Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Mohammad Attaar al-Bukhari rahmatullāhi alaihi

Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Mohammad Attaar al-Bukhari rahmatullāhi alaihi :


Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-ul-Irshaad.
***************
Aap ke waalid ka naam Sayyed Meer Mohammad Khwarezmi bin Sayyed Meer Abdullāh Zar-bakhsh hai.
Aap Husaini saadaat hain.
***************
Apne waalid ki taraf se miraaṡ me jo kuchh mila tha wo sab kuchh apne bhaaio ko dekar Aap Bukhara aa gaye aur Madrasa me ta’aleem haasil ki.
Phir Hazrat Khwaja Sayyed Muhammad Baha-ud-deen Naqshband se Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
****************
Ek raat ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Khwaja Sayyed Baha-ud-deen Naqshband ko khwaab me bashaarat dekar apni beti ka nikaah Ala-ud-deen Attaar se karaane ke liye farmaaya. Hazrat foran raat ko hi Qasr-ul-Aarifan se Bukhara tashreef laaye aur Madrasa me pahunche to dekha ke Ala-ud-deen Attaar chiraagh ki roshni me tilaawat e Qur’an kar rahe hain. Aap tilaawat me is qadar mashgool the Hazrat andar aakar Aap ke pichhe khade ho gaye tab bhi Aap ko pata nahi chala. Jab Hazrat ne Aap ko khushkhabari sunaai to Aap ne kaha “Main to sab kuchh chhodkar aaya hu. Aap ki beti ke guzaare ke liye mere paas koi maal nahi hai.” Hazrat ne farmaaya “ALLĀH ne tumhari qismat me jo likha hai woh tumhe zaroor ata farmaega.”
****************
Aap ka nikaah Hazrat Khwaja Sayyed Muhammad Baha-ud-deen Naqshband ki saahabzaadi se hua.
Aap ke saahabzaade Khwaja Hasan Attaar rahmatullāhi alaihi hain.
****************
Aap akṡar waqt Peer ki khidmat me aur Ibaadat o riyaazat me guzaarte.
Aap Wali e kaamil hai aur Aalim-un-Aamil hain ya’ani apne ilm par mukammal amal karne waale.
Aap ilm e Rabbaani ke darakht ke be-miṡaal phal hain.
****************
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Muhammad Baha-ud-deen Naqshband rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Sayyed Hasan Attaar rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Khwaja Shaikh Ya’aqoob Charkhi rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Khwaja Maulana Nizaam-ud-deen Khaamosh rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Khwaja Sayyed Shareef al-Jurjani. rahmatullāhi alaihi.
****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmaate hain :
(1) Agar Mureed ke dil me Peer ke liye itni mohabbat ho ke Peer ki mohabbat dusri tamaam mohabbat se badh jaaye to us ka qalb baatini ilm aur faiz paane ke qaabil ho jaata hai aur ye faiz is tarah jaari rehta hai ke na us ka aaghaaz hai na kinaara.
(2) Jab koi ALLĀH ke fazl se Dunya aur aakhirat ko bhul jaata hai to ye ‘Fana Fillāh’ hai aur agar ‘Fana’ ko bhi bhul jaata hai toye ‘Fana Fillāh’ ki asl (Essence) hai.
(3) Agar tum ye sochte ho ke tumhara sulook achha hai to tum galat ho, kyun ki khud ke sulook ko behtar samajhna ye bhi ek qism ka Takabbur hi hai.
****************
2 Rajab 804 Hijri ko Aap ne farmaaya ‘Jald hi main is dunya ko chhodkar ukhra ki taraf jaane waala hu aur koi mujhe rok nahi sakega.’
Aap ka wisaal 20 Rajab 804 Hijri (23 February 1402 A.D.) ko Peer ke roz namaaze Ishaa ke baad hua.
Aap ka mazaar Jafaaniyan, Transoxiana (Uzbekistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Mohammad Attaar rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے