Hazrat Khwaja Sayyed Nasir-ud-deen Abu Yousuf Chishti rahmatullāhi alaihi

Hazrat Khwaja Sayyed Nasir-ud-deen Abu Yousuf Chishti rahmatullāhi alaihi:


Aap ki wilaadat 362 Hijri (972 A.D.) me Chisht me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Shams-ud-deen Abu Nasr Muhammad Saamaan bin Sayyed Abu Jaa’far Ibrāheem aur waalida ka naam Bibi Khizmatullāh binte Hazrat Khwaja Sayyed Abu Ahmad Abdaal Chishti rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Husaini saadaat hain.
Aur Hazrat Sayyed Abu Ibrāheem Abdullāh Ali Akbar bin Sayyed Imaam Hasan al-Askari rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Abu Muhammad Chishti rahmatullāhi alaihi ke bhaanje hain.
Aap ki waalida Waliya thi aur ibaadat me hi masroof rehti thi. Aur nikaah karna nahi chaahti thi magar jab hukm e ilāhi hua to unho ne nikaah kiya.
****************
Aap Khwaja Sayyed Abu Muhammad Chishti ke mureed hue aur 40 saal tak Peer ki khidmat me rahe aur un se ta’aleem aur faiz haasil kiya.
****************
Aap ki khwaahish thi ke Haafiz e Qur’an ho jaaun aur is ke liye koshish karte the.
Ek din Aap ke Peer o murshid Khwaja Sayyed Abu Muhammad Chishti rahmatullāhi alaihi khwaab me tashreeef laaye aur farmaaya “100 martaba Surah al-Faatiha padho. Us ki barkat se Haafiz e Qur’an ho jaaoge.”
Chunaanche bedaar hone ke baad aap ne wuzu kiya aur 100 martaba Surah al-Faatiha shareef padhi. Foran aap hafize Qur’an ho gae aur yeh shaan hui ke Rozaana 5 martaba Qur’an majeed mukammal khatm farmaate the.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba sakht garmi ke mausam me aap apne hujra e mubarak se baahar tashreef laaye to Aap ke muta’alliqeen ne arz kiya ke “Huzoor! Aap ki dua ki barkat se agar is jagah thande paani ka chashma jaari ho jaaye to khalq e Khuda ko garmi se raahat mil jaaye.”
Aap ne foran apna Asaa mubarak ek patthar par maara to us se saaf shaffaaf thande paani ka chashma jaari ho gaya. Tamaami logo ne paani piya, wuzu kiya aur ALLĀH ta’ala ka shukr ada kiya.
Woh Chashma abhi tak jaari hai. Garmi ke mausam me us ka paani khub Thanda ho jaata hai aur sardiyo ke mausam me Motadil (Na zyada thanda na zyaada garm) ho jaata hai. Niz us chashme par jaakar log aap ke waseele se dua karte hain aur ALLĀH ta’ala apne karam se un ki haajaten puri farmaata hai.
(2) Aap ke makaan ke saamne patthar ki ek chattaan thi. Aap akṡar us chattaan par baitha karte the aur ibaadat karte the.
Ek din jab Aap us chattaan se utarkar chalne lage to wo chattaan bhi Aap ke saath chalne lagi. Yeh ajeeb baat dekhkar kaafi ta’adaad me log jama ho gaye aur pichhe chalne lage. Aap ne jab logo ki bheed dekhi to chattaan ko hukm diya ke “Usi jagah thaher jaa.” Chattaan usi jagah thaher gai aur aaj tak wahi maujood hai.
Us ke baad aap aksar usi chattaan par Hazrta Khizr alaihis salaam ke saath baithe hue paaye gaye. Aur kai baar us chattaan se is qadar noor nikalta tha ke pura gaanv roshan ho jaata tha. Log aaj bhi us Nooraani chattaan ki ziyarat ke liye jaate hain.
(3) EK martaba kuchh log masjid bana rahe the. Kuchh galti ki wajah se masjid ki chhat tayyaar ki gai thi woh thodi chhoti ban gai. Aap masjid ki deewaar par chadhe aur Bismillāh shareef padhkar chhat ko apne sar par rakha to woh chhat badi hokar sahi naap ki ban gai.
****************
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Naasih-ud-deen Abu Mohammad Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Khwaja Sayyed Qutub-ud-deen Maudood Chishti rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Khwaja Soofi Abdullāh Ansaari al-Haarwi rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Khwaja Sultaan Sayyed Haaji Hud rahmatullāhi alaihi (Patan, Gujarat).
****************
Aap ka wisaal 13 Rajab 459 Hijri (May 1067 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Chisht (Afghanistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Nasir-ud-deen Abu Yousuf Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے