmi hone ke baad Utba ko bhi qatl kiya.
›› Phir jab jung shuru hui aur kaafiro ki fauj hamle ek liye aage badhi to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne teerandajo ko aage rakhkar muqabala kiya. Is se bahot saare kaafir halaak ho gaye. Hazrate Sa’ad ibn Abi Waqqaas radiy-Allāhu ta’ala anhu ne musalmano ki taraf se sab se pehla teer chalaaya.
›› Kaafiro ke lashkar me se sab se pehle Aamir bin Haariṡ al-Hajraami apne bhai Amr bin Haariṡ ke khoon ka badla lene ke liye aage aaya. Musalmano me se (Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke ghulaam) Hazrat Muhajja bin Saalih al-Muhajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu aage aaye aur ladte hue shaheed ho gaye.
›› Is ke baad Hazrat Haariṡa bin Suraaqa al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu hauz se paani pee rahe the. Achaanak kaafir ka teer laga aur shaheed ho gaye.
›› Is ke baad jab Ubaida bin Saeed bin Aas sar se pairo tak pure jism par lohe ka libaas pehna hua hathiyaro ke saath saf se baahar nikla aur kehne laga ki “Main Abu Karash hu.”
Us ki yeh maghroor lalkaar sunkar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke phuphi-zaad bhai Hazrate Zubair bin Awwaam radiy-Allāhu ta’ala anhu apni barchi lekar muqaable ke liye aage aaye. Magar dekha ki us ki dono aankho ke siwa us ke badan ka tamaam hissa lohe se chhupa hua tha. Hazrate Zubair ne taak kar aankh me itni zor se barchi maari ki woh jakhmi hokar gir pada aur mar gaya. Barchi us ki aankh ko chedti hui khopdi ki haddi tak chubh gai thi. Hazrate Zubair ne jab us ki laash par paanv rakhkar puri taaqat se kheencha to badi mushkil se barchi nikli lekin us ka sar mudkar khatm ho gaya.
(Jung ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhu se woh Barchi talab farma li aur us ko hamesha apne paas rakha. Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke baad barchi Khulfa e Raashideen ke paas muntaqil hoti rahi. Phir Hazrate Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhu ke farzand Hazrate Abdullah radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas aai. 73 Hijri me Banu Umayya ke qabze me chali gai.)
›› Jung me Abu Jahl ko Hazrat Muawwiz bin Ufra wa Muaz bin Amr bin Jamuh radiy-Allahu ta’ala anhuma naami do nau-umr ladko ne hamla karke shadeed jakhmi kar diya aur phir jab Hazrat Abdullāh ibn Mas'ood radiy-Allahu ta’ala anhu Abu Jahl ke qareeb se guzre aur dekha ki woh zinda hai aur us ka pair kat gaya hai to unho ne us ka sar kaatkar use qatl kar diya.
Abu Jahl ke bete Ikrima ne Hazrate Muaz bin Amr par pichhe se hamla kiya aur un ke baanye kandhe par talwaar maari jis se un ka baazu kat gaya lekin thoda sa chamda baaqi reh gaya aur haath latakne laga. Hazrate Muaz ne door tak Ikrima ka pichha kiya magar Ikrama bachkar bhaag gaya.
Hazrate Muaz ne apne haath ko paanv se dabakar zor se kheencha aur alag kar diay. Phir wo aazaad hokar ek haath se ladte rahe.
›› Umayyah bin Khalaf ko Hazrate Bilaal al-Habashi radiy-Allāhu ta’ala anhu ne qatl kiya.
Haariṡ bin Aamir bin Naufal ko Hazrat Khubaib bin Adiy al-Awsi radiy-Allāhu ta’ala anhu ne qatl kiya.
Hazrat Abu Ubaida, Aamir radiy-Allāhu ta’ala anhu ne apne waalid Abdullāh ibn Jarrah ka sar qalam karke use qatl kiya.
›› Jung ke duaraan Hazrate Muzzir bin Ziyad radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Abul Bakhtari ko dekha jo apne gehre dost Junadah bin Maliha ke saath ghode par sawaar tha. Hazrate Muzzir ne farmaaya ‘Aye Abul Bakhtari! Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne hum logo ko tere qatl se mana farmaaya hai (kyun ki use Kuffaar e Makka ke dabaaw ki wajah se zabardasti un ke saath aana pada tha). Isi liye main tujhe chhod deta hu.’
Abul Bakhtari ne kaha ki “Mere saathi Junadah ke baare me tum kya kehte ho” To Hazrate Muzzir ne kaha “Is ko hum zinda nahi chhod sakte.”
Yeh sunkar Abul Bakhtari josh me aa gaya aur kaha ki “Main yeh taa'na bardaasht nahi kar sakta ki Abul Bakhtari ne apni jaan bachaane ke liye apne saathi ko tanha chhod diya.” Phir Abul Bakhtari ne ek sher padha : “Ek shareef zaada apne saathi ko hargiz nahi chhod sakta, Jab tak mar na jaaye ya apna raasta na dekh le”
Is ke baad Abul Bakhtari ko qatl kar diya gaya.
›› Jung ke dauraan Hazrat Ukaasha ibn Muhsin radiy-Allāhu ta’ala anhu ki talwaar toot gai. Unho ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat me haazir hokar arz kiya ke “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Meri talwaar toot gai hai.” Aap ne unhe darakht ki ek shaakh ata farmai. Hazrat Ukaasha ibn Muhsin us ladki ke saath ladte rahe. Woh lakdi talwaar ki tarah chalti thi aur kuffaaro ko jakhmi karti thi. Yeh talwaar ‘Urjoon’ naam se mash'hoor hai.
›› Is tarah jung me Abu Jahl Amr ibn Hishaam, Umayyah bin Khalaf, Waleed ibn Mugheera, Utba ibn Rabi'ah, Shaiba ibn Rabi'ah, Waleed bin Utba, Ubaid bin Saeed bin Aas, Aas bin Hishaam, Munabbah bin Hazzaz, Uqba bin Abi Mueet, Haariṡ bin Aamir bin Naufal, Nazar bin Haariṡ, Aamir bin Haariṡ, Aas ibn Saeed, Abul Bakhtari samet 70 Kaafir qatl hue aur 70 qaid kiye gaye aur baaqi apni jaan bachaakar bhaag gaye.
14 Musalman shaheed hue aur Musalmano ko fatah haasil hui.
****************
Junge Badr me kul 14 musalman shahaadat se sarfaraz hue jin me 6 Muhaajir aur 8 Ansaar the.
In me se 13 Hazraat Maidaane Badr me hi dafn hue, Magar Hazrate Ubaida bin Haariṡ radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Badr se waapsi par maqaame ‘Safra’ par wafaat paai. Is liye un ki qabr shareef Safra me hai.
****************
Huzroo sallallāhu alaihi wa sallam ka hamesha yeh maamool raha tha ki kabhi koi laash nazar aati to Aap use dafn karwa dete. Badr me qatl hone waale Kuffaar ki taadat bahot zyada thi. Sab ko alag alag dafn karna dushwaar tha. Is liye tamaam laasho ko Aap ne ek gad'he me daal dene ka hukm diya.
Chunaanche Sahaaba e kiraam ne tamaam laasho ko ghaseet kar gad'he me daal diya. Umayya bin Khalaf ki laash ful gai thi Jis ko ghaseetne par us ke aaza alag alag hone lage. Is liye us ki laash wahi mitti me daba di gai.
Jab Kuffaar ki laashe Badr ke gad'he me daal di gai to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne us gad'he ke kinaare khade hokar qatl hone waale kufaar ke naam lekar is tarah puakara ki “Aye Fulaan bin Fulaan! Kya tum logo ne apne Rab ke waade ko sacha paaya? Hum ne to humare Rab ke waade ko bilkul sach paaya.”
Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne jab dekha ki Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Kuffaar ki laasho se kheetaab kar rahe hain to un ko bada ta’ajjub hua aur unho ne arz kiya “Ya Rasoo-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Kya Aap in be-rooh ke jismo se kalaam farma rahe hain?”
Yeh sunkar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ki”Aye Umar! Qasam Khuda ki jis ke qabze me meri jaan hai ki Tum meri baat ko in se zyada nahi sun sakte lekin itni baat hai ki ye murde jawaab nahi de sakte.”
****************
Badr ke qaidiyo me se Aqba bin Abi Ma'eet aur Nazar bin Haariṡ ko un ki gustaakhiyo ki wajah se qatl kiya gaya.
****************
Junge Badr me shareek hone waale khush naseeb Sahaaba e kiraam ke baare me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne bashaarat farmai ke
“Beshak ALLĀH ta’ala Ahle Badr se waaqif hai aur un se yeh farma diya hai ke tum ab jo amal chaahe kar lo bila subha tumhare liye jannat waajib ho chuki hai.”
***************
Shohada e Badr :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Hazrat Muhajja bin Saalih al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
(2) Hazrat Umair bin Abi Waqqaas al-Muhaajiri Radi-Allāhu ta’ala anhu
(3) Hazrat Safwaan bin Wahb al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
(4) Hazrat Zish-Shimaalain bin Abdi Amr al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
(5) Hazrat Aaqil bin Bukair al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
(6) Hazrat Ubaida bin Haariṡ al-Muhaajiri radiy-Allāhu ta’ala anhu
(7) Hazrat Sa’ad bin Khaisama al-Awsi radiy-Allāhu ta’ala anhu
(8) Hazrat Mubashshir bin Abdul Munzir al-Awsi radiy-Allāhu ta’ala anhu
(9) Hazrat Umair bin Hamaam al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu
(10) Hazrat Haariṡa bin Suraaqa al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu
(11) Hazrat Raafi' bin Mu'alla al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu
(12) Hazrat Yazeed bin Haariṡ bin Fus'hum al-Khazraaji radiy-Allāhu ta’ala anhu
(13) Hazrat Muaawwiz bin Haariṡ al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu
(14) Hazrat Awf bin Haariṡ al-Khazraji radiy-Allāhu ta’ala anhu.
***************
Ashaaba radiy-Allāhu ta’ala anhuma ne ALLĀH ta’ala ki raza ke liye Ishqe Rasool ke saath Islaam ki hifaazat ke liye apne jaan o maal ki qurbaani di hai.
Is ka natija hai ke ALLĀH ke karam se aaj musalmano ko Islaam ki hifaazat ke liye jung ke maidaan me jaakar apni jaan ki qurbaani nahi deni padti.
Magar hume chaahiye ke Islaam ki shaan ko buland rakhne ke liye asl jihaad jaari rakhen ya’ni apne nafs ka muqaabala karke khwaahishaat par qaaboo rakhen aur gunaaho se bachne ki aur nek amal karne ki koshish karen aur sahi ilm e deen sikhen aur us par khud bhi amal karen aur dusro ko bhi sikhayen.
Aur hamesha sahi aqeede ke saath sahi amal karen taake sab ko pata chale ke Islaam aur musalman sahi aur behtareen hain.
***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Shohada e Badr radiy-Allāhu ta’ala anhuma aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 تبصرے
اپنا کمینٹ یہاں لکھیں